Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 25 October 2020

Ek baar ek sahaba ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek aisa sawal kiya ke uske baad unko behad gussa aagaya tabhi ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dehk kar kuch irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ek baar ek sahaba ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se ek aisa sawal kiya ke uske baad unko behad gussa aagaya tabhi ek Sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dehk kar kuch irshad farmaya


A: HasbunaAllah wa naimal wakeel

B: Alhumdulillah Ala kulli Haal

C: Allahu, Allahu Rabbi La Ushrika Behi shayaa

D: HasbunAllah Wa Naimal Wakeel AlaAllahi Tawakkalna

E: Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith

F: Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan

G. Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - F✅


Reference📚:

---

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din tak ki jis cheez ke barre mein tum mujhse sawal karoge, mein tum ko is ka jawab bayan kar dunga. yeh sun kar Syedna Abdullah bin huzaifa RadiAllahu Anhu ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mera baap kaun hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tera baap Huzaifa hai. un ki Maa ne unse kaha : is sawal se tera kya iradah tha? unhon ne kaha mera iradah raahat haasil karne ka tha, is ke bare mein kuch kaha jata tha, lekin udhar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko gussa agaya, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko dekh kar syedna Umar  RadiAllahu Anhu? ne kaha: 


رَضِیْنَا بِاللّٰہِ رَبًّاوَبِالْاِسْلَامِ دِیْنًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِیًّا


Hum Allah Subhanahu ke RABB hone par, islam ke deen hone par aur Mohammad  Sallallahu Alaihi wasallam ke Nabi hone par raazi hain, hum Allah Subhanahu taala ke gazab aur is ke Rasool ke gusse se Allah Subhanahu taala ki panah talab karte hain .

-----

سیدنا انس بن مالک ؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:  قیامت کے دن تک کی جس چیز کے بارے میں تم مجھ سے سوال کرو گے، میں تم کو اس کا جواب بیان کر دوں گا۔  یہ سن کر سیدنا عبداللہ بن حذافہؓ نے کہا: اے اللہ کے رسول! میرا باپ کون ہے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا:  تیرا باپ حذافہ ہے۔  ان کی ماں نے ان سے کہا: اس سوال سے تیرا کیا ارادہ تھا؟ انھوں نے کہا: میرا ارادہ راحت حاصل کرنے کا تھا، اس کے بارے میں کچھ کہا جاتا تھا، لیکن اُدھر رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو غصہ آگیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو دیکھ کر سیدنا عمر ؓ نے کہا: ہم اللہ تعالیٰ کے ربّ ہونے پر، اسلام کے دین ہونے پر اور محمد ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کے نبی ہونے پر راضی ہیں، ہم اللہ تعالیٰ کے غضب اور اس کے رسول کے غصے سے اللہ تعالیٰ کی پناہ طلب کرتے ہیں۔ 

-----

Musnad Ahmed#270-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...