Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 October 2022

Masjid mein Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne kaunse kaam karne se mana farmaya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 939❗

Jawab ek se Ziada hai!

Sawal: Masjid mein Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne kaunse kaam karne se mana farmaya hain?

A: Jungi mamlat par guftagu karne se
B: Kharid o farookht karne se
C: Ashar padhne se
D: Gum shuda cheez ka elan karne se
E: Juma ke din namaz se pahle halqa bana kar baithne se
F: Sone se
G: Idhar udhar nigah daudhane se
H: Duniya ki baate karne se
I: Sahi jawab ka intezar hai
****
Sahi Jawab - BCDE✅

Reference📚:
--------------
Umro Bin Shoiab RadiAllahu Anhu Shoiab apne baap se aur woh is ke dada (Syedna Abdullah Bin Umro Bin Aas RadiAllahu Anhu) se bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Masjid mein khareed o farokht karne, Ashaar parhnay aur Gum shuda cheez ka elaan karne aur Jummay ke din namaz se pehlay halqay bana kar bethnay se mana kya hai
-----------------
ابوبردہ بن ابوموسی ؒ بیان کرتے ہیں ، میں نے اپنے والد کو بیان کرتے ہوئے سنا ، انہوں نے کہا : میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو :’’ جمعہ کی اس گھڑی کا وقت بیان کرتے سنا کہ وہ امام کے خطبہ کے لیے بیٹھنے سے لے کر نماز سے فارغ ہونے تک ہے ۔‘‘    رواہ مسلم ۔ 
-------------------
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 1358-Sahih

kaunsa amal musalmaan bande ke liye lazim hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 938❗

❗Jawab ek se zayda hain

Sawal: kaunsa amal musalmaan bande ke liye lazim hain

A: Jumme ke din gusal karna
B: Salam mein pehal karna
C: Musafah karna
D: Miswak karna
E: Janaze mein hazir hona
F: Cheenk ne wala jab Alhumdullilah kahe to usko jawab mein Ya Rahmak Allah kahe
G: Mareez ki ayadat karna
H:Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - ADEFG✅

Hadith: Ye sare amal karna ek Musalmaan shakhs par lazim hain yani haq hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya teen cheezein aise hai jo har Musalman par lazim hain 
1. Jume ke din gusal karna 
2. Miswak karna
3. Aur agar maisar ho to khushbu lagana
----
ایك انصاری صحابی سے مرفوعا مروی ہے كہ: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تین چیزیں ایسی ہیں جو ہر مسلمان پر لازم ہیں، جمعہ كے دن غسل كرنا، مسواك كرنا اور اگر میسر ہو تو خوشبو لگانا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha - 607
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Teen cheeze har musalmaan par lazim hain.
1. Mareez ki ayadat karna
2. Janaze mein hazir hona
3. Cheekne wala jab Alhumdullilah kahe to isse jawab mein Ya Rehmak Allah kahe
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ ،نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے بیان كرتے ہیں كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تین چیزیں ہر مسلمان پر لازم ہیں۔مریض كی عیادت كرنا، جنازے میں حاضر ہونا، چھینكنے والا جب الحمدللہ كہے تو اسے جواب میں ‘‘یَرْحَمُکَ اللہُ کہنا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha - 608

Wo kaun hain jiski namaz qabul nahi hoti na he asmaan ki taraf buland hoti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 937❗

Sawal: Wo kaun hain jiski namaz qabul nahi hoti na he asmaan ki taraf buland hoti hain

A: kisi ki janaze ki namaz padhana halake ussay bola nahi gaya ho
B: Waqt par namaz nahi padhne walo ki
C: Allah ki Tasbeeh nahi karne walo ki
D: Durud e Ibrahim nahi padhne walon ki
E: Namaz mein susti karne walon ki
F: Zawal ke waqt Nafil namaz padhne walo ki
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - A✅

Hadith: Teen shakhs aise hain jinki Namaz qubool nahi hoti aur na he wo aasman ki taraf buland hoti hain

