Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 15 October 2020

Mafhum e Hadith ke mutabiq Qayamat kis waqt tak qaim nahi hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hain❗


Sawal: Mafhum e Hadith ke mutabiq Qayamat kis waqt tak qaim nahi hogi


A: Beemariya aam hojaye

B: Qatal aam hojayega

C: log waqt par Namaz nahi aada karenge

D: Jhoot bolna ziyada hojayega

E: Maal ki tangi

F: Bazaar Qareeb aajayege

G: Waqt tezi se guzarne lagega

H: Fitne Zahir honge


I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - BDFGH✅


Qayamat uss waqt tak qayam nahi hogi jab tak...


Reference📚:

-----

Abu Huraira RadiAllahu Anhu riwayat hai ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat is waqt tak qaim nahi hogi jab tak fitne zahir na hojayen, jhoot ziyada na hojaye, bazaar qareeb na ajayeen, waqt qareeb na aajaye (tezi se guzarne lagey) aur Harj ziyada na hojaye poocha gaya : Harj kya hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qatal

----


ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت اس وقت تک قائم نہیں ہوگی جب تک فتےج ظاہر نہ ہو جائیں، جھوٹ زیادہ نہ ہو جائے، بازار قریب نہ آجائیں،وقت قریب نہ آجائے(تیزی سےگزرنے لگے)اورهَرْجُ زیادہ نہ ہو جائے۔ پوچھا گیا: هَرْجُ کیا ہے؟ آپ نے فرمایا:قتل

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2714-Sahih

Namaz ke baad padhne ki dua



Bismillahirrahmannirrahim

Namaz ke baad padhne ki dua

Soban RadiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab apni namaz se fariq hote to 3 baar Astagfaar padhte aur uske baad ye dua padhte

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏

Allahumma Antas Salam wa minkas salam tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram 

Ya Allah tu he As-Salam hain aur Salamti teri he taraf se hain, tu barkat wala hain, Eh Jalal wale aur Izzat bakshne wale.
Sahih Muslim, 1334- Sahih
-------
  رسول  اللہ ﷺ جب اپنی نماز سے فارغ ہوتے تو تین دفعہ استغفار پڑھتے (استغفر اللہ ، استغفر اللہ،استغفر اللہ )  اور اس  کے بعد یہ دعا پڑھتے 

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
اے اللہ ! تو ہی سلام ہے اور سلامتی تیری ہی طرف سے ہے  ، تو برکت والا  ہے  ،  اے جلال والے اور عزت بخشنے والے 
----------
Soban RadiAllahu Anhu reported: When the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  finished his prayer. He asked for forgiveness three times (Astagfirullah) and said this dua

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏

Allahumma Antas Salam wa minkas salam tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram 

O Allah! You are As-Salam, From you is all peace, blessed are You, O Possessor of majesty and honour.
Sahih Muslim, 1344-Sahih

Azan ke alfaaz ko sacche dil se dohrane wala shaqs Jannat mein jayega



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Azan ke alfaaz ko sacche dil se dohrane wala shaqs Jannat mein jayega
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hai ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath thy Bilal RadiAllahu Anhu khade hokar Azan dene lage chunache jab wo khamosh hogaye toh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaqs khulus Dil se yeh kalimat kahega wo jannat me jayega..
----
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، ہم رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ تھے ۔ بلال ؓ کھڑے ہو کر اذان دینے لگے ، چنانچہ جب وہ خاموش ہو گئے تو رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جو شخص خلوص دل سے یہ کلمات کہے گا وہ جنت میں داخل ہو گا ۔‘‘
-----
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 676-Sahih


 

SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hai joh Allah Subhanahu ko intehai pasand hain.
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya chaar kalme, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar behtareen kalaam hain. 
aur Allah Subhanahu ko chaar kalme intehai pasand hain, SubhanAllah, Alhumdullilah La illaha illallaha Allahu Akbar, un mein se jisse bhi pehle padho woh tumahray liye muzir nahi.
----
حضرت سمرہ بن جندب   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ چار کلمے ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، بہترین کلام ہیں 
اللہ کو چار کلمے انتہائی پسند ہیں ، سبحان اللہ ، الحمدللہ ، لا الہ الا اللہ اور اللہ اکبر ، ان میں سے جسے بھی پہلے پڑھو وہ تمہارے لئے مضر نہیں ۔‘‘ 
----
Mishkat ul Masabeeh#2294-Sahih


