Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 15 October 2020

Mafhum e Hadith ke mutabiq Qayamat kis waqt tak qaim nahi hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hain❗


Sawal: Mafhum e Hadith ke mutabiq Qayamat kis waqt tak qaim nahi hogi


A: Beemariya aam hojaye

B: Qatal aam hojayega

C: log waqt par Namaz nahi aada karenge

D: Jhoot bolna ziyada hojayega

E: Maal ki tangi

F: Bazaar Qareeb aajayege

G: Waqt tezi se guzarne lagega

H: Fitne Zahir honge


I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - BDFGH✅


Qayamat uss waqt tak qayam nahi hogi jab tak...


Reference📚:

-----

Abu Huraira RadiAllahu Anhu riwayat hai ke Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat is waqt tak qaim nahi hogi jab tak fitne zahir na hojayen, jhoot ziyada na hojaye, bazaar qareeb na ajayeen, waqt qareeb na aajaye (tezi se guzarne lagey) aur Harj ziyada na hojaye poocha gaya : Harj kya hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qatal

----


ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت اس وقت تک قائم نہیں ہوگی جب تک فتےج ظاہر نہ ہو جائیں، جھوٹ زیادہ نہ ہو جائے، بازار قریب نہ آجائیں،وقت قریب نہ آجائے(تیزی سےگزرنے لگے)اورهَرْجُ زیادہ نہ ہو جائے۔ پوچھا گیا: هَرْجُ کیا ہے؟ آپ نے فرمایا:قتل

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2714-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...