❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Allah Subhanahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai
Sawal: yaha Raham se murad kis par Raham hai
A: Maa baap par
B: Rishtedaro par
C: Jaanwaro par
D: Tamam insano par
E: Musalmano par
F: Apne dosto par
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab - D✅
Reference📚:
Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke is zaat ki qisam jis ke haath mein meri jaan hai Allah Subahnahu ta’ala apni Rahmat sirf Raham karne walay shakhs par nazil karta hai logon ne kaha hum sab raham karte hain, Aap (ﷺ) ne farmaya apne kisi dost par raham (meharbani) karna raham nahi balkay woh tamam logon par raham (meharbani) kare
----------
عن أنس بن مالك مرفوعا: « وَالَّذِي نَفْسِي بِيَده ، لَا يَضَعُ اللهُ رَحْمَتَهُ إِلّا عَلَى رَحِيمٍ » ، قَالُوا : كُلُّنَا يَرْحَمُ ، قَالَ: « لَيْسَ بِرَحْمَةِ أَحْدِكُمْ صَاحِبَهُ يَرْحَمُ النَّاسَ كَافَّةً ».
------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے اللہ تعالیٰ اپنی رحمت صرف رحم کرنے والے شخص پر نازل کرتا ہے ۔ لوگوں نے کہا: ہم سب رحم کرتے ہیں ، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے کسی دوست پر رحم (مہربانی) کرنا رحم نہیں ۔ بلکہ وہ تمام لوگوں پر رحم(مہربانی) کرے
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 435
No comments:
Post a Comment