Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 September 2020

Jo shakhs ye pasand karta hai ke wo apne walid se isse uss ki qabar mai sila Rehmi kare to wo__ amal kare?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Mafhum-e-Hadith mukamal kare 


Jo shakhs ye pasand karta hai ke wo apne walid se isse uss ki qabar mai sila Rehmi kare to wo__ amal kare?


A: Kasrat se nawafil padhe

B: Rishtedaro ke sath husne sulook kare

C: Walid ke dosto se milta rahe

D: Walid ke naam se Umrah kare

E: Apni walida ke saath husne sulook kare

F. Apne bade bhai  se husn e suluq kare

G: In mai se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai

*********

Sahih Jawab - C✅

woh apne waalid ke doston se is ke marne ke baad milta rahe


📚Reference:


Abu Barda se rivayat hai kehte hain ke mein Madine aaya to mere paas Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma aaye aur kaha kya tum jantay ho ke mein tumahray paas kyun aaya hon? Mein ne kaha nahi, Abdullah ne kaha ke mein ne Rasool-Allah (ﷺ) se suna farma rahe thy jo shakhs yeh pasand karta hai ke woh apne waalid se is ki qabar mein sila rehmi kare to woh apne waalid ke doston se is ke marne ke baad milta rahe mere Walid Umar Radi Allahu anhu aur aap ke waalid ke darmain muvakhat (bhai charah) aur mohabbat thi is liye mein ne pasand kiya ke mein is sila rehmi ko qaim rakhon.

---------

ابو بردہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں مدینے آیا تو میرے پاس عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما آئے اور کہا: کیا تم جانتے ہو کہ میں تمہارے پاس کیوں آیا ہوں؟ میں نے کہا: نہیں، عبداللہ نے کہا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے : جو شخص یہ پسند کرتا ہے کہ وہ اپنے والد سے اس کی قبر میں صلہ  رحمی  کرے تو وہ اپنے والد کے دوستوں سے اس کے مرنے کے بعد ملتا رہے۔ میرےوالد عمر رضی اللہ عنہ   اور آپ کے والد کے درمیان مواخاۃ(بھائی چارہ) اور محبت تھی اس لئے میں نے پسند کیا کہ میں اس  صلہ رحمی کو قائم رکھوں۔

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 404

1. Jo ___nahi karta uspar ____nahi kiya jayega 2.Jo ___nahi karta usko ____nahi kiya jayega 3.Jo ____nahi karta usko _____ki taufiq bhi nahi di jayegi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Hadith mukamal kijiye


1. Jo ___nahi karta uspar ____nahi kiya jayega

2.Jo ___nahi karta usko ____nahi kiya jayega

3.Jo ____nahi karta usko _____ki taufiq bhi nahi di jayegi


A: Tauba

B: Sila Rahmi

C: Raham

D: Maaf

E: Insaf

F: Zulm

G: Mohabbat 

H: Amal


I: Sahi Jawab ka intezaar

*********

Sahi Jawab✅


1. CC Raham

2. DD Maaf

3. AA Tauba


Reference📚:


Jarir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah (ﷺ) ney farmaya joh Raham nahi karta is per Raham nahi kiya jata, joh Maaf nahi karta usay Maaf nahi kiya jayega, aur joh Tauba nahi karta usay Tauba ki taufeeq nahi di jayegi.

--------

جریررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو رحم نہیں کرتا اس پرر حم نہیں کیا جاتا،جو معاف نہیں کرتا اسے معاف نہیں کیا جائے گا، اور جو توبہ نہیں کرتا اسے توبہ کی توفیق نہیں دی جائے گی۔

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 419

Allah Subhanahu Ta'ala in mai se kiski parda poshi karega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Allah Subhanahu Ta'ala in mai se kiski parda poshi karega?


A: Sache dil se La ilaha ill-Allah kehne wala

B: Aadil badshah

C: Amanat dar tajir

D: Jis ne apne aap ko behaye se bachaya

E: Jis ne apni zaban ki hifazat ki

F: Joh Mazak mein bhi jhoot na bole

G: In mai se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai

******

Sahi Jawab - E✅


Reference📚:


Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu rivayat hai ke jis shakhs ney apne ghusse per kabu paa liya Allah Subhanahu ta’ala is se apna azaab roke le ga aur jis shakhs ney apni zabaan ki hifazat ki Allah Subhanahu ta’ala is ki parda poshi karega aur jo shakhs Allah se Mozzart karega Allah Subhanahu is se is ki mozzart qubool karega .

-------------

انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے اپنے غصےپر قابوپالیا، اللہ تعالیٰ اس سے اپنا عذاب روک لے گا اور جس شخص نے اپنی زبان کی حفاظت کی اللہ تعالیٰ اس کی پردہ پوشی کرے گا اور جو شخص اللہ سے معذرت کرے گا اللہ اس سے اس کی معذرت قبول کرے گا۔ 

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 418



Mafhum e Hadith ke mutabiq Rasool-Allah (ﷺ) ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh inmein se kya hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Mafhum e Hadith ke mutabiq Rasool-Allah (ﷺ) ne duniya ke bare mein kya farmaya ke joh kuch is mein baqi hai woh inmein se kya hai? 


