Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 15 November 2021

Wo kaun hai jiski taraf Allah Subanahu nahi dekhega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 851❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Wo kaun hai jiski taraf Allah Subanahu nahi dekhega

A: Qible ki taraf thukne wale
B: apne sohar ki nashukrani karne wali Aurat
C: Mehman aane par naraz hone wale
D: apna izhar takkabur se zameen par ghaseet kar chalne wale
E: Namaz mein idhar udhar dhekne wale
F: Madad karke ehsaan jatlane wale
G: Badon ki izzat nahi karne wale
H: jo aurat ki pichli sharamgah mein sohbat kare
I: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - BDFH✅

Hadith: Qayamat ke din in amal karne walo ki taraf Allah Subahanhu nahi dekhega

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya ”Allah Subhanahu is ki taraf Qayamat ke din nazar rehmat nahi karega jo apna kapda takkabur o ghuroor se zameen par ghaseet kar chalta hain.
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اللہ تعالیٰ اس کی طرف قیامت کے دن نظر رحمت نہیں کرے گا جو اپنا کپڑا تکبر و غرور سے زمین پر گھسیٹ کر چلتا ہے۔
---
Sahih Bukhari#5783
****
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Allah Subahnahu is Aurat ki taraf nahi dekhega jo apne shohar ki shukar guzari nahi karti, halaanke wo is ke bagair reh bhi nahi sakti.
----
عبداللہ بن عمرو   رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس عورت کی طرف نہیں دیکھے گا جو اپنے شوہر کی شکر گزاری نہیں کرتی ،حالانکہ وہ اس کے بغیر رہ بھی نہیں سکتی۔
---
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Allah will not look at a woman who is not thankful to her husband, although she cannot live without him.”
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2018
***
Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Allah Subhanahu is shakhs ki taraf (rehmat ki nazar se) nahi dekhega jo kisi mard ya kisi aurat ki dubur (pichli sharamgah) mein sohbat (jamaa) kare “ .
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ اس شخص کی طرف  ( رحمت کی نظر سے )  نہیں دیکھے گا جو کسی مرد یا کسی عورت کی دبر ( پچھلی شرمگاہ ) میں صحبت کرے“۔ 
----
Ibn Abbas narrated that The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Allah will not look at a man who enters a man or a woman in the behind.
----
Jami` at-Tirmidhi-1165-Sahih
****
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Teen shakhs aisay hain ke Allah Subhanahu qayamat ke din unko (nazar rehmat o mohabbat se) nahi dekhega, aur na un ko paak karega aur un ke liye takleef da Azaab hoga. Wo shakhs jo apne kuch de kar ya madad karke Ehsaan jatlata hai jo shakhs apna tehband latkata hain aur jo shakhs jhoot bol kar apna samaan bechta hain.
----
It was narrated from Abu Dharr that the Prophet said: There are three at whom Allah will not look on the Day of Resurrection, nor will He sanctify them, and theirs will be a painful torment: The one who does not give anything but he reminds (the recipient of his gift), the one who drags his Izar (below the ankles), and the one who sells his product by means of false oaths. 
----
حضرت ابوذر رضی اللہ عنہ سے منقول ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ تین شخص ایسے ہیں کہ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن ان کو ( نظر رحمت و محبت سے ) نہیں دیکھے گا ، اور نہ ان کو پاک کرے گا اور ان کے لیے تکلیف دہ عذاب ہو گا ۔ وہ شخص جو اپنے عطیے پر احسان جتلاتا ہے ۔ جو شخص اپنا تہبند لٹکاتا ہے اور جو شخص جھوٹ بول کر اپنا سامان بیچتا ہے ۔‘‘
 -----
Sunnan e Nisai#4464-Sahih

Aadmi ke bura hone ke liye kya cheez kaafi hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 850❗

Sawal: Aadmi ke bura hone ke liye kya cheez kaafi hain

A: Logo ko burey kaam se na roke
B: Wo sirf apne baare mein soche
C: panch waqt ki namaz Ada na kare
D: Ek dusre ko taane dena 
E: halal aur haram mein farq na rakhe
F: Musalman bhai ko haqeer samajhe
G: Inmein se koi nahi (apna sahih jawab likhiye) 
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - F✅ (Musalman bhai ko haqeer samjhe)

