Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 25 October 2020

Kaunlog honge jinhe Jannat ki Khusbu bhi nahi payega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunlog honge jinhe Jannat ki Khusbu bhi nahi payega


A: Noha karne wale

B: balon ko siyah rang karne wale

C: thakno ne neeche izhar latkane wale

D: jo maal gin gin ke rakhta hain

E: Jo insaaf nahi karta

F: Jo qarz wapis rakhne ki niyat nahi rakhta 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - B✅


Balon ko siyah rang karne wale Jannat ki Khusbu bhi nahi paa sakenge


Reference📚:

-----

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam kareem ne farmaya Aakhri zamane mein kuch log aise honge jo balon ko siyah rang se ranga karenge jaisay kabutaro ke seene ke baal hote hain, yeh log Jannat ki khushbu bhi nahi payenge .

-----

سیدنا عبد اللہ بن عباس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہما بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: آخری زمانہ میں کچھ لوگ ایسے ہوں گے جو بالوں کو سیاہ رنگ سے رنگا کریں گے، جیسے کبوتروں کے سینے کے بال ہوتے ہیں، یہ لوگ جنت کی خوشبو بھی نہیں پائیں گے۔ 

----

Musnad Ahmed#8211-Sahih

Inmein se kis ko shafaat kaha gaya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗



Sawal: Inmein se kis ko shafaat kaha gaya hai


A: Al Kauthar

B: Maqam e Mahmood

C: Namaz

D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka mimbar

E: Surah Al Baqrah

F: La illaha illallaha

G: Surah Ikhlas

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - B✅


Maqam e Mahmood Shaffat hai


Reference📚:

----

Abu Huraira RadiAllahu Anhu sw riwayat hai ke Maqam e Mahmood Shafaat hain

ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مقام محمود”شفاعت“ہے

----

عَنِ أَبِي هُرَيْرَةَ مَرفُوعاً: الْمَقَامُ الْمَحْمُودُ: الشَّفَاعَةُ. 

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2712-Sahih

Aur mujhe us din ruswa na karna jab sab log zinda karke Uthaye jayenge




Bismillahirahmanirrahim

وَلَا تُخْزِنِي يَوْمَ يُبْعَثُونَ
-----
Aur mujhe us din ruswa na karna jab sab log zinda karke Uthaye jayenge
---
اور مجھے اس دن رسوا نہ کرنا جب سب لوگ زندہ کرکے اٹھائے جائیں گے
---
And do not disgrace me on the Day when all will be resurrected
----
Surah Ash-Shu'raa - (26:87)


 

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah



Bismillahirrahmannirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi Ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain
-----
الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم الله کے رسول ہیں
-----
There is No God but Allah and Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam is the 
Messenger of Allah


 

Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain ------



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain
------
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se rivayet ki ke 1 shakhs ne ek aurat ko bosa diya, (phir) woh Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa aur is waqiye ka zikar kiya, tab (yeh aayat) nazil huwi din ke dono hisson (fajr aur asar) aur raat ke kuch hisson (tahajjud) mein Namaz qaim rakho beshak nekiya buraiyon ko durr kar deti hain, yeh yaad dehani hai yaad rakhnay walon ke liye. is shakhs ne kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya yeh (basharat) sirf mere liye hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se jo bhi (gunaaho se pakk honay ke liye) is par Amal kare
-----
Abdullah b. Mas'ud reported that a person kissed a woman and he came to Allah's Apostle (ﷺ)  ‌ and made a mention of that to him. It was (on this occasion) that this verse was revealed: And observe prayer at the (two) ends of the day and in the first hours of the night. Surely, good deeds take away evil deeds. That is a reminder for the mindful (xi. 115). That person said: Allah's Messenger, does it concern me only? He (the Holy Prophet) said: It concerns every one of my Unimah, who acts according to it. 
-----
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ ایک شخص نے ایک عورت کو بوسہ دیا ،   ( پھر )  وہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس واقعے کا ذکر کیا ،  تب  ( یہ آیت )  نازل ہوئی :   دن کے دونوں حصوں اور رات کے کچھ حصوں میں نماز قائم رکھو ،  بےشک نیکیاں برائیوں کو دور کر دیتی ہیں ،  یہ یاد دہانی ہے یاد رکھنے والوں کے لیے ۔اس شخص نے کہا :  اللہ کے رسول! کیا یہ  ( بشارت )  صرف میرے لیے ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :   میری امت میں سے جو بھی  ( گناہوں سے پاک ہونے کے لیے )  اس پر عمل کرے ۔ 
------   
Sahih Muslim Hadees # 7001-Sahih