A: Izzat

B: Mohabbat 

C: Hasad

D: Museebat

E: Dhoka

FSahi Jawab DG✅


Reference📚: 


Muawiya Bin Abi Sufyan RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya duniya mein jo kuch baqi hai woh Museebat aur Azmaish hai aur tum mein se kisi shakhs ke amal ki misaal is bartan ki tarhan hai ki jab is ke uper wala hissa paak saaf ho to is ka nichala hissa bhi paak saaf hota hai aur jab is ka balai hissa gandah ho jaye to is ka nichala hissa bhi gandah ho jata hai.

-------------------------------

معاویہ بن ابی سفیان رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:دنیا میں جو كچھ باقی ہے وہ مصیبت اور آزمائش ہے۔ اور تم میں سے كسی شخص كے عمل كی مثال اس برتن كی طرح ہے كہ جب اس كے اوپر والا حصہ پاك صاف ہو تو اس كا نچلا حصہ بھی پاك صاف ہوتا ہے اور جب اس كا بالائی حصہ گندہ ہو جائے تو اس كا نچلا حصہ بھی گندہ ہو جاتا ہے۔

------------------------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1229: Dhikhawa 

G: Azmaish 

H: Aish o Araam 

I: Ilm


J: Sahi Jawab ka intezaar?

********


Iss Ummat ke kuch log in mein se kaun kaun si cheezo ko halal kar lenge?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ 


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Iss Ummat ke kuch log in mein se kaun kaun si cheezo ko halal kar lenge?


A: Sharab

B: Gheebat 

C: Zina

D: Resham

E: Gaana bajana

F: Sood lena aur dena

G: Matam 

H: Zakat adda nahi karna 


I: Sahi Jawab ka Intezaar?

********

Sahi Jawab - ACDE✅


Reference📚:


Abu Aamir ya Abu Malik Ashri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya meri ummat mein kuch log honge jo sharmgah (yani zina), Resham, Sharab aur Gane bajane ke alaat ko halal kar lenge aur kuch log pahar ki chouti par (apne bangloon mein rahaish ke liye) ayenge un ke charwahay un ke maweshi subah o shaam layein le jayen ge un ke paas koi faqeer zaroorat se aeye ga to woh kahenge hamaray paas kal aana, Allah taala raat ke waqt un par azaab nazil karega un par pahar ko gira dega aur dosray logon ko qayamat taq bandaron aur kinziron ki shakal mein tabdeel kar dega

----------

ابو عامر یا ابو مالک اشعری رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت میں کچھ لوگ ہوں گے جو شرمگاہ (یعنی زنا)، ریشم، شرا ب اور گانے بجانے کے آلات کو حلال کر لیں گے۔ اور کچھ لوگ پہاڑ کی چوٹی پر (اپنے بنگلوں میں رہائش کے لئے) آئیں گے۔ ان کے چرواہے ان کے مویشی صبح و شام لائیں لے جائیں گے۔ ان کے پاس کوئی فقیر ضرورت سے آئے گاتو  وہ کہیں گے:ہمارے پاس کل آنا، اللہ تعالیٰ رات کے وقت ان پر عذاب نازل کر ے گا۔ان پر پہاڑ کو گرا دے گا اور دوسرے لوگوں کو قیامت تک بندروں اور خنزیروں کی شکل میں تبدیل کر دے گا

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2686

Qayamat ke din tamam makhlooq mein bure inmein se kaunse shaqs honge?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Qayamat ke din tamam makhlooq mein bure inmein se kaunse shaqs honge?


A: Miya Biwi ke darmiyan dooriyan paida karne wale

B: Padosio ko takleef dene wale

C: Soodi karobar karne wale

D: Shirk karne wale

E: Apne waldain per lanat karne wale

F: Allah ki shafqat se na umeed (mayus) hone wale

G: In mein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - G✅ (qabar par Masjid banatay aur is mein yahi moorten (tasveerain) bana dete)


Reference📚


Umm Habiba aur Umm Salma Radi Allahu Anhuma dono ne ek kaleesa ka zikar kiya jisay unhon ne Habsha mein dekha to is mein Moorten (tasveerain) thi unhone is ka tazkira Nabi Kareem (ﷺ) se bhi kiya Aap (ﷺ) ne farmaya ke un ka yeh qaida tha ke agar un mein koi nekokar (naik) shakhs marr jata to woh log is ki qabar par Masjid banatay aur is mein yahi moorten (tasveerain) bana dete pas yeh log Allah ki dargaah mein Qayamat ke din tamam makhlooq mein buray honge

--------

Narrated `Aisha: Umm Habiba and Umm Salama mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet about it, on which he said,   If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of Allah on the Day of Resurrection. 

----------

 ام حبیبہ اور ام سلمہ رضی اللہ عنہما دونوں نے ایک کلیسا کا ذکر کیا جسے انہوں نے حبشہ میں دیکھا تو اس میں مورتیں  ( تصویریں )  تھیں۔ انہوں نے اس کا تذکرہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے بھی کیا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ان کا یہ قاعدہ تھا کہ اگر ان میں کوئی نیکوکار  ( نیک )  شخص مر جاتا تو وہ لوگ اس کی قبر پر مسجد بناتے اور اس میں یہی مورتیں  ( تصویریں )  بنا دیتے پس یہ لوگ اللہ کی درگاہ میں قیامت کے دن تمام مخلوق میں برے ہوں گے۔

--------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 427

Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq __ amal ki wajah se insan Jahannum mein dakhil na hoga.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Mafhum e hadith mukamal kijiye!


