❗Only-Quran-Hadith-Quiz 938❗
❗Jawab ek se zayda hain
Sawal: kaunsa amal musalmaan bande ke liye lazim hain
A: Jumme ke din gusal karna
B: Salam mein pehal karna
C: Musafah karna
D: Miswak karna
E: Janaze mein hazir hona
F: Cheenk ne wala jab Alhumdullilah kahe to usko jawab mein Ya Rahmak Allah kahe
G: Mareez ki ayadat karna
H:Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - ADEFG✅
Hadith: Ye sare amal karna ek Musalmaan shakhs par lazim hain yani haq hain
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya teen cheezein aise hai jo har Musalman par lazim hain
1. Jume ke din gusal karna
2. Miswak karna
3. Aur agar maisar ho to khushbu lagana
----
ایك انصاری صحابی سے مرفوعا مروی ہے كہ: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تین چیزیں ایسی ہیں جو ہر مسلمان پر لازم ہیں، جمعہ كے دن غسل كرنا، مسواك كرنا اور اگر میسر ہو تو خوشبو لگانا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha - 607
***
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Teen cheeze har musalmaan par lazim hain.
1. Mareez ki ayadat karna
2. Janaze mein hazir hona
3. Cheekne wala jab Alhumdullilah kahe to isse jawab mein Ya Rehmak Allah kahe
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ ،نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے بیان كرتے ہیں كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تین چیزیں ہر مسلمان پر لازم ہیں۔مریض كی عیادت كرنا، جنازے میں حاضر ہونا، چھینكنے والا جب الحمدللہ كہے تو اسے جواب میں ‘‘یَرْحَمُکَ اللہُ کہنا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha - 608
No comments:
Post a Comment