Bismillahirrahmanirrahim
Hadith : 10 Ghulam Aazad, 100 Buraii mita di jayegi, 100 Nekiyn likh di jayegi aur….
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis ne ye kalma
لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
“La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir"
Din mein 100 martaba Parh liya usey 10 ghulamo ko Aazad karney ka sawab milega, aur uskey liye 100 Nekiyan likhi jayegi aur uski 100 buraeeyan mita di jayegi aur us din wo sham tak ke liye shaitan ke shar(buraii) se mehfooz rahega aur koi shaksh us din us se behtar kaam karney wala nahi samjha jayega siwa uskey jo us sey ziyada karey.
Sahih Bukhari, Vol7, 6403
---------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said," Whoever says: "La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir," one hundred times will get the same reward as given for manumitting (freeing) ten slaves; and one hundred good deeds will be written in his accounts, and one hundred sins will be deducted from his accounts, and it (his saying) will be a shield for him from Satan on that day till night, and nobody will be able to do a better deed except the one who does more than he
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 412