❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: ya baat kis ke liye Rasool-Allah Sallahu Alahi wa Sallam ne farmayi ke wo bandah nakam aur khasaray mein raha?
A: jo budape mein apne waladain ki kidmat nahi karte
B: jis ne kabhi kisi yateem ki parwarish nahi ki
C: jo logo ke liye dil mein hasad rakhe
D: jis ka dil Allah Subahanhu ke zikr mein nahi lagta
E: jis ke dil mein Allah Subhanahu ne Insaan ke liye reham nahi rakha
F: jis ke dil mein Allah Subhanahu ka khauf nahi
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar jawab G hai toh sahi jawab likiye!
**********************
Sahi Jawab - E✅
Reference📚:
------
Umro bin Habib RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone Saeed bin Khalid bin umro bin Osman RadiAllahu Anhu se kaha kya aap ko maloom nahi? ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya woh bandah nakaam aur khasaray mein raha jis ke dil mein Allah Subhanahu ta’ala ne Insaan ke liye Reham nahi rakha.
----
عمرو بن حبیب سے مروی ہے انہوں نے سعید بن خالد بن عمرو بن عثمان سے کہا: کیا آپ کو معلوم نہیں؟ کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ بندہ ناکام اور خسارے میں رہا جس کے دل میں اللہ تعالیٰ نے انسان کے لئے رحم نہیں رکھا؟
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 110