❗Only-Quran-Hadith-Quiz 941❗
Sawal: Ek amal aisa hai jis ke karne wale se Allah Subhanhu tab tak naraz rahta hain jab tak wo usko chorh na de
A: Ilm chupana
B: Logon ka mazaq udana
C: Apne bhai se bughz rakhna
D: ilm hone ke bawajood nahaq jaghda karna
E: Nahaq kisi ka maal hatiyana
F: haq ko nahaq batana
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
**********
Sahih Jawab - D✅
Hadith: Jo ilm hone ke bawajud na haq kisi se jaghda kare wo tab tak Allah Subhanahu ki narazgi mein rahega jab tak wo usper qadir rahega ya usse chorh nahi deta
Reference📚:
----
Syedna Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo ilm hone ke bawajood nahaq jhagda karen (dast bardaar) (yani usper qadir hone ya usse na chorhne) tak Allah Subahanhu ki narazgi mein hoga
----
سیدنا عبد اللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جو علم ہونے کے باوجود ناحق جھگڑا کرے تو وہ اس سے دستبردار ہونے تک اللہ تعالی کی ناراضگی میں ہو گا۔
----
Abdullah bin' Umar RadiAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever fights unjustly despite his knowledge, he will be in the wrath of Allah Almighty until he gives up on it.
----
Musnad Ahmed#6414-Sahih