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq __ amal ki wajah se insan Jahannum mein dakhil na hoga.


A: Kasrat se Astaghfar padhne wale

B: Ek namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karne wale

C: Witr ki namaz raat ke akhri hisse mein padne wale

D: Kisi shakhs ko aala khandan ki khubsurat aurat ne burai ki dawat di ho aur uss shakhs ne kaha mai Allah se darta ho 

E: Fajr aur Zohar ki namaz awwal waqt mein padne wale

F: Jis ne suraj nikalne se pehle aur dubne se pahle namaz padhi

G: In mein se koi nahi


H: Sahi jawab ka intezar hai

***********

Sahi Jawab - F✅


Reference📚:


Umarah ibn Ruwaybah se rivayat hai ke Ahal basar mein se ek aadmi ne un se poocha aur kaha  Aap mujhe aisi baat bataiye jo Aap ny Rasool-Allah (ﷺ) se suni ho, unhon ny kaha mein ny Rasool-Allah (ﷺ) ko farmatay suna hai woh aadmi Jahannum mein daakhil nahi hoga jis ny Suraj nikalne se pehlay aur Sooraj dobne se pehlay namaz pardi, is shakhs ny kaha : Kya Aap ny yeh baat Rasool-Allah (ﷺ) se suni hai? yeh jumla is ny teen baar kaha, unhon ny kaha haan, har baar woh yahi kehte thy mere dono kaanon ny usay suna hai aur mere dil ny usay yaad rakha hai, phir is shakhs ny kaha mein ny bhi Raool-Allah (ﷺ) ko usay farmatay suna hai.

-------

Narrated Umarah ibn Ruwaybah: A man from Basrah said: Tell me what you heard from the Messenger of Allah (ﷺ). He said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: No one will enter Hell who has prayed before the rising of the sun and before its setting (meaning the dawn and the afternoon prayers). He said three times: Have you heard it from him? He replied: Yes, each time saying: My ears heard it and my heart memorised it. The man then said: And I heard him (the Prophet) say that.

----------

 اہل بصرہ میں سے ایک آدمی نے ان سے پوچھا اور کہا: آپ مجھے ایسی بات بتائیے جو آپ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہو، انہوں نے کہا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  وہ آدمی جہنم میں داخل نہ ہو گا جس نے سورج نکلنے سے پہلے اور سورج ڈوبنے سے پہلے نماز پڑھی ، اس شخص نے کہا: کیا آپ نے یہ بات رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہے؟ یہ جملہ اس نے تین بار کہا، انہوں نے کہا: ہاں، ہر بار وہ یہی کہتے تھے: میرے دونوں کانوں نے اسے سنا ہے اور میرے دل نے اسے یاد رکھا ہے، پھر اس شخص نے کہا: میں نے بھی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو اسے فرماتے سنا ہے۔

---------

Grade : Sahih (Al-Albani)  

Reference : Sunan Abi Dawud 427

In-book reference : Book 2, Hadith 37

English translation : Book 2, Hadith 427

Jab Qayamat mein soor phoonka jayega aur sab behosh ho jayenge to sabse pahle kaun hosh mein aayege?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal 1: Jab Qayamat mein soor phoonka jayega aur sab behosh ho jayenge to sabse pahle kaun hosh mein aayege? 


A: Jannat ka daroga 

B: Musa Alahi Salam 

C: Nooh Alaihi Salam 

D: Jibrayel Alaihi Salam 

E: Rasool-Allah (ﷺ)

F: Aadam Alaihi Salam 

G: Arsh uthane wale Farishte 

H: In mein se koi nahi 


I: Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2:  Aur us waqt Musa Alaihi Salam kaha honge?


A: Phele Aasman par

B: Jannat ke darwaze par

C: Dusre Aasman par

D: Arsh ke kone ke pass

E: Bait ul Muqaddas mein

F: Satve Aasman par

G: Jannat ke nahar ke pass 

H: In mein se koi nahi 


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ED✅


Reference📚:


Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki do aadmiyon ne aapas mein gaali galoch ki jinmein se ek musalman tha aur dusra yahudi tha, Musalman ne kaha us RABB ki kasam jisne Rasool-Allah (ﷺ) ko sare jahan par barguzida kiya hai , Yahudi ne kaha ki us RAB ki kasam jisne Musa Alaihi salam ko sare jahan par barguzida kiya hai , rawi ne kaha ki musalman yahudi ki baat sunkar khafa ho gaya aur uske munh par ek tamancha maar diya. Yahudi Rasool-Allah (ﷺ) ke pass gaya aur sara waqiya arz kiya , phir Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya Musa Alaihi Salam par mujhko fazilat na do kyunki Qayamat ke din soor phunkte hi sab behosh ho jayenge aur main sabse pahla shaks hunga jisko hosh aayega aur main dekhunga ki Musa alaihi salam Arsh ilahi ka kona thame huye hain mujhe ye nahi malum ki Musa alaihi salam un logo mein they jo behosh huye ya phir mujhse pahle hosh mein aaye ya phir Allah Subhanahu ne unko behosh nahi hone diya 

--------

Narrated Abu Huraira:

Two men, a Muslim and a Jew, abused each other. The Muslim said, "By Him Who gave superiority to Muhammad over all the people." On that, the Jew said, "By Him Who gave superiority to Moses over all the people." The Muslim became furious at that and slapped the Jew in the face. The Jew went to Allah's Messenger (ﷺ) and informed him of what had happened between him and the Muslim. Allah's Apostle said, "Don't give me superiority over Moses, for the people will fall unconscious on the Day of Resurrection and I will be the first to gain consciousness, and behold ! Moses will be there holding the side of Allah's Throne. I will not know whether Moses has been among those people who have become unconscious and then has regained consciousness before me, or has been among those exempted by Allah from falling unconscious."

