Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 October 2022

Ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se teen martaba ek sawal pucha lekin wo khamosh rahe usne ye pucha ke kaunsi cheeze haram aur kaunsi cheeze halal hain..to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne us shakhs se kya Irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 929❗

Sawal: Ek shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se teen martaba ek sawal pucha lekin wo khamosh rahe usne ye pucha ke kaunsi cheeze haram aur kaunsi cheeze halal hain..to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne us shakhs se kya Irshad farmaya

A: Jo Allah ki kitab mein haram hai wo haram
B: Jo Allah ki kitab mein Halal hai wo halal
C: Kitabullah aur meri sunnat ko mazbuti se pakad lo
D: Zyada Sawal se bacha karo
E: Halal aur Haram ke beech jo hai us se dur raho
F: Jis se dil mutameen na ho usko chorh do
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Jis cheez se tumhara dil mutmaeen na ho usay chore do

Reference📚:
----
Ek aadmi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujh par kaunsi cheeze haraam hain aur kaunsi halal hain? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam khamosh rahay, is ne teen martaba sawal kiya, har martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam khamosh rahay. phir farmaya : sawal karne wala kaun hain? is aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mein hu. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apni do ungliyo se thonga maari aur farmaya : Jis se tumhara dil mutmaeen na ho usay chore do
---
عبداللہ بن معاویہ بن حدیج رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ ایك آدمی نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال كیا:اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم مجھ پر كونسی چیزیں حرام ہیں اوركونسی حلال ہیں؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم خاموش رہے، اس نے تین مرتبہ سوال كا2، ہر مرتبہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم خاموش رہے۔ پھر فرمایا:سوال كرنے والا كون ہے؟ اس آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول! میں ہوں۔آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی دو انگلیوں سے ٹھونگ ماری اور فرمایا:جس سے تمہارا دل مطمئن نہ ہو اسے چھوڑ دو
----
It is narrated on the authority of 'Abdullah ibn Mu'awiyah ibn Hadeej (may Allah be pleased with him) that a man asked the Messenger of Allah (may peace be upon him): O Messenger of Allah, which things are forbidden to me and which are permissible? The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) remained silent. He asked the question three times. Each time the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) remained silent. Then he said: Who is the questioner? The man said: O Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him)  ! I am. The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) tapped with his two fingers and said: Leave that which does not satisfy your heart.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1664

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...