Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 1 June 2020

As Salamu Alekum and Walekum As Salam












































السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho


Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen







Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua
-------
Saad RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe aisee dua na sikhauu ke jab tum mein se kisi shakhs ko koi takleef ya duniya ki koi aazmayeesh pahunche aur woh yeh dua kare to is ki pareshani dur ho jaye? Aap Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya gaya kyun nahi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Machhli wale (Yuuns Alaihi Salam) ki dua hai:
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
Eh Allah tere siwa koi ibadat ke layaq nahi, tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih
------
سعد رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ ہم نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کے پاس بیٹھے ہوئے تھے آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں ایسی دعا نہ بتاؤں کہ جب تم میں سے کسی شخص کو کوئی تکلیف یا دنیا کی کوئی آزمائش پہنچے اور وہ یہ دعا کرے تو اس کی پریشانی دور ہو جائے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے عرض کیا گیا: کیوں نہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مچھلی والے (یونس علیہ السلام) کی دعا ہے: (لا الٰہ الاّ أنت سبحٰنک انی کنت من الظلمین) اے اللہ تیرے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں تو پاک ہے اور بے شرمی قصوروار ہوئے۔
-----
Hadith: Dua to be recited at the time of distress, difficulties or calamities
-------
Narrated by Saad Radi Allahu Anhu that the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said shall I not teach you a supplication which anybody recite in any distress, difficulties or calamities it will be removed ? 
he said yes (teach me) The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said it is the dua of Dhun-Nun (Yunus Alaihi salam) 
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
None has the right to be worshipped but You , Glorified be You ! Truly, I have been of the wrong-doers.
------
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih


 

Mafhum e hadith ke mutabiq wo kaunsa amal hai jo Ibne Adam ne usse afzal aur koi amal nahi kiya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq wo kaunsa amal hai jo Ibne Adam ne usse afzal aur koi amal nahi kiya hain?

A: Musafah karna
B: Namaz padhna 
C: Kajur Sadqa dena
D: Pani pilana 
E: Achche Akhlaq
F: Gale Milna 
G: Apas men sulah kerana
H: Maaf karna 

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

*****************

Sahi jawab - BGE✅

Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu Nabi Sallalahu Alahi Wasallam se bayan karte hain, Aap ne farmaya : Ibn e Adam ne Namaz, aapas mein sulah, aur achche Akhlaq se afzal koi amal nahi kiya .
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے بیان کرتے ہیں،آپ نے فرمایا:ابن آدم نے نماز، آپس میں صلح، اور اچھے اخلاق سے افضل کوئی عمل نہیں کیا۔
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 165

Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh kya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh kya hai? 

A: Izzat
B: Museebat
C: Ehsaan 
D: Dhoka
E: Dhikhawa 
F: Azmaish 
G: Daulat 
H: Sabr

I: Sahi Jawab ka intezaar?

********************

Sahi Jawab BF✅

Duniya mein srif Museebat aur Azmaish baqi hain

Reference📚:
-------
Muawiya Bin Abi Sufyan RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya duniya mein jo kuch baqi hai woh Museebat aur Azmaish hai aur tum mein se kisi shakhs ke amal ki misaal is bartan ki tarhan hai ki jab is ke uper wala hissa paak saaf ho to is ka nichala hissa bhi paak saaf hota hai aur jab is ka balai hissa gandah ho jaye to is ka nichala hissa bhi gandah ho jata hai.
---------
معاویہ بن ابی سفیان رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:دنیا میں جو كچھ باقی ہے وہ مصیبت اور آزمائش ہے۔ اور تم میں سے كسی شخص كے عمل كی مثال اس برتن كی طرح ہے كہ جب اس كے اوپر والا حصہ پاك صاف ہو تو اس كا نچلا حصہ بھی پاك صاف ہوتا ہے اور جب اس كا بالائی حصہ گندہ ہو جائے تو اس كا نچلا حصہ بھی گندہ ہو جاتا ہے۔
------------------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1229

Aur Allah seenon ke razon se bhi bakhabar hai





Bismillahirrahmannirrahim

وَاللَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
-----
Aur Allah seenon ke razon se bhi bakhabar hai
-----
اور اللہ سینوں کے رازوں سے بھی باخبر ہے
-----
Allah knows what lies within the hearts.
-----
Surah Taghabunn: (64:04)

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...