Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 3 October 2022

Inmein se Wo kaunsa zulm hain jisse Allah Subhanahu bakhash denge.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 924❗

Sawal: Inmein se Wo kaunsa zulm hain jisse Allah Subhanahu bakhash denge.

A: Riyakari 
B: Bande aur uske RABB ke darmiyan 
C:Ambiyao aur bando ke darmiyan
D: Aurat aur mard ke darmiyan kiya gaya zulm
E: Bandoh aur Janwaro ke beech kiya gaya Zulm
F: Bandoh ke aur Aasaam aur Zameen par kiye gaye zulm
G: Waledain par karne wala zulm
H: In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
I: Sahi jawab ka intezar hai
****
Sahi Jawab - B✅

Hadith: Zulm teen qisam ke hote hain jismein se Wo Zulm jisse bakhash diya jayega wo ye hain Jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hain

📚Reference: 
----
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain ke zulm teen qisam ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu nahi chhodega, aur Ek zulm ko bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega wo Zulm Jo bakhsha nahi jaye ga wo Shirk hain, jisse Allah Subahanhu maaf nahi karega aur wo Zulm jisse Allah Subahanhu bakhash dega to wo ye Zulm hain Jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hain, aur Wo Zulm jisse chodha nahi jayega wo bandon ke zulm hain, Allah Subahanhu Ek dusre ko badla lekar dega.
---------
انس  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ ظلم تین قسم كے ہیں: ایك ظلم كو اللہ تعالیٰ نہیں چھوڑے گا، اور ایك ظلم كو بخش دے گا اور تیسرا ظلم بخشا نہیں جائے گا۔ وہ ظلم جو بخشا نہیں جائے گا وہ شرك ہے، جسے اللہ تعالیٰ معاف نہیں كرے گا ۔اور وہ ظلم جسے اللہ تعالیٰ بخش دے گا تو وہ یہ ظلم ہے جو بندے اور اس كے رب كے درمیان ہے، اور وہ ظلم جسے چھوڑا نہیں جائے گا وہ بندوں كے ظلم ہیں ، اللہ تعالیٰ ایك دوسرے كو بدلہ لے كر دے گا
------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1056

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...