Reference📚:
----
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se Riwayat hain ke teen shakhs aise hain jin ki Namaz qubool nahi hoti, aur na he wo aasman ki taraf buland hoti hain, na un ke sir se upar jati hain wo shakhs jo kisi qaum ki imamat karwata hain jab ke log usay napasand karte ho wo shakhs jis ne Janaze  ki Namaz padhayee halake usay kaha nahi gaya, aur wo aurat jisay raat ke waqt is ke shohar ne bulaya lekin is ne inkaar kar diya.
---
انس بن مالك‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ : تین شخص ایسے ہیں جن كی نماز قبول نہیں ہوتی، اور نہ ہی وہ آسمان كی طرف بلند ہوتی ہے،  نہ ان كے سر سے اوپر جاتی ہے۔ وہ شخص جو كسی قوم كی امامت كرواتا ہے جبكہ لوگ اسے ناپسند كرتے ہوں۔ وہ شخص جس نے جنازے كی نماز پڑھائی حالانكہ اسے كہا نہیں گیا، اور وہ عورت جسے رات كے وقت اس كے شوہر نے بلایا لیكن اس نے انكار كر دیا۔
----
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu narrates that: There are three persons whose prayers are not accepted, nor does it ascend to the heavens, nor does it ascend above their heads. A person who leads a nation when people dislike him. The man who offered the funeral prayer even though it was not said, and the woman who was called by her husband at night but she refused.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#610

Jab Azan suno aur ye alfaz aaye "Hayya Al-As-Salah" to kya karna chahiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 936❗

Sawal: Jab Azan suno aur ye alfaz aaye "Hayya Al-As-Salah" to kya karna chahiye

A: Allah hu Akbar kehna chahiye
B: jo muaazin keh raha wahi dauraye
C: Alhumdullilah Lakal Hamd
D: Allahu Akbar Kabira kahe
E: La ilaha illAllah kahe
F: Rabbana Lakal Hamd
G: inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - G✅

Hadith: Jab Muazzin Hayya Al-As-Salah kahe to jawab mein La hawla wala quwata illa billah kahe

Reference📚:
----
Jab muaazin ne "Hayya Al-As-Salah" kaha to Muawiya RadiAllah Anhu ne "La hawla wala quwata illa billah"
Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi
kaha aur kehne lage ke hum ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se aisa he kehte suna hain
---
جب مؤذن نے «حى على الصلاة‏» کہا تو معاویہ رضی اللہ عنہ نے
«لا حول ولا قوة إلا بالله‏»
الله کی مدد کے بغیر گناہ سے بچنے کی طاقت اور نیکی کرنے کی قوت نہیں
 کہا اور کہنے لگے کہ ہم نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے ایسا ہی کہتے سنا ہے۔ 
----
Hisham RadiAllahu Anhu had said,   When the Mu'adh-dhin said,   Hayya Al-As-Salah (come for the prayer). Muawiya said,   
La hawla wala quwata illa billah
There is no might and no power but that of Allah.
and added, We heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying the same. 
----
Sahih Bukhari#613

Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu se koso durr hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 935❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye irshad farmaya gaya hain ke wo Allah Subhanahu se koso durr hain

A: Na shukri karne wale
B: Zulm karne wale
C: Bahut ziyada behas karne wale
D: Zina karne wale
E: Soodi karobab karne wale
F: Sakhti se baat karne wale
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahi Jawab - G✅ (Sakht Dil shakhs)

Hadith: Sakht Dil shakhs Allah Subhanahu se koso durr hojata hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhnahu ke Zikr ke siwa ziyada baatein na kiya karo kuyke Allah Subhanahu ke zikr ke siwa ziyada baatein dil ki sakhti Qasadat (yani Sakhti) ka baais hain aur Sakhti Dil shakhs Allah Subhnahu se koso durr hain.
---
حضرت ابن عمر   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ اللہ کے ذکر کے سوا زیادہ باتیں نہ کیا کرو ، کیونکہ اللہ کے ذکر کے سوا زیادہ باتیں کرنا دل کی قسادت (سختی) کا باعث ہیں ۔ اور سخت دل شخص اللہ سے کوسوں دور ہے ۔‘‘ ، رواہ الترمذی (۲۴۱۱)
---
Mishkat ul Masabeeh Hadees#2276-Sahih

Wo kaun hain jiske liye 70,000 farishte dua karte hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 934❗

Sawal : Wo kaun hain jiske liye 70,000 farishte dua karte hain?