------------

ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ دو آدمیوں نے آپس میں گالی گلوچ کی ۔ جن میں سے ایک مسلمان تھا اور دوسرا یہودی تھا ۔ مسلمان نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا ۔ یہودی نے کہا کہ اس پروردگار کی قسم جس نے موسیٰ علیہ السلام کو تمام جہان پر برگزیدہ کیا ۔ راوی نے بیان کیا کہ مسلمان یہودی کی بات سن کر خفا ہو گیا اور اس کے منہ پر ایک طمانچہ رسید کیا ۔ یہودی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گیا اور آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم سے اپنا اور مسلمان کا سارا واقعہ بیان کیا ۔ آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا دیکھو موسیٰ علیہ السلام پر مجھ کو فضیلت مت دو کیونکہ قیامت کے دن ایسا ہو گا کہ صور پھونکتے ہی تمام لوگ بیہوش ہو جائیں گے اور میں سب سے پہلا شخص ہوں گا جسے ہوش آئے گا ۔ میں کیا دیکھوں گا کہ موسیٰ علیہ السلام عرش الٰہی کا کونہ تھامے ہوئے ہیں ۔ مجھے نہیں معلوم کی موسیٰ علیہ السلام بھی ان لوگوں میں ہوں گے جو بیہوش ہوئے تھے اور پھر مجھ سے پہلے ہی ہوش میں آ گئے تھے یا ان میں سے ہوں گے جنہیں اللہ تعالیٰ نے اس سے مستثنیٰ کر دیا

-----------


Reference : Sahih al-Bukhari 6517

In-book reference : Book 81, Hadith 106

USC-MSA web (English) reference : Vol. 8, Book 76, Hadith 524

Jab Maut ke waqt kiski ko Allah Subhanahu ka khauf aur Rahamt ki umeed dono ho to usko kya sila milega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Jab Maut ke waqt kiski ko Allah Subhanahu ka khauf aur Rahamt ki umeed dono ho to usko kya sila milega?


A: Jannat  mein dakhil kar diya jayega

B: jiski wo ummeed karta hoga wo cheez milegi

C: Qabr ka azab nahi hoga

D: Jahannam ka azab nahi hoga

E: Dahine haath mein aamal nama milega

F: Uska hisab aasan hoga

G: jis cheez se darta hoga us se mehfooz kar diya jayega


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********

Sahi Jawab - BG✅


Reference📚:


Nabi Akram (ﷺ) ek naujawan ke paas aye jo Marz ul Maut mein tha, Aap (ﷺ) ne is se poocha tum apne aap ko kaisa paate ho? is ne arz kiya Allah ke Rasool (ﷺ) Allah Subhanahu ki Rehmat ki umeed karta hon, aur apne gunaho se darta hon, Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya jis bande ke dil mein aise waqt mein yeh dono kaifiyate jama ho jayen, Allah Subhanahu ta’ala is ko woh cheez dega jis ki woh umeed karta hai, aur jis cheez se darta hai, is se mehfooz rakhe ga.

-----------


It was narrated from Anas that the Prophet (ﷺ) entered upon a young man who was dying and said: “How do you feel?” He said: “I have hope in Allah, O Messenger of Allah, but I fear my sins.” The Messenger of Allah (ﷺ) said: “These two things (hope and fear) do not coexist in the heart of a person in a situation like this, but Allah will give him that which he hopes for and keep him safe from that which he fears.”

----------

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم ایک نوجوان کے پاس آئے جو مرض الموت میں تھا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے پوچھا:  تم اپنے آپ کو کیسا پاتے ہو ؟ اس نے عرض کیا: اللہ کے رسول! اللہ کی رحمت کی امید کرتا ہوں، اور اپنے گناہوں سے ڈرتا ہوں، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس بندے کے دل میں ایسے وقت میں یہ دونوں کیفیتیں جمع ہو جائیں، اللہ تعالیٰ اس کو وہ چیز دے گا جس کی وہ امید کرتا ہے، اور جس چیز سے ڈرتا ہے، اس سے محفوظ رکھے گا ۔ 

---------

Grade : Hasan (Darussalam)

English reference : Vol. 5, Book 37, Hadith 4261

Arabic reference : Book 37, Hadith 4402

Mafhum-e-Hadith ke mutabiq Lazzato ko todni wali cheez kya hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Mafhum-e-Hadith ke mutabiq  Lazzato ko todni wali cheez kya hai?


