Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 23 March 2021

Ek Sahabi ko neza lag gaya tha jiske wajah se unka bahut khoon beh gaya tha ye waqiye ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek sahabi ne kiye to Rasool-Allah Sallallahu Alahi wa sallam ne unke liye dua ki

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek Sahabi ko neza lag gaya tha jiske wajah se unka bahut khoon beh gaya tha ye waqiye ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek sahabi ne kiye to Rasool-Allah Sallallahu Alahi wa sallam ne unke liye dua ki 

Sawal: wo khush nasib sahabi kaun thay jinko neza laga tha

A: Umar Radi Allahu Anhu 
B: Khalid bin Waleed Radi Allahu Anhu 
C: Tamim Al-Ansari Radi Allahu Anhu 
D: Zubair bin Awwam Radi Allahu Anhu 
E: Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu 
F: Ubaid Abu Amir Radi Allahu Anhu 
G: Ali RadiAllahu Anhu
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*************
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Ubaid Abu Amir Radi Allahu Anhu ki Fazilat

Reference📚:
----
Abu 'Amir RadiAllahu Anhu ke ghutney mein teer laga to mein un ke paas pahuncha unhon ne farmaya ke is teer ko kheech kar nikaal lo mein ne kheech liya to is se khoon behne laga phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huwa aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko is haadse ki ittila di to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne (un ke liye) dua farmayi:
 اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِعُبَيْدٍ أَبِي 
Eh Allah! Ubaid Abu Amir ki maghfirat farma
---
Narrated Abu Musa: Abu 'Amir was hit with an arrow in his knee, so I went to him and he asked me to remove the arrow. When I removed it, the water started dribbling from it. Then I went to the Prophet (ﷺ) and told him about it. He said, "O Allah! Forgive `Ubaid Abu 'Amir."
---
 ابوعامر رضی اللہ عنہ کے گھٹنے میں تیر لگا تو میں ان کے پاس پہنچا۔ انہوں نے فرمایا کہ اس تیر کو کھینچ کر نکال لو میں نے کھینچ لیا تو اس سے خون بہنے لگا پھر نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم کو اس حادثہ کی اطلاع دی تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے  ( ان کے لیے )  دعا فرمائی «اللهم اغفر لعبيد أبي عامر» اے اللہ! عبید ابوعامر کی مغفرت فرما۔ 
----
Sahih Bukhari#2884

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...