A: Umrah ko jaane wala
B: Hajj ko jaaane wala
C: Eitkaf karne wala
D: Mareez ki Ayadat karne wala
E: Janaze ke saath jaane wala
F: JIhad mein jana wala
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Mareez ki ayadat karne walon ke liye inamaat

Reference📚:
----
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne (beemar) musalman bhai ki ayadat ke liye aa raha hota hai to wo aisa hai jaise jannat mein chal raha hai yaha tak ki wo baith jaye ,aur jab wo baith jata hai to Allah ki rahmat usko dhanp leti hai, aur subah ka waqt ho to sham tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshish ki dua karte hain aur agar sham ka waqt ho to subah tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshis ki dua karte hain
----
رسول اللّه صلی اللّه عليه وسلّم  نے فرمایا جب کوئی شخص اپنے کسی (بیمار) مسلمان بھائی کی عیادت کے لئے آ رہا ہوتا ہے تو  وہ  ایسا  ہے  جیسے جنت  میں چلتا ہے یہاں تک کہ بیٹھ جائے، اس کے بیٹھنے پر اللہ کی رحمت اسے ڈھانپ لیتی ہے، پھر اگر صبح کو جائے تو شام تک ستر ہزار فرشتے اس کے لئے بخشس کی  دعاء  کرتے رہتے ہیں اور شام کو جائے تو صبح تک ستر ہزار فرشتے اس کے لئے بخشس  کی دعاء کرتے رہتے ہیں ۔
----
It was narrated that ‘Ali said: “I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘Whoever comes to his Muslim brother and visits him (when he is sick), he is walking among the harvest of Paradise until he sits down, and when he sits down he is covered with mercy. If it is morning, seventy thousand angels will send blessing upon him until evening, and if it is evening, seventy thousand angels will send blessing upon him until morning.’”
----
Sunnan e Ibn e Maja#1442-Sahih

Ek shakhs 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin ek aisa amal karta hai ke uska khatma khair par hota hai aur wo jannat mein jata hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 933❗

Ek shakhs 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin ek aisa amal karta hai ke uska khatma khair par hota hai aur wo jannat mein jata hain

Sawal: wo kaunsa amal ke sabab Jannat mein dhakil hoga

A: Ristedaron se husn e suluk ki wajah se
B: Padosi ka haq adda karne ki wajah se
C: Waseeyat main insaf karne ki wajah se
D: Hajj karne ki wajah se
E: Yateem ki parwarish karne ki wajah se
F: Musalman ka qarz maaf kar dene ki wajah se
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith :Waseeyat mein insafi karne wale ka khatama bil-khair hota hain aur wo Jannat mein jata hain

Reference📚:
----
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Admee 70 Saal tak Neik Aaamal karta rahta hain phir waseeyat ke waqt apni waseeyat mein na-insafi kar deta hain jiski wajah se uska khatma burey Aamal per ho jata hain aur wo jahannum mein chala jata hai isee tarha aadmee 70 saal tak burey aamal karta rehta hain lekin apni waseeyat main insaf kar deta hain to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat mein jata hain
----
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا:  آدمی ستر سال تک نیک اعمال  کرتا رہتا ہے، پھر وصیت کے وقت اپنی وصیت میں نہ انصافی کرتا ہے، تو اس کا خاتمہ برے عمل پر ہوتا ہے اور جہنم میں جاتا ہے  اسی طرح آدمی ستر سال تک برے اعمال  کرتا رہتا ہے لیکن اپنی وصیت میں انصاف کرتا ہے، اس کا خاتمہ بالخیر ہوتا ہے، اور جنت میں جاتا ہے ۔ 
----
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Salllallahu Alaihi wasallam said A man may do the deeds of the people of goodness for seventy years, then when he makes his will, he is unjust in his will, so he ends (his life) with evil deeds and enters Hell. And a man may do the people of evil for seventy years, then he is just in his will, so he ends (his life) with good deeds and enters Paradise.
Sunan Ibn Majah# 2704-Sahih

Asar se pahle chaar rakaat namaz padne ki in mein se kya fazilat hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 932❗

Sawal : Asar se pahle chaar rakaat namaz padne ki in mein se kya fazilat hain?