Hadith: Aadmi ke bura hone ke liye yahi kafi hain ke wo apne Musalman bhai ko haqeer samjhe

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Aadmi ke bura hone ke liye yahi kaafi hain ke wo apne muslim bhai ki tehqeer kare (yani usko haqeer samjhe)
----
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: It is sufficient evil for a man to look down on his Muslim brother.”
----
  حقیر سمجھےرسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  شر سے آدمی کے لیے یہی کافی ہے کہ وہ اپنے  مسلم بھائی کی تحقیر کرے (حقیر سمجھے
----
Sunnan e Ibn e Maja#4213-Sahih

Allah Subhanahu ne jo bhi neimate bande ko di hain unmein se sabse behtareen cheez kaunsi hai jisse tum Allah Subhanahu ko lauta sakte ho?

 ❗Only-Quran- Hadith-Quiz 849❗

❗Sawal: Allah Subhanahu ne jo bhi neimate bande ko di hain unmein se sabse behtareen cheez kaunsi hai jisse tum Allah Subhanahu ko lauta sakte ho?

A:  Sunnat k tariqe pe chalne wale 
B: Allah ka zikr karne wala dil
C: Allah ka zikr karti huyee zuban
D: Paak Nafs 
E: Allah ke khauff mein behta huwa aansoo
F: Halal maal ka sadqa
G: Allah ki raah mein apni Jaan ki Qurbani 
H: Inmein se koi nahi toh apna sahi jawab likhen
I: Sahi jawab ka intezar
*****
Sahi Jawab - H✅

Sabse behtareen Amal jo banda Allah Subahnahu ko lauta sakta hain wo hain Qur'aan

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yaqeenan tum Allah Subhanahu ko is se behtareen koi cheez nahi lauta satke jo isse nikalee hain yani Qur'aan.
-----
The Prophet peace and blessings of Allah be upon him said: Surely you cannot give to Allah anything better than what has come out of it, that is, the Qur'aan.
---
آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: یقیناً تم اللہ کو اس سے بہترین کوئی چیز نہیں لوٹا سکتے جو اس سے نکلی ہے ۔یعنی قرآن۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2830-Sahih

Mahfum e hadith ke mutabiq Sharmindagi kya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 848❗

Sawal : Mahfum e hadith ke mutabiq  Sharmindagi kya hain?

A: Namaz na padhna
B: Karz lena
C: bukhl (kanjusi) karna
D: Kabira Gunah karna
E: Logo ko dhokha dena
F: Astagfar karna
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahi jawab F ✅

Hadith: Sharmindigi/Nadamat karna tauba karna hain

Reference : 📚
--------
 Mein apne waalid ke sath Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu ke paas gaya to mein ne un ko kehte huwe suna ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Nadamat (sharmindagi) tauba hain, mere waalid ne un se poocha ke Aap ne Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ko kehte huwe suna hain ke Nadamat tauba hai? unhon ne kaha : haan.
--------
 میں اپنے والد کے ساتھ عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ کے پاس گیا تو میں نے ان کو کہتے ہوئے سنا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  ندامت  ( شرمندگی )  توبہ ہے ، میرے والد نے انA سے پوچھا کہ آپ نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو کہتے ہوئے سنا ہے کہ ندامت توبہ ہے؟ انہوں نے کہا:  ہاں ۔ 
--------
It was narrated that Ibn Ma’qil said: “I entered with my father upon ‘Abdullah, and I heard him say: ‘The messenger of Allah (ﷺ) said: “Regret is repentance.” My father said: ‘Did you hear the Prophet (ﷺ) say: “Regret is repentance?” He said: ‘Yes.’” 
-------
Sunnan e Ibn e Maja#4252-Sahih

Allah Subhanahu inmein se kis ko dost rakhta hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 847❗

❗Mahfhum mukkamal kijiye

Sawal: Allah Subhanahu inmein se kis ko dost rakhta hain?

