Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 30 March 2021

Ek Ummul Momineen aisa amal karti thi jo wo kabhi bhi nahi chodna chahti thi chahe unke baap qabr se uthe aur kahe ki use mat karna

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek Ummul Momineen aisa amal karti thi jo wo kabhi bhi nahi chodna chahti thi chahe unke baap qabr se uthe aur kahe ki use mat karna

WO amal konsa tha

A: Sadqa
B: Sila Rehami
C: Tahhajjud ki namaz 
D: Miskeen ko khana khilana
E: Yateem ke sir par haath rakhna
F: Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ke waqt mein nafil namaz padhna
G: inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar

Sawal2: Uss Ummul Momineen ka kya naam tha

A: Habeeba Radi Allahu Anha
B: Khatija Radi Allahu Anha
C: Safiya Radi Allahu Anha
D: Hafsa Radi Allahu Anha
E: Juweriya Radi Allahu Anha
F: Sawdah Radi Allahu Anha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab – FG✅

Hadith: Ayesha RadiAllahu Anhu Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ke ehad mein Nafil namaz padhne ka bayan

Reference📚:

Sayyedna Aisha RadiAllahu Anhu ka bayan hain ke mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke ehad (waqt) mein Ek (Nafil) namaz padha karti thi ab agar mere walid bhi qabar se uth kar aakar mujhe is se mana karen to mein is Namaz ko tark nahi karoongi
------
سیدہ عائشہ رضی اللہ عنہا کا بیان ہے کہ میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے عہد میں ایک (نفل) نماز پڑھا کرتی تھی۔ اب اگر میرے والد بھی قبر سے اٹھ کر آکر مجھے اس سے منع کریں تو میں اس نماز کو ترک نہ کروں گی۔
-----
Ayesha RadiAllahu Anhu said that I used to offer a (supererogatory) prayer during the time of the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam. Now if my father also rises from the grave and forbids me from doing so, I will not give up this prayer.
--------
Musnad Ahmed#11431-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...