 

Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain

 





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (Qul Hu Wallahu Ahad)(yani Surah Al-Ikhlas) sawab mein teehaii Quran ke barabar hain
-----
بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAH us-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
-----
Surah Al-ikhlas (112)
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:   «قل هو الله أحد»  ( یعنی سورۃ الاخلاص )   ( ثواب میں )  تہائی قرآن کے برابر ہے ۔ 
-----
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Surah Al Ikhlas is equivalent to one third of the Quran
-----
It was narrated that Anas bin Malik said: The Messenger of Allah(ﷺ) said: Qul Huwa Allahu ahad [Say: He is Allah, (the) One] is equivalent to one third of the Quran. 
-----
بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAH us-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad

Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him. 
Surah Al-Ikhlas, 112
------
Sunnan e Ibn e Maja#3788-Sahih


Wo kaun kaunse Amal hai jinhe Allah Subhanahu ne haram qarar diya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


❗Jawab ek se zyada hain


Sawal: Wo kaun kaunse Amal hai jinhe Allah Subhanahu ne haram qarar diya hain


A: Allah Subhanahu ke ehkamaat jo jhutlana

B: Har qisam ke Gunah ko

C: Kisi par bohtaan lagana

D: Allah ke baate mein koi aisi baat karna jiska ilm na ho 

E: Allah ke saath kisi ko Shareek tehrana

F: Tamam behayi ke kaamon ko chahe wo khuli ho ya chupi ho

G: Nahaq kisi per ziyadati karne ko

H: Haq ki baaton se muh modne se


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahi Jawab - BDEFG✅


Wo baatein jinko Allah Subhanahu ne harram qarar diya hain


Reference📚:

------

Bismillahirrahmannirrahim


قُلۡ  اِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّیَ الۡفَوَاحِشَ مَا ظَہَرَ  مِنۡہَا وَ  مَا بَطَنَ وَ الۡاِثۡمَ وَ الۡبَغۡیَ بِغَیۡرِ الۡحَقِّ وَ اَنۡ تُشۡرِکُوۡا بِاللّٰہِ مَا لَمۡ یُنَزِّلۡ بِہٖ سُلۡطٰنًا وَّ اَنۡ تَقُوۡلُوۡا عَلَی  اللّٰہِ  مَا لَا  تَعۡلَمُوۡنَ

-----

Keh do ke Mere RABB ne to behayai ke kamon ko haram qarar diya hai chahe woh behayai khuli huwi ho, ya chupi huwi neez her qisam ke gunah ko aur Nahaq kissi se ziyadti karne ko, aur iss baat ko ke tum Allah ke sath kissi aisi cheez ko shareek maano jiss ke baare mein Allah ne koi daleel nazil nahi ki hain neez iss baat ko ke tum Allah ke zimme woh baaten lagao jinn ki haqeeqat ka tumhen zara bhi ilm nahi hain.

----

Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know." 

