Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 1 February 2020

Mahfhum e Hadith ke mutabiq inmein se kaun kaunse logo ko yh cheezo ko badd dua nahi karni cahhaiye?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Sawal : Mahfhum e Hadith ke mutabiq inmein se kaun kaunse logo ko yh cheezo ko badd dua nahi karni cahhaiye?

A: Marhoom
B: Padosi
C: Baarish
D: Buri Nazar
E: Khadim (Naukar)
F: Biwi
G: Apna Maal
H: Aulad
I: Apni Jaan
J: Waledain

K: Sahi Jawab ka Intezaar


**********************

Sahi Jawab : EGHI✅

Reference📚:
---------
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya tum log na apne liye baddua karo aur na hi apni Aulad ke liye na apne khadimo ke liye na hi apne maalo ke liye kahin aisa na ho ke wo ghadi aise ho jis main dua Qubul Hoti ho aur Allah Subhanahu taala baddua Qubul karle 
---------------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: تم لوگ نہ اپنے لیے بد دعا کرو اور نہ اپنی اولاد کے لیے، نہ اپنے خادموں کے لیے اور نہ ہی اپنے  مالوں کے لیے،* کہیں ایسا نہ ہو کہ وہ گھڑی ایسی ہو جس میں دعا قبول ہوتی ہو اور اللہ تمہاری بد دعا قبول کر لے ۔
----------------
RasoolAllah (ﷺ) said Do not invoke curse on yourselves, and do not invoke curse on your children, and do not invoke curse on your servants, and do not invoke curse on your property, lest you happen to do it at a time when Allah is asked for something and grants your request.
-------------------
Sahih Hadees
Sunan Abu Dawood Hadees # 1532

Ek sahabi ne kuch sahaba ka naam lekar kaha jo ke shaheed ho chuke thy ke wo mujh se behter thy aur un ke baad duniya hume bhut dedi gaye aur hume to darr lagta hain ke kahi aisa na ho ki humari naikiyon ka badla isi dunya mein hum ko mil gaya ho aur wo rone lage


❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Dusre sawal mein jawab ek se ziada hain 

Sawal: Ek sahabi ne kuch sahaba ka naam lekar kaha jo ke shaheed ho chuke thy ke wo mujh se behter thy aur un ke baad duniya hume bhut dedi gaye aur hume to darr lagta hain ke kahi aisa na ho ki humari naikiyon ka badla isi dunya mein hum ko mil gaya ho aur wo rone lage

1: Wo sahabi kaun thy jo rone lage they? 

2: Wo sahaba kaun thy?

A. Umar radi Allahu anhu 
B. Husain radi Allahu anhu 
C. Amro bin salma radi Allahu anhu 
D. Musa'b bin umair radi Allahu anhu 
E. Hamza radi Allahu anhu 
F. Sahal bin sa'ad radi Allahu anhu 
G. Salma bin Ako'a radi Allahu anhu 
H. Imran bin husain radi Allahu anhu 
I. Innmai se koi nahi 

J. Sahi jawab ka intezar hai


***************************

Sahi Jawab - I/DE✅

Reference📚:
--------------
Abdulrehman Bin Aawf Radi Allahu anhu ke samne khana hazir kiya gaya.wo roza se thy uss waqt unho ne farmaya ke haye! Musa'b Bin Umair Radi Allahu anhu shaheed kiye gaye,wo mujh se behter thy. Laikin un ke kafan ke liye sirf ek chadar maiyassar aa saki jr agar uss se un ka sir dhanka jata to paon khul jate aur paon dhanke jate to sir khul jata aur mai samajhta ho ke unho ye bhi farmaya aur Hamza Radi Allahu anhu bhi (usi tarah)shaheed huwe wo bhi mujh se achche thy phir un ke baad duniya ki kushadgi hamare liye khoob huwi ya ye farmaya ke duniya hume bhot di gaye aur hame to iss ka darr lagta hai ke kahi aisa na ho ke hamari naikiyo ka badla isi duniya mai hum ko mil gaya ho phir Aap iss tarha rone lage ke khana bhi chod diya. 
------
Sahih Bukhari Hadees # 1275

Inmein se kis shaqs ke liye farmaya gaya hai ke Allah Subhanahu ka ghazab aur laanat hai uss per aur Allah Subhanahu ne uske liye bada azaab tayyar rakha hai jo dozakh hain.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kis shaqs ke liye farmaya gaya hai ke Allah Subhanahu ka ghazab aur laanat hai uss per aur Allah Subhanahu ne uske liye bada azaab tayyar rakha hai jo dozakh hain.