A: Namaz

B; Qayamat 

C: Jihad

D: Sadqa

E: Astaghfar 

F: Roza

G: Talaq

 H:  In mai se koi nahi 


I. Sahi jawab ka intezar hai

************

Sahi Jawab - H✅

(MAUT)


Reference📚:


Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya lazatoh toh todne wali (yani Maut) ko kasrat se yaad kiya karo

----------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  لذتوں کو توڑنے والی  ( یعنی موت )  کو کثرت سے یاد کیا کرو

-------

It was narrated that Abu Hurairah said: “The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Frequently remember the destroyer of pleasures,’ meaning death.” ‏.‏

------------

Grade : Hasan (Darussalam)

English reference : Vol. 5, Book 37, Hadith 4258

Arabic reference : Book 37, Hadith 4399

Allah Subhanahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Allah Subhanahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai


Sawal: yaha Raham se murad kis par Raham hai

A: Maa baap par

B:  Rishtedaro par

C: Jaanwaro par

D: Tamam insano par

E: Musalmano par

F: Apne dosto par

G: In mein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********

Sahi Jawab - D✅


Reference📚:


Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke is zaat ki qisam jis ke haath mein meri jaan hai Allah Subahnahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai logon ne kaha hum sab raham karte hain, Aap (ﷺ) ne farmaya apne kisi dost par raham (meharbani) karna raham nahi balkay woh tamam logon par raham (meharbani) kare

----------

عن أنس بن مالك مرفوعا: « وَالَّذِي نَفْسِي بِيَده ، لَا يَضَعُ اللهُ رَحْمَتَهُ إِلّا عَلَى رَحِيمٍ » ، قَالُوا : كُلُّنَا يَرْحَمُ ، قَالَ: « لَيْسَ بِرَحْمَةِ أَحْدِكُمْ صَاحِبَهُ يَرْحَمُ النَّاسَ كَافَّةً ». 

------------

انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے اللہ تعالیٰ اپنی رحمت صرف رحم کرنے والے شخص پر نازل کرتا ہے ۔ لوگوں نے کہا: ہم سب رحم کرتے ہیں ، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے کسی دوست پر رحم (مہربانی) کرنا رحم نہیں ۔ بلکہ وہ تمام لوگوں پر رحم(مہربانی) کرے

--------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 435

Abu Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu ne ek baar Rasool-Allah (ﷺ) se naseehat mangi toh Rasool-Allah (ﷺ) ne unhe kya naseehat di?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Abu Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu ne ek baar Rasool-Allah (ﷺ) se naseehat mangi toh Rasool-Allah (ﷺ) ne unhe kya naseehat di?


A: Subah Shaam ke Azkar lazim padhna

B: kisi ko gaali mat dena

C: kisi naiki ko haqeer mat samjhna 

D: kisi ke raaz ko hargiz bayan nahi karna

E: apne bhai se hamesha kushadah chehre se baat karna 

F: takhnoh ke neeche taiband nahi latkana

G: har mahine teen roza rakna

H: Allah ki Ibadat karo 

I: Allah se kasrat se tauba kiya karo


J: Sahi jawab ka Intezaar?

*******

Sahi Jawab - BCEF✅


Reference📚:


Abu Jarry Jabir Bin Saleem Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein ne ek aadmi ko dekha ke log is ki baat ko tasleem karte they woh jo bhi baat kehta log usay tasleem kar lete mein ney poocha yeh kaun hai logon ney kaha yh Allah ke Rasool (ﷺ) hain mein ne kaha Aap par Salam ho Eh Allah ke Rasool (ﷺ) do martaba kaha Aap (ﷺ) ne farmaya aap par Salam ho (Aalik Salam) nah kaho kyuke Aalik Salam Murdon ka  hai Assalam Alikum kaho mein ne kaha kya Aap waqai Allah ke Rasool hain? Aap (ﷺ) ney farmaya mein is Allah ka Rasool hon ke jab tumhe koi takleef puhanche aur tum usay madad ke liye bulaye to woh tumhaarii takleef dur kardega aur jab kisi saal qeht ho jaye aur tum is se dua karo to woh tumhaarii fasal ugaa dega aur jab tum kisi sehraa ya jungle mein ho tumharay sawari gum ho jaye aur tum is se dua karo to woh sawari tumhe lauta dega, mein ney kaha mujhe nasiyaat kijiye Aap (ﷺ) ne farmaya kisi ko Gaali mat dena, kisi neki ko haqeer mat samjhna, apne bhai se kushadah chehray se baat karna yeh bhi neki hai, nifs pindli tak apna teh band oopar kar lo, agar itna nah kar sako toh taknoh tak taknoh se neechay teh band latkanay se bachcho, kyunkay yeh taqqabur hai aur Allah taala ko taqqabur pasand nahi agar koi aadmi tumhe gaali de aur tumhe tumhaarii is khaami ka aar dilay jo usay maloom hain to usay is khaami ki aar nah dilao jisay tum jantay ho kyunkay yeh is par wabaal hoga ek riwayat mein is qoul ke kisi shakhs ko gaali mat dena ke baad yeh alfaaz ziyada hain ke is ke baad mein ney kabhi kisi azad, ghulam oont ya bakri ko bhi gaali nahi di