A: Allah Subhanahu raham farmayega
B: Allah Subhanahu uska naam muttaqi logon mein likh denge
C: Rizq mein barkat hogi
D: Ghar mein barkat hogi
E: Allah Subhanahu uska chehera Jahannum ki aag se dur farma denge
F: Allah Subhanahu uski museebat durr farma denge
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
**
Sahi jawab :  A✅

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Asar se pehle chaar rakat sunnat padhne wale par Allah subhanahu Raham farmayega

Reference : 📚
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu is shakhs par Raham farmaye jisne Asar se pahle chaar rakaatein padhi (yani chaar sunnate padhne wale par)
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اس شخص پر رحم فرمائے جس نے عصر سے پہلے چار رکعتیں پڑھیں 
--------
Narrated Abdullah ibn Umar: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: May Allah show mercy to a man who prays four rak'ahs before the afternoon prayer (Al-Asr).
--------
Sunnan e Abu Dawood#1271-Sahih

Jo shakhs raat ko tahajjud padne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal karen

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 931❗

Sawal: Jo shakhs raat ko tahajjud padne ke liye bedaar nahi hosake to wo kaunsa amal karen 

A: kasrat se Allah ka zikr karen
B: din mein 12 rakat sunnat padhe
C: kasrat se nawafil aada karen
D: SubhanAllah Alhumdulilah La ilaha illAllah 100 martaba padhe
E: witr ke baad 2 rakat adda karen
F: Isha ki namaz jamaat se adda karen
G: inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)

H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Jo witr ke baad 2 rakat aada karle to wo uske liye tahajjud ki terhan hogi agar wo raat ko  bedaar nahi ho paaya to

Reference📚:
-----
Hazrat Thawban RadiAllahu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se riwayat karte hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye bedari (yani raat ko utth kar tahajjud padhna) Ek mushkil aur garaan (takleef de) kaam hain, jab tum mein se koi shakhs witr padh le to wo do rakaat aada kare, agar wo raat ke waqt bedaar hojaye (to phir wo namaz tahajjud padhe) warna wo do rakaate is ke liye kaafi hongi
----
حضرت ثوبان ؓ نبی ﷺ سے روایت کرتے ہیں ۔ آپ ﷺ نے فرمایا :’’ یہ بیداری ایک مشکل اور گراں کام ہے ، جب تم میں سے کوئی شخص وتر پڑھ لے تو وہ دو رکعت ادا کرے ، اگر وہ رات کے وقت بیدار ہو جائے (تو پھر وہ نماز تہجد پڑھے) ورنہ وہ دو رکعتیں اس کے لیے کافی ہوں گی
----
Hazrat Thawban RadiAllahu Anhu reports that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: "Verily awaking is difficult and burdensome”. Therefore when you pray witr offer two additional rak’ats thereafter. If he then manages to awaken (for Tahajjud, so be it) if not, these (two rak’ats) will be for him (like tahajjud)
----
Mishkat ul Masabeeh#1286-Sahih

Maut ke waqt inmein kaunsa amal dil ke yakeen se ho to Allah Subhanahu uski maghfirat farma denge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 930❗ 

Sawal: Maut ke waqt inmein kaunsa amal dil ke yakeen se ho to Allah Subhanahu uski maghfirat farma denge

A: Allah se tauba mangna 
B: Kasrat se Astagfaar padhna
C: Kalma Shahadat padhna 
D: Sadqa karna
E: Allah ka kasrat se zikr karna
F: La ilaha IllAllah Allahu Akbar padhna 
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

Hadith:  Allah Subhanahu Maut ke waqt Kalma e Shahadat padhne wale ki maghfirat farma denga

Referene📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya jis shakhs ki Maut iss gawahi par ho ke Allah ke siwa koi mabud nahi aur mein  (Muhammed Sallallahu Aalaihi wasallam) Allah ka Rasool hu (yani Kalma e Shahadat par ho) aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah Subhanahu uski maghfirat farma denga
----
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Ashhadu Alla ilaha il-Allahu, Wa Ash-hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh 
Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke bande aur Rasool hain
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جس شخص کی موت اس گواہی پر ہو کہ اللہ تعالیٰ کے علاوہ کوئی معبود برحق نہیں، اور میں اللہ کا رسول ہوں، اور یہ گواہی سچے دل سے ہو تو اللہ تعالیٰ اس کی مغفرت فرما دے گا  ۱؎۔ 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Any soul who died bearing witness from the heart with certainty that There is No God except Allah and that I am the Messenger of Allah than Allah will forgive him
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
I bear witness that there is no God except Allah, and I bear witness that Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam is the slave and Messenger of Allah
----
Sunnan e Ibn e Maja#3796-Sahih

Ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se teen martaba ek sawal pucha lekin wo khamosh rahe usne ye pucha ke kaunsi cheeze haram aur kaunsi cheeze halal hain..to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne us shakhs se kya Irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 929❗