A: Zulm karne wala
B: Yateem ka maal khane wala
C: Soodi karobaar karne wala
D: Zina karne wala
E: Jhooti gawahi dene wala
F: Apne baccho ko muflisi ke wajah se qatl karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezar


****************

Sahi Jawab - G✅
{Jisne kisi Momin ko jaan boochkar qatl kiya}

Bismillahirrahmannirrahim

وَمَن يَقْتُلْ مُؤْمِنًۭا مُّتَعَمِّدًۭا فَجَزَآؤُهُۥ جَهَنَّمُ خَٰلِدًۭا فِيهَا وَغَضِبَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ وَلَعَنَهُۥ وَأَعَدَّ لَهُۥ عَذَابًا عَظِيمًۭا

Aur jo koi kisi Momin ko qasdan (jaan boochkar) Qatl kar daale us ki saza dozakh hai jis mein wo hamesha rahega, us par Allah ta'ala ka ghazab hai, ose Allah ta'ala ne laanath ki hai aur us ke liye bada azaab tayyaar kar rakha hai.
------
And whoever kills a believer intentionally, his punishment is hell he shall abide in it, and Allah will
send His wrath on him and curse him and prepare for him a painful chastisement.
-----
(Al Qur'an: Surah An-Nisa 04:93)

Ek baar ek Sahaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath sawari par peehce thy tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke mein tumhe chand ahem baate batla raha hon

Sahi Jawab – BCDEFGH✅


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Ek baar ek Sahaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke saath sawari par peehce thy tabhi Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke mein tumhe chand ahem baate batla raha hon

Sawal: wo kaun kaun si baate irshad farma rahe thy?

A: Hamesha sach ka saath dena 
B: Allah Subhanahu ke ehkaamo ki hifazat karna 
C: Allah Subhanahu ke haqooq ka khayal rakhna 
D: Jab kuch cheez mango toh Allah Subhanahu se he mango
E: Jab madad cahho to Srif Allah Subhanahu se madad talab karo
F: Saari ummat bhi jama hokar tumhe kuch naffa pahuchana chahe toh wo usse zaida nahi pahucha sakti joh Allh ne tumhare liye diya hai 
G: Saari ummat jama hokar tumhe nuqsaan pahoochane ke liye jama hojaye to iss se zaida kuch nuqsaan nahi pahoocha sakti jo Allah ne tumhare liye likh diya hai
H: Qalam utha liya gaya hai aur taqdeer ke saheefay khushk hogaye hain.
I: Allah Subhanahu se Reham ki umeed kayam rakhna

J: Sahi Jawab ka Intezaar?


**********************************

Reference📚:

Abudllah Bin Abbas Radi Allahu Anhu kehte hain ke mein ek din Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke sath sawari par peechay tha, Aap ne farmaya ”Eh larke! beshak mein tumhe chand ahem battay batla raha hon tum Allah Subhanahu ke ehkaam ki hifazat karo, woh tumhari hifazat farmaiye ga, to Allah Subahnahu ke haqooq ka khayaal rakho  usay tum apne samnay paoge, jab tum koi cheez mango to sirf Allah Subahanhu se mango, jab to madad chaho to sirf Allah Subahnahu se madad talabb karo, aur yeh baat jaan lo ke agar saari ummat bhi jama ho kar tumhe kuch naffa pahunchana chahay to woh tumhe is se ziyada kuch bhi naffa nahi pouncha sakti jo Allah Subahnahu ne tumahray liye likh diya hai, aur agar woh tumhe kuch nuqsaan pohanchanay ke liye jama ho jaye to is se ziyada kuch nuqsaan nahi pouncha sakti jo Allah Subahanhu ne tumahray liye likh diya hai, qalam utha liye gaye aur ( taqdeer ke ) saheefay khushk ho gaye hain.
_____
 میں ایک دن رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ سواری پر پیچھے تھا، آپ نے فرمایا: ”اے لڑکے! بیشک میں تمہیں چند اہم باتیں بتلا رہا ہوں: تم اللہ کے احکام کی حفاظت کرو، وہ تمہاری حفاظت فرمائے گا، تو اللہ کے حقوق کا خیال رکھو اسے تم اپنے سامنے پاؤ گے، جب تم کوئی چیز مانگو تو صرف اللہ سے مانگو، جب تو مدد چاہو تو صرف اللہ سے مدد طلب کرو، اور یہ بات جان لو کہ اگر ساری امت بھی جمع ہو کر تمہیں کچھ نفع پہنچانا چاہے تو وہ تمہیں اس سے زیادہ کچھ بھی نفع نہیں پہنچا سکتی جو اللہ نے تمہارے لیے لکھ دیا ہے، اور اگر وہ تمہیں کچھ نقصان پہنچانے کے لیے جمع ہو جائے تو اس سے زیادہ کچھ نقصان نہیں پہنچا سکتی جو اللہ نے تمہارے لیے لکھ دیا ہے، قلم اٹھا لیے گئے اور  ( تقدیر کے )  صحیفے خشک ہو گئے ہیں“
------------------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 2516

Inmein se kaun yh kahenge ke Allah ki Qasam hum par kabhi takleef nahi guzri aur na he kabhi shiddat aur sakhti dekhi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kaun yh kahenge ke Allah ki Qasam hum par kabhi takleef nahi guzri aur na he kabhi shiddat aur sakhti dekhi?

