❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kaun hai jisko aakhirat mein aisa lagega ki dozakh usko bahut dur se bhi apni taraf kheech rahi hain
A: Zulm karne wale
B: Kafir
C: Jo Namaz padne mein susti karte thy
D: Wo jo Allah ko bahut kam yaad karte thy
E: Jo Neik kaamo se rokte thy
F: Burey kaam karne ko kahte thy
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
************
Sahih Jawab - B✅
Hadith: Kafiro ko Jahannum 40 baras ki masafat se bhi apni taraf kheech legi
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Kafir ke liye qayamat ke din 50 hazaar saal ki muddat muqarrar ki jayegi, jaisa ke is ne duniya mein amal nahi kiya tha aur kafir jahannum ko dekh raha hoga aur usse ye khayaal aa raha hoga ke jahannum usse 40 baras ki masafat se bhi apni taraf kheech legi
---
سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے روایت ہے، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: کافر کے لیے قیامت کے دن پچاس ہزار سال کی مدت مقرر کی جائے گی، جیسا کہ5 اس نے دنیا میں عمل نہیں کیا تھا اور کافر جہنم کو دیکھ رہا ہوگا اور اسے یہ خیال آ رہا ہو گا کہ جہنم اسے چالیس برس کی مسافت سے بھی اپنی طرف کھینچ لے گی۔
---
Musnad Ahmed#13236-Sahih
No comments:
Post a Comment