-----

کہہ دو کہ :   میرے رب نے تو بے حیائی کے کاموں کو حرام قرار دیا ہے ، چاہے وہ بے حیائی کھلی ہوئی ، ہو یا چھپی ہوئی ۔ نیز ہر قسم کے گناہ کو اور ناحق کسی سے زیادتی کرنے کو ، اور اس بات کو کہ تم اللہ کے ساتھ کسی ایسی چیز کو شریک مانو جس کے بارے میں اللہ نے کوئی دلیل نازل نہیں کی ہے ، نیز اس بات کو کہ تم اللہ کے ذمے وہ باتیں لگاؤ جن کی حقیقت کا تمہیں ذرا بھی علم نہیں ہے 

-----

Al Quran: Surah Al Araf (07:33)

Ek baar ek sahaba ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek aisa sawal kiya ke uske baad unko behad gussa aagaya tabhi ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dehk kar kuch irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ek baar ek sahaba ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek aisa sawal kiya ke uske baad unko behad gussa aagaya tabhi ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dehk kar kuch irshad farmaya


A: HasbunaAllah wa naimal wakeel

B: Alhumdulillah Ala kulli Haal

C: Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa

D: HasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna

E: Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith

F: Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan

G. Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - F✅


Reference📚:

---

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din tak ki jis cheez ke barre mein tum mujhse sawal karoge, mein tum ko is ka jawab bayan kar dunga. yeh sun kar Syedna Abdullah bin huzaifa RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mera baap kaun hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tera baap Huzaifa hai. un ki Maa ne unse kaha : is sawal se tera kya iradah tha? unhon ne kaha mera iradah raahat haasil karne ka tha, is ke bare mein kuch kaha jata tha, lekin udhar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko gussa agaya, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko dekh kar syedna Umar  RadiAllahu Anhu? ne kaha: 


رَضِیْنَا بِاللّٰہِ رَبًّاوَبِالْاِسْلَامِ دِیْنًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِیًّا


Hum Allah Subhanahu ke RABB hone par, islam ke deen hone par aur Mohammad  Sallallahu Alaihi wasallam ke Nabi hone par raazi hain, hum Allah Subhanahu taala ke gazab aur is ke Rasool ke gusse se Allah Subhanahu taala ki panah talab karte hain .

-----

سیدنا انس بن مالک ؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:  قیامت کے دن تک کی جس چیز کے بارے میں تم مجھ سے سوال کرو گے، میں تم کو اس کا جواب بیان کر دوں گا۔  یہ سن کر سیدنا عبداللہ بن حذافہؓ نے کہا: اے اللہ کے رسول! میرا باپ کون ہے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:  تیرا باپ حذافہ ہے۔  ان کی ماں نے ان سے کہا: اس سوال سے تیرا کیا ارادہ تھا؟ انھوں نے کہا: میرا ارادہ راحت حاصل کرنے کا تھا، اس کے بارے میں کچھ کہا جاتا تھا، لیکن اُدھر رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو غصہ آگیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو دیکھ کر سیدنا عمر ؓ نے کہا: ہم اللہ تعالیٰ کے ربّ ہونے پر، اسلام کے دین ہونے پر اور محمد ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کے نبی ہونے پر راضی ہیں، ہم اللہ تعالیٰ کے غضب اور اس کے رسول کے غصے سے اللہ تعالیٰ کی پناہ طلب کرتے ہیں۔ 

-----

Musnad Ahmed#270-Sahih

Kaunsa amal karne wale ke liye Allah Subhanahu uss ka maqam buland kar dete hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunsa amal karne wale ke liye Allah Subhanahu uss ka maqam buland kar dete hain


A: Maaf karne wale ko

B: Sadqa dene wale

C: Sabr karne wale

D: Musalman ki maddat karne wale

E: Waledain ki saath husn suluk karne wale

F: Padosi ke saath bhalai karne wale

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

---------

Sahi Jawab - G✅


Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karne wale shaqs ka maqam buland hojata hain


Reference📚:

---------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sadqe ne maal main kabhi koi kami nahi ki aur maaf Karne se Allah Subhanahu bande ko ezzat hi main badhata hai aur jo shakhs  sirf Allah Subhanahu ki khatir  Aajizi  ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai

Sahih Muslim, Jild 6, 6592

------

رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم نے فرمایا  صدقے نے مال میں کبھی کوئی کمی نہیں کی اور معاف کرنے سے اللہ تعالیٰ بندے کو عزت ہی میں بڑھاتا ہے اور کوئی شخص  صرف اللہ کی خاطر تواضع ( عاجزی ) اختیار  کرتا ہے تو  اللہ تعالیٰ اس کا مقام بلند کر دیتا ہے ۔ 

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Charity does not in any way decrease the wealth and the servant who forgives Allah adds to his respect, and the one who shows humility Allah elevates him in the estimation (of the people). 

