Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 12 September 2020

kaunse amal karne wale ko doh (2) sawab milta hai

 ❗Only-Quran-Hadees Quiz❗


Sawal: kaunse amal karne wale ko doh (2) sawab milta hai


A: Gareebon ko sadqa dene per

B: Bhukhe ko khana khilane per

C: Azan sun kar doharane ke sabab

D: La ilaha illAllah kehne per

E: Ek namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karne per

F: Salam ka jawab dene per

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**************

Sahi Jawab - G✅


Rishtedaar par sadqe karne se do sawab hote hain, Ek sadqe ka aur dusra sila rehmi ka.


Reference📚:


Syedna Salman bin Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Sallam ne farmaya Miskeen par sadqa karne mein sirf sadqy ka sawab hota hai aur rishtedaar par karne se do sawab hote hain, Ek sadqe ka aur dusra sila rehmi ka.

----

 ۔ سیدنا سلمان بن عامر ضَبّی رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: مسکین پر صدقہ کرنے میں صرف صدقے کا ثواب ہوتا ہے اور رشتہ دار پر کرنے سے دو ثواب ہوتے ہیں، ایک صدقہ کا اور دوسرا صلہ رحمی کا۔ 

----

Musnad Ahmed#9061-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se ek dua padha karte thy Ek baar unke sahaba aur ahal o ayal ne farmaya kya apko humare bare mein koi darr hai jabke hum app par aur shariat par Emaan laye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se ek dua padha karte thy Ek baar unke sahaba aur ahal o ayal ne farmaya kya apko humare bare mein koi darr hai jabke hum app par aur shariat par Emaan laye


Sawal: Wo dua kaunsi thi jo Aap Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se padha karte tby?


A: Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith

B: Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa

C: La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem

D: Ya Dhal Jalali Wal-Ikram

E: Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 

F: Rabbana Aatina fid-dunya ḥasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann-nar.

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likiye


***************

Sahi Jawab -G✅


یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِیْنِکَ

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte


Reference📚:

------

Syedna Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yeh dua kiya karte they 


یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِیْنِکَ

 ( Eh dilon ko ulat pulat kar dene walay! Mere dil ko apne deen par jamaye rakhna)


Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba aur ahal o Ayal ne kaha : Eh Allah ke Rasool! kya aap ko hamaray bare mein koi darr hai, jabkay hum Aap par aur Aap ki layi ho Shariat par Emaan laaye hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : beshak tamam dil Allah Subhanahu taala ke haath mein hai wo inko alat palat kar deta hai

-----

 ۔ سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کثرت سے یہ دعا کیا کرتے تھے: … یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِیْنِکَ۔(اے دلوں کو الٹ پلٹ کر دینے والے! میرے دل کو اپنے دین پر جمائے رکھنا)۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے صحابہ اور اہل و عیال نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ کو ہمارے بارے میں کوئی ڈر ہے، جبکہ ہم آپ پر اور آپ کی لائی ہو شریعت پر ایمان لائے ہیں؟آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک تمام دل اللہ تعالیٰ کے ہاتھ میں ہیں، وہ ان کو الٹ پلٹ کر دیتا ہے۔ 

------

Musnad Ahmed#8939-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...