-------------

ابو جری جابر بن سلیم کہتے ہیں کہ میں نے ایک آدمی کو دیکھا کہ لوگ اس کی بات کو تسلیم کرتے تھے۔ وہ جو بھی بات کہتا لوگ اسے تسلیم کرلیتے۔ میں نےپوچھا: یہ کون ہے؟ لوگوں نے کہا :یہ اللہ کے رسول ہیں۔ میں نے کہا: آپ پر سلام ہو اے اللہ کے رسول! دو مرتبہ کہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: آپ پر سلام ہو(علیک السلام) نہ کہو کیونکہ علیک السلام مُردُوں کا سلام ہے السلام علیک کہو۔ میں نے کہا کیا آپ واقعی اللہ کے رسول ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں اس اللہ کا رسول ہوں کہ جب تمہیں کوئی تکلیف پہنچے اور تم اسے مدد کے لئے بلاؤ تو وہ تمہاری تکلیف دور کردے گا اور جب کسی سال قحط ہو جائے اور تم اس سے دعا کرو تو وہ تمہاری فصل اگادے گا۔ اور جب تم کسی صحرا یا جنگل میں ہو تمہارے سواری گم ہو جائے اور تم اس سے دعا کرو تو وہ سواری تمہیں لوٹا دے گا، میں نے کہا: مجھے نصیحت کیجئے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کسی کو گالی مت دینا، کسی نیکی کو حقیر مت سمجھنا، اپنے بھائی سے کشادہ چہرے سے بات کرنا یہ بھی نیکی ہے، نصف پنڈلی تک اپنا تہہ بند اوپر کر لو، اگر اتنا نہ کر سکو تو ٹخنوں تک ، ٹخنوں سے نیچے تہہ بند لٹکانے سے بچو، کیونکہ یہ تکبر ہے اور اللہ تعالیٰ کو تکبر پسند نہیں۔ اگر کوئی آدمی تمہیں گالی دے اور تمہیں تمہاری اس خامی کا عار دلائے جو اسے معلوم ہیں تو اسے اس خامی کی عار نہ دلاؤ جسے تم جانتے ہو کیونکہ یہ اس پر وبال ہوگا۔ ایک روایت میں اس قول کہ کسی شخص کو گالی مت دینا کے بعد یہ الفاظ زیادہ ہیں کہ اس کے بعد میں نے کبھی کسی آزاد، غلام اونٹ یا بکری کو بھی گالی نہیں دی

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 442

woh kaunsi baate amal karne wale ke liye Allah Subhanahu uske Gunaaho ko mita deta hai aur nakiyon mein izafa karta hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: woh kaunsi baate amal karne wale ke liye Allah Subhanahu uske Gunaaho ko mita deta hai aur nakiyon mein izafa karta hai?


Jawab ek se zyada hai!


A: tangi ke halat mein bhi saqda karne wale

B: Anderoh mein masjid ki taraf chal kar jane wale

C: Na pasandeegi ke bawajood mukammal taur per wuzu karne wale

D: Masid ke janib durr se chal kar jane wale 

E: Masjid dakhil hone ki dua padne wale

F: Masjid se bahar nikalne ki dua padne wale

G: Ek namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karne wale

H: Gunah ke baad fauran tauba karne wale


I: Sahi Jawab ka Intezaar

******

Sahi Jawab - CDG✅


Reference📚:


Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya kya mein tumhe aisi cheez nahi batao jis se Allah Subhanahu ta’ala gunaaho ko mita deta aur nakiyon mein izafa karta hai? Sahaba karam Radi Allahu Anhu ne kaha Allah ke Rasool Rasool-Allah (ﷺ) zaroor bataiye! Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya na pasandeedgi ke bawajood mukammal wuzu karna aur masjidoon ki janib dur se chal kar jana aur ek namaz ke baad doosri namaz ka intezaar karna

---------

It was narrated from Abu Sa'eed Khudri that he heard : The Messenger of Allah say:  Shall I not tell you of something by means of which Allah expiates for sins and increases good deeds?  They said:  Yes, O Messenger of Allah.  He said:  Perform ablution properly despite difficulties, increasing the number of steps one takes towards the mosque and waiting for the next prayer after prayer.' 

----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کیا میں تمہیں ایسی چیز نہ بتاؤں جس سے اللہ تعالیٰ گناہوں کو مٹا دیتا اور نیکیوں میں اضافہ کرتا ہے؟ ، صحابہ کرام رضی اللہ عنہم نے کہا: اللہ کے رسول! ضرور بتائیے! آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  ناپسندیدگی کے باوجود مکمل وضو کرنا ۱؎، اور مسجدوں کی جانب دور سے چل کر جانا ۲؎، اور ایک نماز کے بعد دوسری نماز کا انتظار کرنا ۔ 

------

Sahih Hadees

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 427

Mafhum-e-Hadith ke mutabiq in mai say kab Quran padhne se mana kiya gaya hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Mafhum-e-Hadith ke mutabiq  in mai say kab Quran padhne se mana kiya gaya hai?


A: Zawal ke waqt

B: Hajre aswad ka bosa lete waqt

C: Tawaf ke waqt

D: Safar mein

E: Ruku mein

F: Raat ke 12 baje 

G: In mai se koi nahi 


H:Sahi jawab ka intezar hai

**********

Sahi Jawab - E✅


Reference📚:


Nabi Akarm (ﷺ) ne Reshmi aur kasm ke range huwe kapray pehanne, sonay ki angoothi pehenne aur ruku mein quran parhne se mana farmaya.

