❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hain❗
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne quran ki ek surah ki tilawat farmayi par unke saathi khamoshi se sunte rahe tabhi Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumse to umdah ye hain
Sawal1: wo kin ke baare mein irshad farma rahe thy ke wo tumse umdah hain
A: Bani Israiel ke qaum ke log thy
B: Quraish ke kuch log
C: Fariston ki jammat
D: Banu Tameem ke log
E: Ansar ke kuch log
F: Auraton ki jammat
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Sawal2: kaunsi aayat par wo log jawab de rahe thy
A: فَأَصْحَابُ الْمَيْمَنَةِ مَا أَصْحَابُ الْمَيْمَنَةِ
B: سُبْحَانَ اللَّهِ عَمَّا يَصِفُونَ
C: * يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفْعَلُونَ *
D: لِّلْكَافِرِينَ لَيْسَ لَهُ دَافِعٌ
E: فَبِاَیِّ اٰلَآءِ رَبِّکُمَا تُکَذِّبٰنِ
F: *يَسْأَلُ أَيَّانَ يَوْمُ الْقِيَامَةِ *
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******************
Sahi Jawab - GE✅
Hadith: Surah Ar Rehman ki fazilat
Reference📚:
----
Jabir Radi Allahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam apne sathiyon ke paas aaye aur un ke samne Surah Ar-Rehman ki tilawat ki, ibteda se le kar intahaa tak. sahaba khamosh rahe, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mein ne jinon wali raat usse jinon ke samne padha to wo tum se behtar jawab dete rahe, mein jab
فَبِاَیِّ اٰلَآءِ رَبِّکُمَا تُکَذِّبٰنِ ﴿۱۳﴾
Padhta to wo kehte : Eh hamare RABB! hum teri kisi Neimat ko nahi jutlate aur tere liye he tareef hain
----
جابررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اپنے ساتھیوں کے پاس آئے اور ان کے سامنے سورہٴ رحمن کی تلاوت کی، ابتداء سے لے کر انتہا تک ۔صحابہ خاموش رہے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے جنوں والی رات اسے جنوں کے سامنے پڑھا تو وہ تم سے بہتر جواب دیتے رہے، میں جب فَبِاَیِّ اٰلَآءِ رَبِّکُمَا تُکَذِّبٰنِ ﴿۱۳﴾ پڑھتا تو وہ کہتے: اے ہمارے رب! ہم تیری کسی نعمت کو نہیں جھٹلاتے اور تیرے لئے ہی تعریف ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2918-Sahih
No comments:
Post a Comment