Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 28 July 2020

in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo





Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
------------------------
✦ Hazrat Abdullah ibn umar Radi allahu anhuma se rivayat hai Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ke nazdeek koi amal itna mehboob aur ba-azmat nahi jitna wo amal hai jo in das dino ( yani Dhil Hija ke pahle 10 din ) mein kiya jaye , isliye tum in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
Masnad Ahmad, Vol 7 , 224
--------------------------
رسول اللہ صلی الله علیه وسلم نے فرمایا الله سبحان تعالیٰ​ کے نزدیک کوئی عمل اتنا محبوب اور با عزت نہیں جتنا وہ عمل ے جو ان دس دنوں (یعنی  ذی الحجہ کے پہلے دس دن ) میں کیے جائیں اسلیے تم ان دس دنوں میں زیادہ سے زیادہ تحلیل (لا إله إلا الله) تکبیر (الله اکبر) اور تمہید (الحمد لله) پڑھا کروں
مسند احمد جلد ۷ ۲۲۴ 
-----------------
✦ हज़रत अब्दुल्लाह इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक कोई अमल इतना महबूब और अजमत वाला नही जितना वो अमल है जो इन दस दीनो ( यानी ज़ुल हिज्जा के पहले 10 दिन ) में किया जाए , इसलिए तुम इन दस दिनों में ज़्यादा से ज़्यादा तहलील (ला इलाहा इल अल्लाह ) तकबीर ( अल्लाहू अकबर) , और तमहीद (अल्हम्दुलिल्लाह) पढ़ा करो
मसनद अहमद, जिल्द 7 , 224
----------------------
✦Abdullaah ibn Umar (may Allaah be pleased with him) that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “There are no days that are greater before Allaah or in which good deeds are more beloved to Him, than these ten days (of Dhul Hijja)), so recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) during them.” 
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224

Jis Hajj ke dauran Buland aawaz se Talbiya padhi jaye wo Hajj Afzal hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis Hajj ke dauran Buland aawaz se Talbiya padhi jaye wo Hajj Afzal hai
----
Abu Bakr Siddique RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaunsa Hajj Afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis mein buland aawaz se Talbiya padha jaye aur qurbani ke janwaron ka khoon bahaya jaye.
---
ابو بكر صدیق‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سےپوچھاگیا:كونسا حج افضل ہے؟آپ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا:جس میں بلند آواز سے تلبیہ پڑھا جائے اور قربانی کے جانوروں کا خون بہایا جائے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1547-Sahih

Allah ke raste mein Jihad, Hajj aur Umrah karne wale Allah Subhanahu ke mehman hai jinko Allah ne bulaya aur unhone Allah ka bulawa kabul kiya





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah ke raste mein Jihad, Hajj aur Umrah karne wale Allah Subhanahu ke mehman hai jinko Allah ne bulaya aur unhone Allah ka bulawa kabul kiya
----
Ibn Umar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Allah ki raah mein jihad karne wala , Hajj karne wala aur umrah karne wala Allah subhanahu ke mehman hain Allah subhanhu ne unko bulaya to wo hazir huye aur unhone Allah subhanahu se maanga to usne inko ata kiya gaya
----'
Sunan Ibn maja, Jild 2, 1050-Hasan
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ : ﺍﻟﻠﮧ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ﺟﮩﺎﺩ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ، ﺣﺞ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﺍﻭﺭ ﻋﻤﺮﮦ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﮐﺎ ﻣﮩﻤﺎﻥ ﮨﮯ، ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻧﮯ ﺍﻥ ﮐﻮ ﺑﻼﯾﺎ ﺗﻮ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺣﺎﺿﺮﯼ ﺩﯼ، ﺍﻭﺭ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﺳﮯ ﻣﺎﻧﮕﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﻋﻄﺎ ﮐﯿﺎ
-----------------------
It was narrated from Ibn Umar Radi Allahu Anhu that the Prophet (ﷺ ) said “The one who fights in the cause of Allah, and the pilgrim performing Hajj and Umrah are a delegation to Allah (Guest of Allah). He invited them, so they responded to Him, and they ask Him and He gives to them.”
----
Sunan Ibn Maja,Book-25,2893-Hasan

Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat








Bismillahirahmanirrahim

Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat
-----
✦ Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ
------
✦  Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
✦  ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 
✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
------
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

*****************

Bismillahirrahmanirraheem

--------
✦  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night,that will be sufficient for him.(it means he will be protected from all kind of evils in that night)
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ
------
✦  Al Quran : The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all).
✦ Allah burdens not a person beyond his scope. He gets reward for that (good) which he has earned, and he is punished for that (evil) which he has earned. 
✦ Our Lord ! Punish us not if we forget or fall into error, 
✦ Our Lord ! Lay not on us a burden like that which You did lay on those before us (Jews and Christians); 
✦ Our Lord ! Put not on us a burden greater than we have strength to bear. 
✦ Pardon us and grant us Forgiveness. Have mercy on us. 
✦ You are our Maula (Patron, Supporter and Protector, etc.) and give us victory over the disbelieving people. 
------
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

Museebat aur pareshni ke waqt padhne ki dua





Bismillahirrahmanirrahim


✦ Museebat aur pareshni ke waqt padhne ki dua
-----------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam pareshaani (aur mushkil) ke waqt ye dua padhte