 

Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf



Bismillahirrahmanirrahim

Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf
------------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi banda,

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
--------
Allah Subhanahu  ke siwa koi mabud barhaq nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na he quwwat

 jab ye kalimat kahta hai to uske (chote chote) gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke jhaag ki tarah (bahut zyada) ho

Jamia Tirmizi, 3460-Sahih
--------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”زمین پر جو کوئی بھی بندہ: 

«لا إله إلا الله والله أكبر ولا حول ولا قوة إلا بالله» 

کہے گا ”اللہ عزوجل کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ہے اور اللہ تعالیٰ سب سے بڑا ہے، اور اللہ سبحانہ و تعالیٰ کے سوا کسی کام کے کرنے کی کسی میں نہ کوئی طاقت ہے اور نہ ہی قوت“، اس کے  ( چھوٹے چھوٹے )  گناہ بخش دیئے جائیں گے، اگرچہ سمندر کی جھاگ کی طرح  ( بہت زیادہ )  ہوں“۔
----------
Hadith : Anyone upon the earth says these words his sins will be forgiven , even if they are like the foam of the sea
---------
Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu narrated that  Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Anyone upon the earth who says these words his sins will be forgiven even if they were like the foam of the sea.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
None has the right to be worshipped but Allah, and Allah is the Greatest, and there is no might nor power except by Allah, 

Jamia Tirmizi, 3460-Sahih


 

Safon ka seedha karna Namaz ki khoobsurti hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Safon ka seedha karna Namaz ki khoobsurti hain
--------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz mein saf seedhi kiya karo kuy na ke Saf ka seedha karna Namaz ki khoobsurti se hain.
-------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نماز میں صف سیدھی كیا كرو، كیونكہ صف كا سیدھا كرنا نماز كی خوب صورتی سے ہے۔
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha#547-Sahih


 

Sare Bani Aadam (Insaan) gunahgaar hain aur behtareen gunah gaar woh hain jo tauba karne wale hain





Bismillahirrahmannirrahim

كُلُّ بَنِي آدَمَ خَطَّاءٌ وَخَيْرُ الْخَطَّائِينَ التَّوَّابُونَ

Kullu Bani aadama khattaan wa khairul khattaeeena At-Tawwabun
-----
Sare Bani Aadam (Insaan) gunahgaar hain aur behtareen gunah gaar woh hain jo tauba karne wale hain
----
سارے بنی آدم  ( انسان )  گناہ گار ہیں اور بہترین گناہ گار وہ ہیں جو توبہ کرنے والے ہیں
------
“Every son of Adam commits sin, and the best of those who commit sin are those who repent.’” 
------
Sunan Ibn e Maja hadees#4251-Sahih


 

Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa



Bismillahirrahmannirrahim

Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua
------
 Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kya main tumhe chand aise kalimat na sikhau jinhe tum Museebat ( ya pareshani) ke waqt ya Museebat mein kaha karo

اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا
Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa
(ALLAH, ALLAH mera RABB hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta)
Sunan Abu Dawood,1525-Sahih
----------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں چند ایسے کلمات نہ سکھاؤں جنہیں تم مصیبت کے وقت یا مصیبت میں کہا کرو 

الله الله ربي لا أشرك به شيئًا
یعنی اللہ ہی میرا رب ہے، میں اس کے ساتھ کسی کو شریک نہیں کرتی 
-----------

Bismillahirrahmanirrahim

Dua to read in distress - Allahu Allahu Rabbi La ushriku behi shayaa

Narrated Asma daughter of Umays Radi Allahu Anhu The Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam said to me: May I not teach you phrases which you say in distress? (These are:) 

 اللَّهُ  اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً*
Allahu Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa 
(Allah , Allah is my Lord, I do not associate anything as partner with Him.) 
Sunan Abu Dawud, 1525-Sahih


Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...