A: Hadith ko yaad karne wale aur dusro tak pahuchne wale
B: Ehsan karne wale ko
C: Masjid banane wale ko
D: Masjid mein jamat ke saath namaz aada karne walo ko
E: Quran ki ek ayat hifz karne walo ko
F: Kasrat se Astagfaar karne walo ko
G: Ilm hasil karne walo ko
H: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
I:Sahih Jawab ka intezaar
**********
Sahih Jawab - B✅

Reference📚:
----
Bismillahirahmanirrahim

Al-Quran: Allah Subhanahu Ehsaan karne walo ko dost rakhta hain
---------
Allah Subhanahu ki raah mein kharch karo aur apne hathon , halakat main na padho aur suluk wa Ehsaan karo Allah Subhanahu Ehsaan karne walo ko dost rakhta hain
-----
اللہ تعالٰی کی راہ میں خرچ کرو اور اپنے ہاتھوں ہلاکت میں نہ پڑو اور سلوک و احسان کرو اللہ تعالٰی احسان کرنے والوں کو دوست رکھتا ہے ۔
-----
And spend in the way of Allah and do not throw [yourselves] with your [own] hands into destruction [by refraining]. And do good; indeed, Allah loves the doers of good. 
-----
Surah baqara (2:195)

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shakhs ke liye farmaya ke us shakhs ne amal kam kiya par ajar bahut zyada lekar gaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 846❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shakhs ke liye farmaya ke us shakhs ne amal kam kiya par ajar bahut zyada lekar gaya 

Us shakhs ne kounsa amal kiya tha?

A. Imaan lakar jihaad kiya aur shahadat payi
B. Imaan laya aur faut hogaya
C. Jihaad ka irada kiya lekin shamil nahi ho paya
D. Umrah ke niyat se nikla aur faut hogaya
E. Qata taluqi ke bawajud ristedaro ke saath sila rehmi kiya karta tha
F. Beemari mein sabr kiya aur faut hogaya
G. In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
H. Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi jawab A ✅

Hadith: Islam lakar Jihad mein shamil hona aur fir shaheed hone wale ki fazilaat

Reference : 📚
--------
Barah Radi Allahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke (Ek Ansari ) Aadmi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya, jis ne zarah pahani huwi thi. kehnay laga : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! mein qitaal karoon ya islam laoo? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : (nahi, balkay) pehlay Islam laoo phir qitaal karo, wo musalman hogaya, phir ladtay ladtay shaheed hogaya. Rasool-Allah SallLlahu Alaihi Wasallam ne farmaya : is ne amal thoda kiya lekin ajar bohat ziyada le gaya
-------
براء  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ(ایک انصاری)آدمی نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کے پاس آیا، جس نے زرہ پہنی ہوئی تھی ۔کہنے لگا:اے اللہ کے رسول! میں قتال کروں یا اسلام لاؤں؟ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:(نہیں، بلکہ)پہلے اسلام لاؤ پھر قتال کرو، وہ مسلمان ہوگیا، پھر لڑتے لڑتے شہید ہوگیا۔ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا:اس نے عمل تھوڑا کیا لیکن اجر بہت زیادہ لے گیا۔
----
Barah RadiAllahu Anhu narrated that a man (Ansari) came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam who was wearing armor. He said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Should I fight or convert to Islam? The Prophet Sallallallahu Alaihi wasallam said: (No, but) first convert to Islam, then fight, he became a Muslim, then he became a martyr while fighting. The Messenger of Allah Sallalllahu Alaihi wasallam said: He did little but took a lot of reward
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2102

kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya hain ke usne khud apne app par Dozakh wajib kar liya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 845❗

Sawal: kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya hain ke usne khud apne app par Dozakh wajib kar liya hain

A: Jhooti gawai dene wale
B: Logon ki gheebat karne wale
C: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam sun kar Durood nahi padhne wale 
D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke minber ke paas jhooti kasam khaane wale 
E: Momeen par jhoota ilzam lagane wale 
F: Miya biwi ke darmiyan ladai karane wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Jo shakhs iss minber ke paas jhooti qasam lega usne khud par Dozakh wajib kar liya

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya iss minber ke paas koi Gulam, Aurat Jhooti Qasam nahi kehta agar wo Qasam ek taza Miswak he ke liye ho magar Dozakh ki aag us par wajib ho jaati hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: 'No man or woman swears a false oath beside this pulpit, even if it is for a fresh twig, but he will be doomed to Hell.” 
---
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس منبر کے پاس کوئی غلام یا لونڈی جھوٹی قسم نہیں کھاتا، اگرچہ وہ قسم ایک تازہ مسواک ہی کے لیے ہو، مگر جہنم کی آگ اس پر واجب ہو جاتی ہے ۔ 
---
Sunnan e Ibn e Maja#2326-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...