Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 30 March 2021

Wo kya hai jisse insan barri hojaye to wo islam ko behtareen bana leta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain❗

Sawal: Wo kya hai jisse insan barri hojaye to wo islam ko behtareen bana leta hain

A: Fihash se
B: Nifaq se
C: Bakheeli karne se
D: Badkalami karne se
E: Khayanat karne se 
F: Riyakari karne se
G: Sood lene se
H: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2: Jab koi shakhs Islam ko behtareen bana leta hain to fir usko kya ajar aur sawab milta hain

A: Har kaam mein barkat hoti hain
B: Koi kaam mein azmayesh nahi hoti
C: logo mein mehboob ban jata hain
D: uska har neik kaam sadqa ban jata hain
E: uski umar taweel kar di jati hain
F: uski burai ko neikiyon mein tabdil kar di jati hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
******
Sahi Jawab - BF/G✅

G✅(Har naiki ka usse 10 se lekar 700 gunah tak naikiyan likhi jati hai aur har bura kaam jo wo karta hain to wo itna he likha jata hai jitna ke usne kiya hain)

Hadith: Jo shaqs Nifaq aur Riyakari se nijat pa le wo apne Islam ko umdah bana leta hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihu wasallam ne farmaya ke tum mein se koi shakhs jab apne islam ko umdah bana le (yani nifaq aur riya se pak kar le) to har naik kaam jo wo karta hai is ke aiwaz 10 se le kar 700 guna tak naikiyan likhi jati hain aur har bura kaam jo karta hain to wo itna he likha jata hain (jitna ke is ne kya hain)
----
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle said,   If any one of you improve (follows strictly) his Islamic religion then his good deeds will be rewarded ten times to seven hundred times for each good deed and a bad deed will be recorded as it is. 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تم میں سے کوئی شخص جب اپنے اسلام کو عمدہ بنا لے  ( یعنی نفاق اور ریا سے پاک کر لے )  تو ہر نیک کام جو وہ کرتا ہے اس کے عوض دس سے لے کر سات سو گنا تک نیکیاں لکھی جاتی ہیں اور ہر برا کام جو کرتا ہے تو وہ اتنا ہی لکھا جاتا ہے  ( جتنا کہ اس نے کیا ہے ) ۔ 
----
Sahih Bukhari#42

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...