Sahih Muslim Book 32, Hadith 6264

inmein se wo kaunsi dua hai jinke baare mein farmaya gaya hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua huwa karti thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: inmein se wo kaunsi dua hai jinke baare mein farmaya gaya hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua huwa karti thi


A: Allahumma inni As’aluka emanan La yartad, Wa Naiman La yanfad

B: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta

C: Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu

D: Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.

E: Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wala yagfiruz-zunuba illa anta, Fagfirli magfiratan min indika wa-arhamni, innaka Antal Gafur-ArRahim.

F: Allahumma inni Aawuzubika An Ushrika Bika Wa Ana Aalam, Wa Astagfiruka Limaa Laa Aalam

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

*********

Sahi Jawab - C✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam Dua


Reference📚:

-----

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua yeah hoti thi 


(اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ)


Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu 


(Eh Allah ! Mere liye woh gunah baksh de, jo mein ne nadanista taur par kiye, jo jaan bujh kar kiye, jo makhfi taur par kiye, jo Ehlaniya taur par kiye, jo jahalat ki wajah se kiye aur jo janne bujhne ke bawajood kiye)

-----

The regular dua of the Prophet (SAW), it was: Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu (O Allah, please forgives sin for me, which I did unknowingly, that Intentionally, what I did secretly, what I did openly, what I did out of ignorance, and what I did knowingly).

-----

 ۔ سیدنا عمران بن حصین  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کی عام دعا یہ ہوتی تھی:  اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ۔(اے اللہ! میرے لیے وہ گناہ بخش دے، جو میں نے نادانستہ طور پر کیے، جو جان بوجھ کر کیے، جو مخفی طور پر کیے، جو علانیہ طور پر کیے، جو جہالت کی وجہ سے کیے اور جو جاننے بوجھنے کے باوجود کیے)۔  

-----

Musnad Ahmed#5660-Sahih

Woh kaunsa Amal hai jisse Allah Subhanahu ne apne bandon ke liye pasand kiya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Woh kaunsa Amal hai jisse Allah Subhanahu ne apne bandon ke liye pasand kiya hain


A: Waledain ki khidmat karna

B: Masjid mein Quran ki tilawat karna

C: Subah Shaam Astagfaar padhna

D: La illaha illAllah kehna

E: Hajj aur Umrah karna

F: SubhanAllahi wa biHamdihi kehna

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawa ka intezaar

*********

Sahi Jawab - F✅


SubhanAllahi wa biHamdihi behatreen kalaam hain joh Allah Subhanahu ne apne bandon ke liye pasand farmaya hain.

-----

Abu Zar RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaunsa kalaam Afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya woh kalaam jo Allah taala ne apne bandon ke liye pasand kiya hain: 


سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ 

SubhanAllahi wa biHamdihi

----

Allah taala apni tareef ke sath paak hain

----

 ابو ذر  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے پوچھا گیا: کون سا کلام افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ کلام جو اللہ تعالیٰ نے اپنے بندوں کے لئے پسند کیا ہے: سبحان اللہ وبحمدہ(اللہ تعالیٰ اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2930-Sahih

Wo kaun log honge jinke liye farmaya gaya ke Jannat inke liye is qader bhi halal nahi hongi ke wo usse dekh sakay

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun log honge jinke liye farmaya gaya ke Jannat inke liye is qader bhi halal nahi hongi ke wo usse dekh sakay


A: Ziyada Maal ki chahat karne wale

B: Izaat ki chahat karne wale

C: Hasad karne wale

D: Takkabur karne wale

E: Bukhl karne wale

F: Riyakari karne wale

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********

Sahi Jawab - D✅


Rai ke dane ke barabar bhi Takkabur karne wala Jannat ki Khusbu bhi paa nahi sakega


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo Aadmi is haal mein mare ho ke is ke dil mein Rai ke dane ke barabar Takkabur ho to Jannat is ke liye is qader bhi halal nahi hogi ke woh is ki khushbu pa sakay ya is ko dekh sakay. Quresh ke Abu Rehana Nami aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Allah ki qisam! mein to husn o jamal ko pasand karta hu..