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ
وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

✦ La ilaha illAllahul Azimul-Haleem, 
✦ La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem 
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-samawati wa Rabbul ard 
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem

Tarjuma : Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo badi azmat wala burdbar hai 
Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo bade arsh ka malik hai 
Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo malik hai aasman ka aur malik hai zameen ka 
Aur malik hai arsh ka jo ezzat wala hai. 
Sahih Muslim, Jild 6, 6921 
----------
ابن عباس رضی اللہ تعالیٰ عنہما سے روایت ہے کہ اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم مصیبت (پریشانی) کے وقت  یہ دعا پڑھتے 

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ 
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں جو بڑھی عظمت والا بردبار  ہے عرش عظیم کے پروردگار کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں آسمانوں کے رب زمین کے رب اور عزت والے عرش کے رب اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں، پڑھتے۔
صحیح مسلم - جلد ٦-٦٩٢١ 
----------
इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम परेशानी (और मुश्किल) के वक़्त ये दुआ पढ़ते

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ 
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहुल अज़ीमुल-हलीम, 
✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहुल रब्बुल अर्श-अल-अज़ीम 
✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहु रब्बुस-समावती वा रब्बुल अर्द 
✦ वा रब्बुल अर्श-अल-करीम

तर्जुमा : कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो बड़ी अज़मत वाला बुर्दबार है 
कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो बड़े अर्श का मलिक है 
कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो मालिक है आसमान का और मालिक है ज़मीन का 
और मालिक है अर्श का जो  ईज्ज़त  वाला है. 
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6921
******************

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dua to recite at the time of trouble
-----------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to supplicate during the time of trouble (with these words):

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ
وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏
✦ La ilaha illAllahul Azimul-Haleem, 
✦ La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-Al-Azeem 
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-Samawati Wa Rabbul Ard 
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem

Translation
✦ There is no god but Allah, the Great, The Tolerant, 
✦ There is no god but Allah, the Lord of the Magnificent Throne 
✦ There is no god but Allah, the Lord of the Heaven and the earth, 
✦ The Lord of the Edifying Throne.
Sahih Muslim, Book 35, 6582

Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Yaum E Arafa ke ilawa aisa koi din nahi jis mein Allah Subhanahu taala bandoh ki baddi tadaad ko Jahannum se azad karta ho. Allah Subhanahu qareeb hota hai, phir farishton par fakhar karta hai aur farmata hai yeh aur kya chahtay hain
-----
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یومِ عرفہ کےعلاوہ ایسا كوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ بندوں کی بڑی تعداد كو جہنم سے آزاد كرتا ہو۔ اللہ قریب ہوتا ہے ،پھر فرشتوں پر فخر كرتا ہے اور فرماتا ہے: یہ اور كیا چاہتے ہیں؟
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1570-Sahih

Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

A: Jab banda apne achche aur bure takdeer per raazi hojata hai
B: Jab banda hikmat se kaam leta hai
C: Aazmaish mein jab banda sabr karta hai
D: Jab banda Allah se dua karta hai
E: Jab bande ka Hajj mukammal hojata hai
F: Yaum e Arafah ke din
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahi Jawab - F✅

Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai

Reference📚
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Yaum E Arafa ke ilawa aisa koi din nahi jis mein Allah Subhanahu taala bandoh ki baddi tadaad ko Jahannum se azad karta ho. Allah Subhanahu qareeb hota hai, phir farishton par fakhar karta hai aur farmata hai yeh aur kya chahtay hain
-----
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یومِ عرفہ کےعلاوہ ایسا كوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ بندوں کی بڑی تعداد كو جہنم سے آزاد كرتا ہو۔ اللہ قریب ہوتا ہے ،پھر فرشتوں پر فخر كرتا ہے اور فرماتا ہے: یہ اور كیا چاہتے ہیں؟
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1570-Sahih

Inmein se sabse ziyada hurmat wala kya hai ya kaun hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se sabse ziyada hurmat wala kya hai ya kaun hain

A: Kaba
B: Hajre aswad
C: Momeen
D: Safa
E: Marwa
F: Mazlum
G: Koh e toor
H: Inmein se koi nahi 

I: Sahi jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye

******
Sahi Jawab - C✅

Allah Subahnahu ke nazdeek sabse ziyada hurmat wala Momeen hain

Reference📚:
------
Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hain Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne kabe ki tarf Dekha toh farmaye iss Ghar Ko Marhaba tum kitne Azeem aur tumari hurmat kitni Azeem hain Jab ke Allah Subhanahu Ke Nazdik Momeen tumse bhi zyada hurmat wala hain Allah Subhanahu ne tumari ek Cheez haram ki aur Momeen ki teen cheezein haram kiye uska Khoon, uska Maal, aur Uske bare Mai Bura guman
----
Narretd by Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu Once  Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam looked at the kaba and said How delightful you are,  How magnificent you are, and how great is your sanctity ! But in the sight of Allah subhanahu  the sanctity of a believer is greater than your sanctity.
Verily, Allah sanctified your one thing but He sanctified the three thing of the believer, his blood, his wealth, and to assume evil about him.
----
Al-Silsila-As-Sahiha  # 3572-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...