❗Only-Quran-Hadith-Quiz 937❗
Sawal: Wo kaun hain jiski namaz qabul nahi hoti na he asmaan ki taraf buland hoti hain
A: kisi ki janaze ki namaz padhana halake ussay bola nahi gaya ho
B: Waqt par namaz nahi padhne walo ki
C: Allah ki Tasbeeh nahi karne walo ki
D: Durud e Ibrahim nahi padhne walon ki
E: Namaz mein susti karne walon ki
F: Zawal ke waqt Nafil namaz padhne walo ki
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - A✅
Hadith: Teen shakhs aise hain jinki Namaz qubool nahi hoti aur na he wo aasman ki taraf buland hoti hain
Reference📚:
----
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se Riwayat hain ke teen shakhs aise hain jin ki Namaz qubool nahi hoti, aur na he wo aasman ki taraf buland hoti hain, na un ke sir se upar jati hain wo shakhs jo kisi qaum ki imamat karwata hain jab ke log usay napasand karte ho wo shakhs jis ne Janaze ki Namaz padhayee halake usay kaha nahi gaya, aur wo aurat jisay raat ke waqt is ke shohar ne bulaya lekin is ne inkaar kar diya.
---
انس بن مالكرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ : تین شخص ایسے ہیں جن كی نماز قبول نہیں ہوتی، اور نہ ہی وہ آسمان كی طرف بلند ہوتی ہے، نہ ان كے سر سے اوپر جاتی ہے۔ وہ شخص جو كسی قوم كی امامت كرواتا ہے جبكہ لوگ اسے ناپسند كرتے ہوں۔ وہ شخص جس نے جنازے كی نماز پڑھائی حالانكہ اسے كہا نہیں گیا، اور وہ عورت جسے رات كے وقت اس كے شوہر نے بلایا لیكن اس نے انكار كر دیا۔
----
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu narrates that: There are three persons whose prayers are not accepted, nor does it ascend to the heavens, nor does it ascend above their heads. A person who leads a nation when people dislike him. The man who offered the funeral prayer even though it was not said, and the woman who was called by her husband at night but she refused.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#610
No comments:
Post a Comment