-----

 ۔ سیدنا عقبہ بن عامر ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: جو آدمی اس حال میں مرا ہو کہ اس کے دل میں رائی کے دانے کے برابر تکبر ہو تو جنت اس کے لیے اس قدر بھی حلال نہیں ہو گی کہ وہ اس کی خوشبو پا سکے یا اس کو دیکھ سکے۔ قریش کے ابو ریحانہ نامی آدمی نے کہا: اے اللہ کے رسول! اللہ کی قسم! میں تو حسن و جمال کو پسند کرتا ہوں

-----

Musnad Ahmed#9718-Sahih

Ahle Jannat ki khusbu kise kaha gaya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ahle Jannat ki khusbu kise kaha gaya hai


A: Surme ki khusbu

B: Mehandi ki khusbu

C: Kasturi ki khusbu

D: Zafran ki khusbu

E: Mushk ki khusbu

F: Ambar ki khushbu

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


************


Sahi Jawab - B✅


Ahle Jannat ki behtareen khusbu Mehandi hogi


Reference📚:

---

Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Ahle Jannat ki behtareen Khusbu Mehandi hogi

-----

عبداللہ بن عمرو‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اہل جنت کی بہترین خوشبو مہندی ہوگی۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#3032-Sahih

Zawal ke baad Zohar se phele Asman ke darwaze khole diye jaate hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Zawal ke baad Zohar se phele Asman ke darwaze khole diye jaate hain
------
Aap Sallallahu Alaihi wassallam Zawal ke bad Zohar se pahle chaar rakat namaz padhte aur farmate yaqeena Aasman ke darwaze uss waqt khole jaate hain main pasand karta hun is waqt mein Naik Amal bheju
----
عبداللہ بن سائب سے مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم زوال كے بعد ظہر سے پہلے چار ركعت نماز پڑھتے، اور فرماتے :یقینا آسمان كے  دروازے (اس وقت) كھولے جاتے ہیں ۔ میں پسند كرتا ہوں كہ اس وقت میں نیك عمل بھیجوں
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 697-Sahih


 

Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf



Bismillahirrahmanirrahim

Samundar ke jhaag ke barbar gunah maaf
------------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya zameen par koi bhi banda,

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
--------
Allah Subhanahu  ke siwa koi mabud barhaq nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na he quwwat

 jab ye kalimat kahta hai to uske (chote chote) gunah bakhsh diye jate hain chahe wo samundar ke jhaag ki tarah (bahut zyada) ho
Jamia Tirmizi, 3460-Sahih
--------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”زمین پر جو کوئی بھی بندہ: 

«لا إله إلا الله والله أكبر ولا حول ولا قوة إلا بالله» 

کہے گا ”اللہ عزوجل کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ہے اور اللہ تعالیٰ سب سے بڑا ہے، اور اللہ سبحانہ و تعالیٰ کے سوا کسی کام کے کرنے کی کسی میں نہ کوئی طاقت ہے اور نہ ہی قوت“، اس کے  ( چھوٹے چھوٹے )  گناہ بخش دیئے جائیں گے، اگرچہ سمندر کی جھاگ کی طرح  ( بہت زیادہ )  ہوں“۔
----------
Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu narrated that  Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Anyone upon the earth who says these words his sins will be forgiven even if they were like the foam of the sea.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La Hawla wa La Quwwata illa Billah
None has the right to be worshipped but Allah, and Allah is the Greatest, and there is no might nor power except by Allah.

