Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 30 March 2021

Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kaha ki mujhe ek shakhs ko dikhaya gaya jo lakdi ka sahara liye huwe dozakh me jal raha tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Hadith❗

Ek Baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kaha ki mujhe ek shakhs ko dikhaya gaya jo lakdi ka sahara liye huwe dozakh me jal raha tha

Sawal: Iska gunah kya tha

A: Apne gulam ko peet ta tha
B: Jawaron ko lakdi se marta tha
C: Jutey churata tha
D: Jo haj karne ate thy unka saman chura leta tha
E: Janwaron ko satata  tha
F: Namaz mein logon ko pareshan karta tha 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Hajj ke dauran chori karne wale ko dozak ke aag mein jalane ka azab

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke zamane mein Sooraj ko girhan lag gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz ke liye khade huwe, hum bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke saath khade hogaye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne itna lamba qiyam kiya ke hamein ye gumaan hone laga ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku he nahi karna, bil akhir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku kiya aur qareeb nahi tha ke ruku se sir uthayen, phir sir uthaya aur sajde mein gir gaye, qareeb nahi tha ke is se bhi sir uthatay, bil akhir sir uthaya aur (jalsa mein) baith gaye (aur itni dair ke liye baithe rahe ke) qareeb nahi tha ke dosra sajda karen ge, phir sajda kiya aur qareeb nahi tha ke sajda se sir uthayen ge ,phir dusri rakaat bhi pehli rakaat ki terhan ada ki, jab dusri rakaat ka sajda kar rahe thy to zameen mein phonkna aur rona shuru kar diya aur ye kehna shuru kar diya Eh RABB! tu un ko azaab kyun de raha hai, halaanke mein un mein majud hu, Eh RABB! tu hamein azaab kyun deta hain, halaank hum tujh se bakhshish talab kar rahe hain phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna sir uthaya aur Suraj saaf hochuka tha, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz mukammal karne ke baad Allah ki hamd wa Sana bayan ki aur farmaya : Eh logo! beshak Suraj aur Chaand Allah ki nishano mein se do nishaniya hain, pus jab tum un mein se kisi ko be noor hota dekho to dar kar masjid ki taraf panah lo is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! tehqeeq mere upar Jannat paish ki gayi (aur itni qareeb ki gayi ke) agar mein chahta to iski tehni ko pakad leta aur mujh par aag ko bhi paish kiya gaya (aur itna qareeb kiya gaya ke) is darr se mein usko bujha raha tha ke Wo kahi tumko apni lapet mein na le le. Maine is mein hameer qabile ki ek siyah rang ki taweel Aurat dekhi Isko ek billi ki wajah se azaab diya jaa raha tha isne isko bandh diya tha na isko khud khilati pilati thi na isko chodti thi ke wo zameen ke hashraat khaa sake (azaab ki kaifiyat ye thi ke) wo jab aag ki taraf aayi to wo billi iski (samne se nochti) aur jab wo wapis jati to wo usko (piche se) nochti . Maine aag mein Banu Dayda ka ek fard ko bhi dekha aur is mein lathi wale ko bhi dekha wo aag mein apni laathi par taik lagaye huwa tha (Is Ka jurm ye tha ke) wo apni laathi ke saath hajiyon ki chori kiya karta tha. Pus jab logon ko is ka pata lag jata to wo kehta main chori to nahi kar raha waise ye cheez laathi ke saath latak gayi hain.
----
سیّدنا عبد اللہ بن عمرو بن عاص ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے زمانے میں سورج کو گرہن لگ گیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نماز کے لیے کھڑے ہوئے، ہم بھی آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ کھڑے ہوگئے،آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے اتنا لمبا قیام کیاکہ ہمیں یہ گمان ہونے لگا کہ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے رکوع ہی نہیں کرنا، بالآخر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے رکوع کیا اور قریب نہیں تھا کہ رکوع سے سر اٹھائیں، پھر سر اٹھایا اور سجدے میں گر گئے، قریب نہیں تھا کہ اس سے بھی سر اٹھاتے، بالآخر سر اٹھایا اور (جلسہ میں) بیٹھ گئے (اور اتنی دیر کے لیے بیٹھے رہے کہ) قریب نہیں تھا کہ دوسرا سجدہ کریں گے، پھر سجدہ کیا اور قریب نہیں تھا کہ سجدہ سے سر اٹھائیں گے، پھر دوسری رکعت بھی پہلی رکعت کی طرح ادا کی، جب دوسری رکعت کا سجدہ کر رہے تھے تو زمین میں پھونکنا اور رونا شروع کر دیا اور یہ کہنا شروع کر دیا:  اے رب! تو ان کو عذاب کیوں دے رہا ہے، حالانکہ میں ان میں موجود ہوں، اے رب! تو ہمیں عذاب کیوں دیتا ہے، حالانکہ ہم تجھ سے بخشش طلب کر رہے ہیں۔  پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اپنا سر اٹھایا اور سورج صاف ہوچکا تھا، پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے نماز مکمل کرنے کے بعد اللہ کی حمدو ثنا بیان کی اور فرمایا:  اے لوگو! بے شک سورج اور چاند اللہ کی نشانیوں میں سے دو نشانیاں ہیں، پس جب تم ان میں سے کسی کو بے نور ہوتا دیکھو تو ڈر کر مساجد کی طرف پناہ لو۔ اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے!تحقیق میرے اوپر جنت پیش کی گئی (اور اتنی قریب کی گئی کہ) اگر میں چاہتا تو اس کی ٹہنی کو پکڑ لیتا اورمجھ پر آگ کو بھی پیش کیا گیا (اور اتنا قریب کیا گیا کہ) اس ڈر سے میں اس کو بجھا رہا تھا کہ وہ کہیں تم کو اپنی لپیٹ میں نہ لے لے۔میں نے اس میں حمیر قبیلے کی ایک سیاہ رنگ کی طویل عورت دیکھی،اس کوایک بلی کی وجہ سے عذاب دیا جا رہا تھا، اس نے اس کو باندھ دیا تھا، نہ اس کو خود کھلاتی پلاتی تھی اور نہ اس کو چھوڑتی تھی کہ وہ زمین کے حشرات وغیرہ کھا سکے، (عذاب کی کیفیت یہ تھی کہ) وہ جب آگے کی طرف آتی تو وہ بلی اس کو (سامنے سے) نوچتی اور جب وہ واپس جاتی تو وہ اس کو (پیچھے سے) نوچتی، میں نے آگ میں بنو دعدع کے ایک فرد کو بھی دیکھا اور اس میں لاٹھی والے کو بھی دیکھا، وہ آگ میں اپنی لاٹھی پر ٹیک لگائے ہوئے تھا، (اس کا جرم یہ تھا کہ) وہ اپنی لاٹھی کے ساتھ حاجیوں کی چوری کیا کرتا تھا، پس جب لوگوں کو اس کا پتہ لگ جاتا تو وہ کہتا: میں چوری تو نہیں کر رہا، ویسے یہ چیز لاٹھی کے ساتھ لٹک گئی ہے۔ 
----
Musnad Ahmed#2896-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...