-----

Ali bin Abi Talib narrated: "The Prophet prohibited wearing Qassi, and that which is dyed with safflower, and from the gold ring, and from reciting the Quran while bowing"

-----

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے ریشمی اور کسم کے رنگے ہوئے کپڑے پہننے، سونے کی انگوٹھی پہننے اور رکوع میں قرآن پڑھنے سے منع فرمایا۔ 

-----

Grade : Sahih (Darussalam)

Reference : Jami` at-Tirmidhi 264

In-book reference : Book 2, Hadith 116

English translation : Vol. 1, Book 2, Hadith 264

In mein se wo kaunsa amal hai jis ka wabal/saza insan maut se pahle he dekh lega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai


Sawal: In mein se wo kaunsa amal hai jis ka wabal/saza insan maut se pahle he dekh lega?


A: Takkabur 

B: Zina

C: Chori

D: Nafarmani par kasam khana

E: Shirk

F: Qata rehmi

G: Zulm


H: Sahi jawab ka intezar hai

**********

Sahi Jawab - DF✅

Reference📚:

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke jis shakhs ne Qata Rahmi ki ya nafarmani per kasam khayi woh maut se pehlay is ka wabaal dekh lega.

-------

ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: جس شخص نے قطع رحمی کی یا نا فرمانی پر قسم کھائی وہ موت سے پہلے اس کا وبال دیکھ لے گا۔

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 416

In mein se quran ki wo kaunsi surtey hai jin ke jaisi Tawrat Injeel aur Zabur mein bhi nazil nahi huwi aur na Furqan mein in jaise surtey hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: In mein se quran ki wo kaunsi surtey hai jin ke jaisi Tawrat Injeel aur Zabur mein bhi nazil nahi huwi aur na Furqan mein in jaise surtey hai?


A: Surah-Al-Baqara

B: Surah-Al-Kausar 

C: Surah-Al-Nas 

D: Surah-Al-Kafiroon 

E: Surah-Al-Kahf 

F: Surah-Al-Falaq 

G: Surah-Al-Ikhlas

H: Surah-Al-Asr


I:Sahi jawab ka intezar hai

*********

Sahi Jawab - CFG✅


Reference📚:


Uqba Bin Amir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke mein Rasool-Allah (ﷺ) se mila to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Uqba Bin Amir jo tum se qata taluq kare is se Sila Rahmi karo, jo tumhe Mahroom kare use diya karo, jo tujh par zulm kare usay maaf kiya karo Uqba Radi Allahu Anhu ne kaha mein dobara Rasool-Allah (ﷺ) ke paas aaya to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Ukba Bin Amir apni zuban ko qaboo mein rakho, aur apni khata par roya karo, aur tumhare liye tumhara ghar hi kaafi ho phir mein Rasool-Allah (ﷺ) se mila to Aap (ﷺ) ne mujhe kaha Ukba Bin Amir kya mein tumhe aisi suraten nah shikhaoo jin ki misal Taurat o Injeel aur Zaboor mein bhi nazil nahi huien? aur nah Furqan mein un jaisi suraten hain har raat inhen parha karo الاخلاص (Ikhlas)، الفلق (Falaq)، الناس (Naas) Ukba ne kaha har raat mein inhen parha karta tha aur mere liye munasib hai ke mein inhen nah chhodu ke Rasool-Allah (ﷺ) ne mujhe un ka hukum diya hai Faroh Bin Mujahid jab yeh hadees bayan karte to kehte khabardaar kitney hi aisay aadmi hain jo apni zabaan ke maalik nahi, ya woh apni khato per nahi rotay aur nah un ka ghar un ke liye kaafi hai

---------


عقبہ بن عامررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ  میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے ملا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے کہا: عقبہ بن عامر! جو تم سے قطع تعلقی کرے اس سے صلہ رحمی کرو، جو تجھے محروم کرے اسے دیا کرو، جو تجھ پر ظلم کرے اسے معاف کیا کرو۔ عقبہ نے کہا: میں دوبارہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھےکہا: عقبہ بن عامر! اپنی زبان کو قابو میں رکھو،اور اپنی خطا پر رویا کرو،اور تمہارے لئے تمہارا گھر ہی کافی ہو۔پھر میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے ملا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے کہا :عقبہ بن عامر! کیا میں تمہیں ایسی سورتیں نہ سکھاؤں جن کی مثل تورات و انجیل اور زبور میں بھی نازل نہیں ہوئیں؟ اور نہ فرقان میں ان جیسی سورتیں ہیں؟ ہر رات انہیں پڑھا کرو  الاخلاص ، الفلق ، الناس  ۔عقبہ نے کہا: ہر رات میں انہیں پڑھا کرتا تھا۔ اور میرے لئے مناسب ہے کہ میں انہیں نہ چھوڑوں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے ان کا حکم دیا ہے ۔ فروہ بن مجاہد جب یہ حدیث بیان کرتے تو کہتے : خبردار کتنے ہی ایسے آدمی ہیں جو اپنی زبان کے مالک نہیں، یا وہ اپنی خطاپر نہیں روتے اور نہ ان کا گھر ان کے لئے کافی ہے

--------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 465

Joh shaqs Jannat mein dakhil hona chahta hai woh in mein se kaun kaun si batoh per amal kare?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Joh shaqs Jannat mein dakhil hona chahta hai woh in mein se kaun kaun si batoh per amal kare?