Sawal: Ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se teen martaba ek sawal pucha lekin wo khamosh rahe usne ye pucha ke kaunsi cheeze haram aur kaunsi cheeze halal hain..to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne us shakhs se kya Irshad farmaya

A: Jo Allah ki kitab mein haram hai wo haram
B: Jo Allah ki kitab mein Halal hai wo halal
C: Kitabullah aur meri sunnat ko mazbuti se pakad lo
D: Zyada Sawal se bacha karo
E: Halal aur Haram ke beech jo hai us se dur raho
F: Jis se dil mutameen na ho usko chorh do
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Jis cheez se tumhara dil mutmaeen na ho usay chore do

Reference📚:
----
Ek aadmi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujh par kaunsi cheeze haraam hain aur kaunsi halal hain? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam khamosh rahay, is ne teen martaba sawal kiya, har martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam khamosh rahay. phir farmaya : sawal karne wala kaun hain? is aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mein hu. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apni do ungliyo se thonga maari aur farmaya : Jis se tumhara dil mutmaeen na ho usay chore do
---
عبداللہ بن معاویہ بن حدیج رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ ایك آدمی نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال كیا:اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم مجھ پر كونسی چیزیں حرام ہیں اوركونسی حلال ہیں؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم خاموش رہے، اس نے تین مرتبہ سوال كا2، ہر مرتبہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم خاموش رہے۔ پھر فرمایا:سوال كرنے والا كون ہے؟ اس آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول! میں ہوں۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی دو انگلیوں سے ٹھونگ ماری اور فرمایا:جس سے تمہارا دل مطمئن نہ ہو اسے چھوڑ دو
----
It is narrated on the authority of 'Abdullah ibn Mu'awiyah ibn Hadeej (may Allah be pleased with him) that a man asked the Messenger of Allah (may peace be upon him): O Messenger of Allah, which things are forbidden to me and which are permissible? The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) remained silent. He asked the question three times. Each time the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) remained silent. Then he said: Who is the questioner? The man said: O Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him)  ! I am. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) tapped with his two fingers and said: Leave that which does not satisfy your heart.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1664

inmein se kiske zariye Allah Subhanahu kisi qaum ko bulandi aata karte hain ya zillat dete hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 928❗

Sawal: inmein se kiske zariye Allah Subhanahu kisi qaum ko bulandi aata karte hain ya zillat dete hain

A: Parezgaari
B: Namaz
C: Taqwa
D: Quran
E: Azmaeesh
F: Zakat
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Allah Subahnahu Quran ke zariye se kisi qaum ko bulandi par le aate hain aur kisi ko zaleel kara deta hain

Reference📚:
----
Syedna Umar bin khitaab RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Salllalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala is Kitaab (yani Quran) ke zariye baaz qaumon ko rifaten (bulandi/heights) ataa karte hain aur baaz ko zaleel kar dete hain.
----
۔ سیدنا عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس کتاب کے ذریعے بعض قوموں کو رفعتیں عطا کرتے ہیں اور بعض کو ذلیل کر دیتے ہیں۔ 
----
Umar bin khitaab RadiAllahu Anhu narrates that the Prophet Salllalahu Alaihi wasallam said: Allah Almighty gives exaltation to some nations and humiliates others through this book (Quran).
----
Musnad Ahmed#8326-Sahih

Duniya ke cheezon mein se sabse behtareen cheez inmein se kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 927❗

Sawal: Duniya ke cheezon mein se sabse behtareen cheez inmein se kya hain

A: Din daari
B: Haya
C: Aurat
D: Achcha ghar
E: Maal daari 
F: Fakiri 
G: inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab – G Neik aur Saleh Aurat✅

Hadith: Duniya ka behtareen samaan Neik aur Saleh Aurat hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Duniya Mataa (samaan) hain, aur duniya ke samanon mein se koi bhi cheez Naik aur Saleh Aurat se behtar nahi hain.
---
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  دنیا متاع  ( سامان )  ہے، اور دنیا کے سامانوں میں سے کوئی بھی چیز نیک اور صالح عورت سے بہتر نہیں ہے ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “This world is but provisions, and there is no provision in this world better than a righteous wife.”
---
Sunnan e Ibn e Maja#1855-Sahih

