Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 21 September 2020

Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq __ amal ki wajah se insan Jahannum mein dakhil na hoga.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Mafhum e hadith mukamal kijiye!


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq __ amal ki wajah se insan Jahannum mein dakhil na hoga.


A: Kasrat se Astaghfar padhne wale

B: Ek namaz ke baad dusri namaz ka intezaar karne wale

C: Witr ki namaz raat ke akhri hisse mein padne wale

D: Kisi shakhs ko aala khandan ki khubsurat aurat ne burai ki dawat di ho aur uss shakhs ne kaha mai Allah se darta ho 

E: Fajr aur Zohar ki namaz awwal waqt mein padne wale

F: Jis ne suraj nikalne se pehle aur dubne se pahle namaz padhi

G: In mein se koi nahi


H: Sahi jawab ka intezar hai

***********

Sahi Jawab - F✅


Reference📚:


Umarah ibn Ruwaybah se rivayat hai ke Ahal basar mein se ek aadmi ne un se poocha aur kaha  Aap mujhe aisi baat bataiye jo Aap ny Rasool-Allah (ﷺ) se suni ho, unhon ny kaha mein ny Rasool-Allah (ﷺ) ko farmatay suna hai woh aadmi Jahannum mein daakhil nahi hoga jis ny Suraj nikalne se pehlay aur Sooraj dobne se pehlay namaz pardi, is shakhs ny kaha : Kya Aap ny yeh baat Rasool-Allah (ﷺ) se suni hai? yeh jumla is ny teen baar kaha, unhon ny kaha haan, har baar woh yahi kehte thy mere dono kaanon ny usay suna hai aur mere dil ny usay yaad rakha hai, phir is shakhs ny kaha mein ny bhi Raool-Allah (ﷺ) ko usay farmatay suna hai.

-------

Narrated Umarah ibn Ruwaybah: A man from Basrah said: Tell me what you heard from the Messenger of Allah (ﷺ). He said: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: No one will enter Hell who has prayed before the rising of the sun and before its setting (meaning the dawn and the afternoon prayers). He said three times: Have you heard it from him? He replied: Yes, each time saying: My ears heard it and my heart memorised it. The man then said: And I heard him (the Prophet) say that.

----------

 اہل بصرہ میں سے ایک آدمی نے ان سے پوچھا اور کہا: آپ مجھے ایسی بات بتائیے جو آپ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہو، انہوں نے کہا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  وہ آدمی جہنم میں داخل نہ ہو گا جس نے سورج نکلنے سے پہلے اور سورج ڈوبنے سے پہلے نماز پڑھی ، اس شخص نے کہا: کیا آپ نے یہ بات رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنی ہے؟ یہ جملہ اس نے تین بار کہا، انہوں نے کہا: ہاں، ہر بار وہ یہی کہتے تھے: میرے دونوں کانوں نے اسے سنا ہے اور میرے دل نے اسے یاد رکھا ہے، پھر اس شخص نے کہا: میں نے بھی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو اسے فرماتے سنا ہے۔

---------

Grade : Sahih (Al-Albani)  

Reference : Sunan Abi Dawud 427

In-book reference : Book 2, Hadith 37

English translation : Book 2, Hadith 427

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...