❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: kaunsa amal karne wale se Allah Subahnahu aakhirat ke din hijab karega aur sabke samne zaleel karega..
A: jisne kisi ke aib ko sabke samne zahir kiya
B: jisne apne baap ko pehchane se inkaar kar diya
C: jiske aibo ko Allah ne parda kiya tha lekin wo sabke samne izhar kare
D: jisne apni aulad ko pehchane se inkaar kar diya
E: jisne apne qaum ke saath dhoka kiya
F: jisne gunah kiya aur sab ke samne uska izhaar kiya
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******************
Sahi Jawab - D✅
Hadith: Apni aulaad ka inkaar karne wale shakhs se Allah qayamat ke din parda karega aur...
Reference📚:
----
Jab Li'an ki aayat nazil huwi to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis Aurat ne kisi qoum mein aise (bacha) ko mila diya jo un mein se nahi tha, to is ka Allah Subahnahu taala se koi talluq nahi, aur wo is ki jannat mein hargiz daakhil nahi hogi, isi terhan jis shakhs ne apne bache ko pehchan lene ke bawajood inkaar kar diya, Qayamat ke din Allah Subhanhu taala is se parda karega, aur sab ke samne is ko zaleel o ruswa karega
----
It was narrated that Abu Hurairah said:
“Then the Verse of Li’an was revealed, the Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Any woman who attributed her child to people to whom he does not belong, then she has no relation to (the religion of) Allah, and she will never enter Paradise, and any man who rejects his child, while he recognizes him, Allah will screen Himself from him on the Day of Resurrection and disgrace him before the witnesses.’”
----
جب لعان کی آیت نازل ہوئی تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس عورت نے کسی قوم میں ایسے ( بچہ ) کو ملا دیا جو ان میں سے نہیں تھا، تو اس کا اللہ تعالیٰ سے کوئی تعلق نہیں، اور وہ اس کی جنت میں ہرگز داخل نہ ہو گی، اسی طرح جس شخص نے اپنے بچے کو پہچان لینے کے باوجود انکار کر دیا، قیامت کے دن اللہ تعالیٰ اس سے پردہ کرے گا، اور سب کے سامنے اس کو ذلیل و رسوا کرے گا ۔
----
Sunnan e Ibn e Maja#2743-Sahih
No comments:
Post a Comment