❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya ki usne Allah aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki nafarmani ki
A: Nikah na karne wala
B: Amanat mein khayanat karne wala
C: Aulad mein insaaf na karne wala
D: Dadhi ko katne wala
E: Walime ki dawat qubul nahi karne wala
F: Padosi ke saath badsuluki karne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likiye
**************
Sahi Jawab - E✅
Jisne Walime ki dawat qubul nahi ki usne Allah aur Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki nafarmani ki
Reference📚:
--------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke bad tareen khana walime ka woh khana hai, jis mein jis ka haq hai usay roka jata hai aur jis ka haq nahi usay bulaya jata hai, aur jis shakhs ny dawat qubool nahi ki is ny Allah Subhanahu aur is ke Rasool Sallallahu Alaihi waSallaam ki nafarmani ki
------
ابوہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: بدترین كھانا ولیمے كا وہ كھانا ہے، جس میں جس كا حق ہے اسے روكا جاتا ہے اور جس كا حق نہیں اسے بلایا جاتا ہے، اور جس شخص نے دعوت قبول نہ كی اس نے اللہ اور اس كے رسول كی نافرمانی كی۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha#849