❗Only-Quran-Hadith-Quiz 846❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shakhs ke liye farmaya ke us shakhs ne amal kam kiya par ajar bahut zyada lekar gaya
Us shakhs ne kounsa amal kiya tha?
A. Imaan lakar jihaad kiya aur shahadat payi
B. Imaan laya aur faut hogaya
C. Jihaad ka irada kiya lekin shamil nahi ho paya
D. Umrah ke niyat se nikla aur faut hogaya
E. Qata taluqi ke bawajud ristedaro ke saath sila rehmi kiya karta tha
F. Beemari mein sabr kiya aur faut hogaya
G. In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
H. Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi jawab A ✅
Hadith: Islam lakar Jihad mein shamil hona aur fir shaheed hone wale ki fazilaat
Reference : 📚
--------
Barah Radi Allahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke (Ek Ansari ) Aadmi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya, jis ne zarah pahani huwi thi. kehnay laga : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! mein qitaal karoon ya islam laoo? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : (nahi, balkay) pehlay Islam laoo phir qitaal karo, wo musalman hogaya, phir ladtay ladtay shaheed hogaya. Rasool-Allah SallLlahu Alaihi Wasallam ne farmaya : is ne amal thoda kiya lekin ajar bohat ziyada le gaya
-------
براء رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ(ایک انصاری)آدمی نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا، جس نے زرہ پہنی ہوئی تھی ۔کہنے لگا:اے اللہ کے رسول! میں قتال کروں یا اسلام لاؤں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:(نہیں، بلکہ)پہلے اسلام لاؤ پھر قتال کرو، وہ مسلمان ہوگیا، پھر لڑتے لڑتے شہید ہوگیا۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:اس نے عمل تھوڑا کیا لیکن اجر بہت زیادہ لے گیا۔
----
Barah RadiAllahu Anhu narrated that a man (Ansari) came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam who was wearing armor. He said: O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam! Should I fight or convert to Islam? The Prophet Sallallallahu Alaihi wasallam said: (No, but) first convert to Islam, then fight, he became a Muslim, then he became a martyr while fighting. The Messenger of Allah Sallalllahu Alaihi wasallam said: He did little but took a lot of reward
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2102
incredible article distributed here by you. i've for a long while been itching to adapt new things with respect to this subject, and i have unquestionably adapted new things today. quran for beginners
ReplyDelete