A: Salam ko aam karna 

B: Khana Khilana 

C: Takkabur se bachna

D: Jhooth se bachna

E: Rishtedaron se acha suluq karna

F: Tahajjud ki namaz padhe

G: Achi baat karna 

H: Sabr

I: Bukhl se bache 

J: Yateem ki parwarish karna 


K: Sahi Jawab ka Intezaar?

************

Sahi Jawab - ABEFG✅


Reference📚


Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki  jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashreef laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha  ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon (Tahajjud), (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.

--------

Sahih Hadees

Sunan Ibn majah, Jild 3, 132 -Sahih

---------

Hani Bin Yazid se rivayat hai ke mein ney kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe kisi aise amal ki rehnumai kijiye jo mujhe Jannat mein dakhil kar de Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ney farmaya yaqeenan maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur Achi baat karna hai

-----

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 299

Ek baar Hudhaifa Radi Allahu Anhu Rasool-Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe thy tab unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko sajda aur ruku karte dekha aur kuch cheezo ka sawal aur panah mangte huwe dekha unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko kis cheez ka sawal karte huwe dekha aur kis cheez se panah maagnte dekha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!

Sawal: Ek baar Hudhaifa Radi Allahu Anhu Rasool-Allah (ﷺ) ke saath namaz padh rahe thy tab unhone Rasool-Allah (ﷺ) ko sajda aur ruku karte dekha aur kuch cheezo ka sawal aur panah mangte huwe dekha unhone Rasool-Allah (ﷺ)  ko kis cheez ka  sawal karte huwe dekha aur kis cheez se panah maagnte dekha?


A: Rahmat

B: Umeed

C: Azaab

D: Ilm

E: Nafs

F: Dozak

G: Jannat

H: Maut

I: Hayat


J: Sahi Jawab ka intezaar hai

**************

Sahi Jawab - AC✅


Reference 📚:


Hudhaifah Radi Allahu Anhu ne Nabi Akram (ﷺ) ke sath namaz parhi to Aap apne ruku mein «Subhana Rabbiyal Azim» aur sajde mein « Subhana Rabbiyal A'la» parh rahay thy aur jab bhi Rahmat ki kisi aayat par pahunchate to thaharte aur sawal karte aur jab Azaab ki kisi aayat par aate to thaharte aur (Azaab se) panah mangte.

-------

 Hudhaifah narrated that he performed Salat with the Prophet (ﷺ), and that while he was bowing he would say: (Subhana Rabbiyal Azim);   Glorious is my Lord the Magnificent   and while prostrating: (Subhana Rabbiyal A'la) 'Glorious is my Lord the Most High.' And he would not recite an Ayah mentioning mercy, except that he would stop and ask (for mercy), and he would not recite an Ayah mentioning punishment, except that he would stop and seek refuge (with Allah from it).

--------

 انہوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ نماز پڑھی تو آپ اپنے رکوع میں «سبحان ربي العظيم» اور سجدے میں «سبحان ربي الأعلى» پڑھ رہے تھے۔ اور جب بھی رحمت کی کسی آیت پر پہنچتے تو ٹھہرتے اور سوال کرتے اور جب عذاب کی کسی آیت پر آتے تو ٹھہرتے اور  ( عذاب سے )  پناہ مانگتے

---------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 262

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke irshad ke mutabiq khana khate waqt kaunse amal karna chahiye?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke irshad ke mutabiq khana khate waqt kaunse amal karna chahiye?


A: Khana khate waqt koi luqma gir jaye to jo usey laga hai usey saf kar kay kha le

B: Bismillah kah kar dahine hath se khana khana chahiye

C: Jab tak apna haath chat na le rumal se saaf na kare

D: Palet jab tak chat na le ya chatwa na le na uthaye kyunki khane ke aakhri hisse mein barkat hoti hai

E. Khana khatam hone ke bad surah fatiha padhe

F. Khana apne samne se hi khana chahiye

G. Khana khate waqt shuru mein Bismillah kehna bhool jaye to Bismillah fi awwalihi wa akhirihi kahe


H. Sahi jawab ka intezar hai

/********

Sahi Jawab - ABCDFG✅


Reference📚:

Jabir Bin Abdulah Radi Allahu Anhu se rivayat hai unhone Nabi (ﷺ) se suna farma rahe thy jab tum mein se koi shakhs khana kaye aur luqmah gir jaye toh joh isse laga hai usay saaf kar ke kha le usay  Shiatan ke liye nah chhorey, aur jab tak apna haath chaat nah le romal se saaf nah kuy na ke Insaan nahi jaanta ke kaunse konse luqmay mein is ke liye Barkat hai, Shaitan har cheez par Insaan ke rastay mein ghaat lagaye baitha hai hatta ke is ke iske khane ke waqt bhi, aur paleton jab tak chaat nah le ya chatva nah le na utaye  kuyna ke khane ke aakhri hissay mein Barkat hoti hai.


Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 810

---------

Umar bin abu Salmah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hua to aapke samne khana rakha hua tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya beta qareeb ho jao aur Bismillah kah kar apne dahine haath se aur apne samne se khao 

Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1915-Sahih

---------

✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum mein se koi khana khane lage to Bismillah kahe aur agar shuru mein kahna bhul jaye to ye kahe Bismillah Fi Awwalihi Wa Akhirihi ( Allah ke naam ke saath is ke shuru mein aur aakhir mein)

Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1917-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...