Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 3 October 2022

Wo kaun hain jiske liye 70,000 farishte dua karte hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 934❗

Sawal : Wo kaun hain jiske liye 70,000 farishte dua karte hain?

A: Umrah ko jaane wala
B: Hajj ko jaaane wala
C: Eitkaf karne wala
D: Mareez ki Ayadat karne wala
E: Janaze ke saath jaane wala
F: JIhad mein jana wala
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Mareez ki ayadat karne walon ke liye inamaat

Reference📚:
----
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne (beemar) musalman bhai ki ayadat ke liye aa raha hota hai to wo aisa hai jaise jannat mein chal raha hai yaha tak ki wo baith jaye ,aur jab wo baith jata hai to Allah ki rahmat usko dhanp leti hai, aur subah ka waqt ho to sham tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshish ki dua karte hain aur agar sham ka waqt ho to subah tak 70,000 farishte uske liye rahmat aur bakhshis ki dua karte hain
----
رسول اللّه صلی اللّه عليه وسلّم  نے فرمایا جب کوئی شخص اپنے کسی (بیمار) مسلمان بھائی کی عیادت کے لئے آ رہا ہوتا ہے تو  وہ  ایسا  ہے  جیسے جنت  میں چلتا ہے یہاں تک کہ بیٹھ جائے، اس کے بیٹھنے پر اللہ کی رحمت اسے ڈھانپ لیتی ہے، پھر اگر صبح کو جائے تو شام تک ستر ہزار فرشتے اس کے لئے بخشس کی  دعاء  کرتے رہتے ہیں اور شام کو جائے تو صبح تک ستر ہزار فرشتے اس کے لئے بخشس  کی دعاء کرتے رہتے ہیں ۔
----
It was narrated that ‘Ali said: “I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: ‘Whoever comes to his Muslim brother and visits him (when he is sick), he is walking among the harvest of Paradise until he sits down, and when he sits down he is covered with mercy. If it is morning, seventy thousand angels will send blessing upon him until evening, and if it is evening, seventy thousand angels will send blessing upon him until morning.’”
----
Sunnan e Ibn e Maja#1442-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...