Jamia Tirmizi, 3460-Sahih


 

Aur uss ne tumhe har wo cheez aata farma di joh tum ne iss se maanga




Bismillahirrahmannirrahim

وَآتَاكُم مِّن كُلِّ مَا سَأَلْتُمُوهُ ۚ 
----
Aur uss ne tumhe har wo cheez aata farma di joh tum ne iss se maanga
----
اور اس نے تمہیں ہر وہ چیز عطا فرما دی جو تم نے اس سے مانگ
----
And He has granted you all that you asked for
----
Surah Ibrahim: (14:34)


 

Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho woh tumahari tarhan ke bande hai.





Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِن دُونِ اللَّـهِ عِبَادٌ أَمْثَالُكُمْ ۖ 
---
Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho woh tumahari tarhan ke bande hai.
---
بے شک جنہیں تم الله کے سوا پکارتے ہو وہ تمہاری طرح کے بندے
---
Verily, those whom you call upon besides Allah are slaves like you
---
Surah Araf : (07:194)


 

Aur siwaye Allah ke aur kaun Gunah bakhsne wala hain




Bismillahirrahmannirrahim

وَمَن يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا اللَّهُ
----
Aur siwaye Allah ke aur kaun Gunah bakhsne wala hain
----
 اور سوائے الله کے اور کون گناہ بخشنے والا ہے
----
And Who can Forgive Sins except Allah
----
Surah Ale Imran - (03:135)


 

Ehsan ka badla Ehsan ke siwa kiya hain.




Bismillahirrahmannirrahim

هَلْ جَزَاءُ الْإِحْسَانِ إِلَّا الْإِحْسَانُ
------
Ehsan ka badla Ehsan ke siwa kiya hain.
------
احسان کا بدلہ احسان کے سوا کیا ہے
-----
Is the reward for good [anything] but good?
------
Al Quran Surah Rehman: (55: 60)


 

Aur agar Allah logon ko unke zulm ke sabab pakadne lage to Zameen par kisi Jandaar ko na chodhe




Bismillahirrahamannirrahim

وَلَوْ يُؤَاخِذُ اللَّهُ النَّاسَ بِظُلْمِهِم مَّا تَرَكَ عَلَيْهَا مِن دَابَّةٍ 
-------
Aur agar Allah logon ko unke zulm ke sabab pakadne lage to Zameen par kisi Jandaar ko na chodhe
------
اور اگر الله لوگوں کو ان کے ظلم کے سبب پکڑنے لگے  تو زمین پر کسی جاندار کو نہ چھوڑے
------
And if Allah were to punish (all) mankind for their wrongdoing, He would not leave on it (the earth) a single moving creature
------
Surah An Nahal: (16:61)


 

Hum aap ke liye Aasani paida kar denge




Bismillahirrahmannirrahim

وَنُيَسِّرُكَ لِلْيُسْرَىٰ
-----
Hum aap ke liye Aasani paida kar denge
-----
 ہم آپ کے لئے آسانی پیدا کر دیں گے
-----
And we will Ease you toward Ease
-----
Surah Al A'la: (87:08)


 

Allah sab se behtar hifazat karne wala hain




Bismillahirrahmannirrahim

فَاللَّهُ خَيْرٌ حَافِظًا
------
Allah sab se behtar hifazat karne wala hain
------
اللہ سب سے بہتر حفاظت کرنے والا ہے
------
Allah is the best Guardian.
------
Surah Al Yusuf: (12:64)


 

Aur tumhare pass jo naimat hai sab Allah Subhanahu ki taraf se hai.




Bismillahirrahmannirrahim

وَمَا بِكُم مِّن نِّعْمَةٍ فَمِنَ اللَّهِ ۖ
-----
Aur tumhare pass jo naimat hai sab Allah Subhanahu ki taraf se hai.
-----
اور تمہارے پاس جو نعمت ہے سب اللہ کی طرف سے ہے
-----
Whatever favours you have , it is from Allah.
-----
Surah Nahal: (16:53)


 

Aur mere kaam ko mere liye Aassan kar de





Bismillahirrahmannirrahim

وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي
-----
Aur mere kaam ko mere liye Aassan kar de
-----
اور میرے کام کو میرے لیے آسان کر دے
----
“And make my task easy for me.” 
-----
Surah Tahaa: (20:26)


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...