Inmein se wo kaunsa amal jab koi shakhs apne bistar par late te waqt karega to Maut ke ilawa har cheez se mehfooz rahega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 926❗

Sawal: Inmein se wo kaunsa amal jab koi shakhs apne bistar par late te waqt karega to Maut ke ilawa har cheez se mehfooz rahega

A: Sone se pahle ki dua padhna aur 3 martaba Surah Ikhlas. Falaq aur Nas padhna 
B: Surah Al Mulk ki tilawat karna
C: Surah Waqiya ki tilawat karna
D: Surah Fatiha aur Surah Ikhlas padhna
E: Al-Mu'awwidhatan padhna 
F: Surah Al Fatiha aur Surah Al Kafiroon padhna  
G: inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Bistar par late te waqt Surah Al Fatiha aur Surah Al-Ikhlas padhne se insaan har cheez se mehfooz hojata hain siwaye Maut ke

Reference📚:
---
Syedna Anas bin Malik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Jab tum apne bistar par late kar Surah Fatiha aur Surah ikhlas padhoge to Maut ke ilawa har cheez se mehfooz rahoge.
---
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جب تم اپنے بستر پر لیٹ کر سورہ فاتحہ اور سورہ اخلاص پڑھو گے تو موت کے علاوہ ہر چیز سے محفوظ رہو گے۔
----
Sayyiduna Anas ibn Malik (radiyallahu ‘anhu) reports that Nabi (sallallahu ‘alayhi wa sallam) said: “When you lay down on your bed and recite Surah Fatihah and Surah Ikhlas, you will certainly be protected from everything except death”
---
(Bazzar; Majma’uz Zawaid, vol. 10 pg. 121)
(See Targhib, vol. 1 pg. 416 & Majma’uz Zawaid, vol. 10 pg. 121)

https://hadithanswers.com/virtue-of-reciting-surah-fatiha-and-surah-ikhlas-before-sleeping/

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne inmein se kiske liye achcha sulooq karne ki wasiyat farmayee thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 925❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne inmein se kiske liye achcha sulooq karne ki wasiyat farmayee thi

A: janwar ke saat
B: Aurton ke saat
C: Muhajireen ke saat
D: Walidain ke saat
E: Ristedaro ke saat
F: Dost ke saat
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - B✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm ne aurton ke saath bhalayee aur Achche sulooq karne ki waseeyat faramaye thi 

Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Aalahi wasallam ne aurton ke bare mein bhalayee ki wasiyat karta hu kyunke wo pasli se paida ki gayi hain aur pasli mein bhi sab se ziyada tedha is ke oopar ka hissa hai. agar tum usay seedha karna chahoge to usay tode daalo ge aur agar usay chore doge to wo tedhi he baqi reh jayegi is liye *mein tumhe Aurton ke baray mein achche sulooq ki wasiyat karta hu *
---
 عورتوں کے بارے میں بھلائی کی وصیت کرتا ہوں کیونکہ وہ پسلی سے پیدا کی گئی ہیں اور پسلی میں بھی سب سے زیادہ ٹیڑھا اس کے اوپر کا حصہ ہے۔ اگر تم اسے سیدھا کرنا چاہو گے تو اسے توڑ ڈالو گے اور اگر اسے چھوڑ دو گے تو وہ ٹیڑھی ہی باقی رہ جائے گی اس لیے میں تمہیں عورتوں کے بارے میں اچھے سلوک کی وصیت کرتا ہوں۔ 
---
Narrated Abu Huraira RadiAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Whoever believes in Allah and the Last Day should not hurt (trouble) his neighbor. And I advise you to take care of the women, for they are created from a rib and the most crooked portion of the rib is its upper part; if you try to straighten it, it will break, and if you leave it, it will remain crooked, so I urge you to take care of the women."
---
Sahih Bukhari#5186

Inmein se Wo kaunsa zulm hain jisse Allah Subhanahu bakhash denge.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 924❗

Sawal: Inmein se Wo kaunsa zulm hain jisse Allah Subhanahu bakhash denge.

