Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 28 July 2020

Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

A: Jab banda apne achche aur bure takdeer per raazi hojata hai
B: Jab banda hikmat se kaam leta hai
C: Aazmaish mein jab banda sabr karta hai
D: Jab banda Allah se dua karta hai
E: Jab bande ka Hajj mukammal hojata hai
F: Yaum e Arafah ke din
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahi Jawab - F✅

Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai

Reference📚
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Yaum E Arafa ke ilawa aisa koi din nahi jis mein Allah Subhanahu taala bandoh ki baddi tadaad ko Jahannum se azad karta ho. Allah Subhanahu qareeb hota hai, phir farishton par fakhar karta hai aur farmata hai yeh aur kya chahtay hain
-----
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یومِ عرفہ کےعلاوہ ایسا كوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ بندوں کی بڑی تعداد كو جہنم سے آزاد كرتا ہو۔ اللہ قریب ہوتا ہے ،پھر فرشتوں پر فخر كرتا ہے اور فرماتا ہے: یہ اور كیا چاہتے ہیں؟
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1570-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...