Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 23 March 2021

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek baar apni azwaja mutahharaat se kaha ki in ka maqsad naiki nahi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek baar apni  azwaja mutahharaat se kaha ki in ka maqsad naiki nahi

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal 1 : kon kon si Ummul Momineen ke bare mein RasoolAllah Sallalalhu Alaihi wasallam me aisa kaha

A: Aisha Radi Allahu Anha
B: Habeeba Radi Allahu Anha
C: Khatija Radi Allahu Anha
D: Maimoona  Radi Allahu Anha
E: Safiya Radi Allahu Anha
F: Hafsa Radi Allahu Anha
G: Juweriya Radi Allahu Anha
H: Sawdah Radi Allahu Anha
I: Zainab Radi Allahu Anha

Sawal 2: kya wajah thi jo RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kaha

A: Wo hamesha ek dusre se naraz rahte thy
B: Un me kisi baat ko lekar ekhtilafat ho gaya tha
C: Apni baari ke liye bahas karne lage
D: RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam inmein se ek ko zyada mohabbat karte thy
E: RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ko inmein se ek se zyada lagau tha
F: Wo chahte thy ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam sirf unse mohabbat kare
G: In mein se koi nahi
H: Rabbi zidni ilma
*********
Sahi Jawab - AFI/G
Kynki inka maqsad naiki nahi tha

Reference:
Rasool Sayeda Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai ke Rasool Allah ‌ Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne mahe ramadaan ke aakhri ashra ke aitekaf ka zikar kya, yeh sun kar Sayeda Aisha Radi Allahu Anha ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aitekaf ki ijazat li, aap  ‌sallellahu Alaihi Wa Sallam ne inhen ijazat day di, phir unhon ne –apne liye aik khaimay ka hukum diya, jo nasb kar diya gaya, is ke baad Sayeda Hafsa  Radi Allahu Anha ne Sayeda Aisha Radi Allahu Anha se kaha ke woh is ke liye bhi Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam se aitekaf ki ijazat talabb karen. unhon ne ijazat li le, chunancha unhon ne bhi –apne liye khaima nasb karne ka hukum diya, jo nasb kar diya gaya. jab Sayeda zainab Radi Allahu Anha ne yeh kuch dekha to unhon ne bhi apna khaima lagwa liya. Sayeda Aisha Radi Allahu Anha kehti hain ke jab Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam namaz se farigh ho kar phiray to yeh khaimay dekh kar poocha : yeh kya hai? logon ne bataya ke yeh Sayeda Aisha, Sayeda Hafsa aur Sayeda Zainab ke aitekaf ke liye khaimay lagaye gaye hain, yeh sun kar rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : kya is se tumhara maqsood neki ka hai? mein ne ab aitekaf nahi karna. phir aap ‌ Sallelahu Alaihi Wa Sallam wapas aagaye aur jab mahe ramadaan se farigh hue to shawaal ke das dinon ka aitekaf kya
زوجۂ رسول سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ماہِ رمضان کے آخری عشرہ کے اعتکاف کا ذکر کیا،یہ سن کر سیدہ عائشہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  نے آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  سے اعتکاف کی اجازت لی، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے انہیں اجازت دے دی،پھر  انہوں نے اپنے لیے ایک خیمے کا حکم دیا،جو  نصب کر دیا گیا، اس کے بعد سیدہ حفصہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  نے سیدہ عائشہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے کہا کہ وہ اس کے لیے بھی رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  سے اعتکاف کی اجازت  طلب کریں۔ انہوں نے اجازت لی لے، چنانچہ انہوں نے بھی اپنے لیے خیمہ نصب کرنے کا حکم دیا، جو نصب کر دیا گیا۔ جب سیدہ زینب ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  نے یہ کچھ دیکھا تو انہوں نے بھی اپنا خیمہ لگوا لیا۔ سیدہ عائشہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا کہتی ہیں کہ جب رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نماز سے فارغ ہو کر پھرے تو یہ خیمے دیکھ کر پوچھا:  یہ کیا ہے؟  لوگوں نے بتایا کہ یہ سیدہ عائشہ، سیدہ حفصہ اور سیدہ زینب  کے اعتکاف کیلئے خیمے لگائے گئے ہیں،یہ سن کر رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  کیا اس سے تمہارا مقصود نیکی کا ہے؟ میں نے اب اعتکاف نہیں کرنا۔  پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  واپس آگئے اور جب ماہِ رمضان سے فارغ ہوئے تو شوال کے دس دنوں کا اعتکاف کیا۔
Musnad Ahmed#4006


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...