A: Riyakari 
B: Bande aur uske RABB ke darmiyan 
C:Ambiyao aur bando ke darmiyan
D: Aurat aur mard ke darmiyan kiya gaya zulm
E: Bandoh aur Janwaro ke beech kiya gaya Zulm
F: Bandoh ke aur Aasaam aur Zameen par kiye gaye zulm
G: Waledain par karne wala zulm
H: In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
I: Sahi jawab ka intezar hai
****
Sahi Jawab - B✅

Hadith: Zulm teen qisam ke hote hain jismein se Wo Zulm jisse bakhash diya jayega wo ye hain Jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hain

📚Reference: 
----
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke zulm teen qisam ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu nahi chhodega, aur Ek zulm ko bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega wo Zulm Jo bakhsha nahi jaye ga wo Shirk hain, jisse Allah Subahanhu maaf nahi karega aur wo Zulm jisse Allah Subahanhu bakhash dega to wo ye Zulm hain Jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hain, aur Wo Zulm jisse chodha nahi jayega wo bandon ke zulm hain, Allah Subahanhu Ek dusre ko badla lekar dega.
---------
انس  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ ظلم تین قسم كے ہیں: ایك ظلم كو اللہ تعالیٰ نہیں چھوڑے گا، اور ایك ظلم كو بخش دے گا اور تیسرا ظلم بخشا نہیں جائے گا۔ وہ ظلم جو بخشا نہیں جائے گا وہ شرك ہے، جسے اللہ تعالیٰ معاف نہیں كرے گا ۔اور وہ ظلم جسے اللہ تعالیٰ بخش دے گا تو وہ یہ ظلم ہے جو بندے اور اس كے رب كے درمیان ہے، اور وہ ظلم جسے چھوڑا نہیں جائے گا وہ بندوں كے ظلم ہیں ، اللہ تعالیٰ ایك دوسرے كو بدلہ لے كر دے گا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1056

Mahfhum e hadith ke mutabiq inmein se tawangari (yani ameer) hona kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 923❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq inmein se tawangari (yani ameer) hona kya hain 

A: bahut sari aulaad 
B: bahut ziyada maal
C: lambi umar pana
D: taqwa aur parezgaar hona
E: dil gani hona chahiye
F: dusro ko apne maal mein se dene ki niyat honi chahiye
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Ameeri ye hain ke dil gani hona chahiye

Reference📚:

Rasool-Allah Salllalahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Tawangari  (ziyada ameer hona) ye nahi hain ke samaan ziyada ho, balke ameeri ye hain ke dil gani ho.“
---
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”تونگری یہ نہیں ہے کہ سامان زیادہ ہو، بلکہ امیری یہ ہے کہ دل غنی ہو۔“
---
Narrated Abu Huraira: The Prophet said,   Riches does not mean, having a great amount of property, but riches is selfcontentment.
---
Sahih Bukhari#6446

inmein se kaunsa amal karne wale ko 10 neikiya milti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 922❗

Sawal: inmein se kaunsa amal karne wale ko 10 neikiya milti hain

A: SubhanAllah kahna
B: Alhamdulillah kahna
C: Allahu Akbar kahna
D: la ilaha ilAllah kahna
E: As salamu alaikum kahna
F: SubhanAllahi wa bihamdihi kahna
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
---
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu kehne se 30 nekiya milti hain

Reference 📚:
---
Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass ek shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne uska jawab diya aur wo baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya das (10 nekiyan mil gayee) Phir ek aur shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bees (20 nekiyan mil gayee)
phir ek aur shakhs aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu ,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya
phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tees (30 nekiyan mil gayee)
----
ایک شخص نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور اس نے  السلام علیکم  کہا، آپ نے اسے سلام کا جواب دیا، پھر وہ بیٹھ گیا، تو نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس کو دس نیکیاں ملیں  پھر ایک اور شخص آیا، اس نے السلام علیکم ورحمتہ اﷲ  کہا، آپ نے اسے جواب دیا، پھر وہ شخص بھی بیٹھ گیا، آپ نے فرمایا:  اس کو بیس نیکیاں ملیں  پھر ایک اور شخص آیا اس نے  السلام علیکم ورحمتہ اﷲ وبرکاتہ  کہا، آپ نے اسے بھی جواب دیا، پھر وہ بھی بیٹھ گیا، آپ نے فرمایا:  اسے تیس نیکیاں ملیں
----
Narrated Imran ibn Hussain Radi Allahu Anhu A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and said: Assalamu Alaikum,
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Ten ( hasnah he has got).
Another man came and said: Assalamu Alaikum Warahmatullahi
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Twenty ( hasnah he has got).
Another man came and said: Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Thirty ( hasnah he has got)
---
Sunan Abu Dawud-5195-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...