Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 3 October 2022

inmein se kaunsa amal karne wale ko 10 neikiya milti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 922❗

Sawal: inmein se kaunsa amal karne wale ko 10 neikiya milti hain

A: SubhanAllah kahna
B: Alhamdulillah kahna
C: Allahu Akbar kahna
D: la ilaha ilAllah kahna
E: As salamu alaikum kahna
F: SubhanAllahi wa bihamdihi kahna
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar
---
Sahih Jawab - E✅

Hadith: Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu kehne se 30 nekiya milti hain

Reference 📚:
---
Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass ek shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne uska jawab diya aur wo baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya das (10 nekiyan mil gayee) Phir ek aur shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bees (20 nekiyan mil gayee)
phir ek aur shakhs aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu ,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya
phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tees (30 nekiyan mil gayee)
----
ایک شخص نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور اس نے  السلام علیکم  کہا، آپ نے اسے سلام کا جواب دیا، پھر وہ بیٹھ گیا، تو نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس کو دس نیکیاں ملیں  پھر ایک اور شخص آیا، اس نے السلام علیکم ورحمتہ اﷲ  کہا، آپ نے اسے جواب دیا، پھر وہ شخص بھی بیٹھ گیا، آپ نے فرمایا:  اس کو بیس نیکیاں ملیں  پھر ایک اور شخص آیا اس نے  السلام علیکم ورحمتہ اﷲ وبرکاتہ  کہا، آپ نے اسے بھی جواب دیا، پھر وہ بھی بیٹھ گیا، آپ نے فرمایا:  اسے تیس نیکیاں ملیں
----
Narrated Imran ibn Hussain Radi Allahu Anhu A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and said: Assalamu Alaikum,
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Ten ( hasnah he has got).
Another man came and said: Assalamu Alaikum Warahmatullahi
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Twenty ( hasnah he has got).
Another man came and said: Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam responded to his salutation. He then sat down.
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Thirty ( hasnah he has got)
---
Sunan Abu Dawud-5195-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...