❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 766❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal : Ek hadees ke mutabiq Allah Subhanahu bande ke gunah kab tak muaff karta rahega?
A : Jab tak dua karta rahega
B : Jab Allah subhanahu se umeed aur tauqeeyat lagakar rakhega
C : Jab gunah zameen ke barabar karega aur maghfirat talab karega
D : Jab gunah aasmaan chune lagenge aur maghfirat talab karega
E : Jab tak wo naumeed nahi hoga
F : Jab tak wo gunah ke baad neiki nahi karega
G : Jab jhoot bolna chodh dega aur
Haraam ki gayi cheezo se door rahega tab tak
H : Sahi jawab ka Intezaar
*******
Sahih Jawab - ABCD✅
Hadith: Jab tak banda Allah se Dua aur Maghfirat talab karta rahega Allah Subhanahu usse bakhshta rahega chahe...
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna: ”Allah kehta hai : Eh Aadam ke bete! jab tak tu mujh se duaien karta rahega aur mujh se apni umeeden aur tauqeeyat wabasta rakhega mein tujhe bakhshta rahonga, chahe tere gunah kisi bhi darje par puhanche huwe ho, mujhe kisi baat ki parwah o dar nahi hai, Eh Aadam ke bete! agar tere gunah aasman ko chone lagen phir to mujh se maghfirat talab karne lage to mein tujhe bakhash dunga aur mujhe kisi baat ki parwah na hogi. Eh Aadam ke bete! agar tu zameen barabar bhi gunah kar baithy aur phir mujhse ( maghfirat talabb karne ke liye ) miley lekin mere sath kisi terhan ka shirk na kiya ho to mein tere paas is ke barabar maghfirat le kar aooga (aur tujhe bakhash dunga)
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: ”اللہ کہتا ہے: اے آدم کے بیٹے! جب تک تو مجھ سے دعائیں کرتا رہے گا اور مجھ سے اپنی امیدیں اور توقعات وابستہ رکھے گا میں تجھے بخشتا رہوں گا، چاہے تیرے گناہ کسی بھی درجے پر پہنچے ہوئے ہوں، مجھے کسی بات کی پرواہ و ڈر نہیں ہے، اے آدم کے بیٹے! اگر تیرے گناہ آسمان کو چھونے لگیں پھر تو مجھ سے مغفرت طلب کرنے لگے تو میں تجھے بخش دوں گا اور مجھے کسی بات کی پرواہ نہ ہو گی۔ اے آدم کے بیٹے! اگر تو زمین برابر بھی گناہ کر بیٹھے اور پھر مجھ سے ( مغفرت طلب کرنے کے لیے ) ملے لیکن میرے ساتھ کسی طرح کا شرک نہ کیا ہو تو میں تیرے پاس اس کے برابر مغفرت لے کر آؤں گا ( اور تجھے بخش دوں گا )
---
Anas bin Malik narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “Allah, Blessed is He and Most High, said: ‘O son of Adam! Verily as long as you called upon Me and hoped in Me, I forgave you, despite whatever may have occurred from you, and I did not mind. O son of Adam! Were your sins to reach the clouds of the sky, then you sought forgiveness from Me, I would forgive you, and I would not mind. So son of Adam! If you came to me with sins nearly as great as the earth, and then you met Me not associating anything with Me, I would come to you with forgiveness nearly as great as it.’”
----
Jam e Tirmazi#3540-Sahih