A: Jo jung mein Shaheed huwe
B: Mazlum
C: jo kisi Bewa aur Yateem ki parwarish ki zimmedari li
D: jo sarhad per pehrah diya karte thy
E: duniya ki zindagi mein joh sakhti aur takleef mein rahe
F: duniya ki zindagi mein jo khushaal rahe 
G: joh maal na hone ke bawajood bhi sadqa diya karte thy
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

*********************************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
--------
Syedna Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Qayamat ke din ahal dozakh mein se is shakhs ko laya jaye ga jo duniya mein sab se ziyada aasooda tar aur khushaal tha, pas dozakh mein ek baar ghouta diya jayega, phir is se poocha jayega ke Eh Aadam ke betay kya to ne duniya mein kabhi Aram dekha tha? kya tujh par kabhi chain bhi guzra tha? woh kahey ga ke Allah ki qasam! Eh mere RABB! kabhi nahi aur ahal Jannat mein se ek aisa shakhs laya jaye ga jo duniya mein sab logon se sakht tar takleef mein raha tha, Jannat mein ek baar ghouta diya jaye ga, phir is se poocha jaye ga ke Eh Aadam ke betay! tu ne kabhi takleef bhi dekhi hai? kya tujh par shiddat aur ranj bhi guzra tha? woh kahey ga ke Allah ki Qasam! mujh par to kabhi takleef nahi guzri aur mein nay to kabhi shiddat aur sakhti nahi dekhi
-------------
Anas b. Malik reported that Allah's Messenger ( صلی اللہ علیہ وسلم  ) said that one amongst the denizens of Hell who had led a life of ease and plenty amongst the people of the world would be made to dip in Fire only once on the Day of Resurrection and then it would be said to him: O, son of Adam, did you find any comfort, did you happen to get any material blessing? He would say: By Allah, no, my Lord. And then that person from amongst the persons of the world be brought who had led the most miserable life (in the world) from amongst the inmates of Paradise. and he would be made to dip once in Paradise and it would be said to him. 0, son of Adam, did you face, any hardship? Or had any distress fallen to your lot? And he would say: By Allah, no,0 my Lord, never did I face any hardship or experience any distress.
----------
Sahih Hadees.
Sahih Muslim Hadees # 7088

Mahfuhm e hadith ke mutabiq Allah Subhanhu ne inmein se kis ke liye farmaya ke mujhe zarra bhar bhi inki parwah nahi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Allah Subhanhu ne inmein se kis ke liye farmaya ke mujhe zarra bhar bhi inki parwah nahi?

A: Waledain ki nafarmani karne wale
B: Jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ka naam sunke unper darood na padhe
C: Jo bewaja talak ya khulla le
D: jis ke shar se uska padosi mehfus na ho
E: jo namaz se gafil reh gaya
F: jo halal aur haram mein farq na rakhe
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar



******************************


Sahi Jawab - G✅(Jannati aur Jahannum ki taraf jane wale makhlooq)

Reference📚:
-------------
Abdul Rahman Bin Qatadeh Salmi RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Allah Azzwajal ne Adam Alahi Salam ko paida farmaya, phir un ki pusht se makhlooq li aur farmaya yeh Jannat ki taraf jayenge mujhe zarra bhar bhi parwah nahi, aur yeh Jahannum ki taraf jayenge mujhe zarra bhar bhi parwah nahi kisi shakhs ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! phir hum kis bina par Amal karen? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Taqdeer ke mawaqay par.
-------------------
عبدالرحمن بن قتادہ سلمی رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ اللہ عزوجل نے آدم علیہ السلام  کو پیدا فرمایا، پھر ان کی پشت سے مخلوق لی اور فرمایا: یہ جنت کی طرف جائیں گے مجھے ذرہ بھر بھی پرواہ نہیں، اور یہ جہنم کی طرف جائیں گے مجھے ذرہ بھر بھی پرواہ نہیں۔ کسی شخص نے کہا: اے اللہ کے رسول! پھر ہم کس بنا پر عمل کریں؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تقدیر کے مواقع پر
--------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3107

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek baar ek sahabi nahi mile to dusre sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke wo unki khabar un tak pahochayege jab wo sahabi unke ghar pahoche to dehka ke wo sahbai sir jukaye baithy thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek baar ek sahabi nahi mile to dusre sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke wo unki khabar un tak pahochayege jab wo sahabi unke ghar pahoche to dehka ke wo sahbai sir jukaye baithy thy?

Sawal: wo sahabi kis wajah se pareshan/bure haal mein thy aur wo samjh baithy ke wo dozakiyo mein se hai

A: unke salam ka jawab Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne nahi diya tha
B: wo Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Jihad mein shamil nahi ho sake
C: wo Quran ko onchi aawaz mein padha karte thy
D: Khutba ke dauran fuzul baato mein padh jate thy
E: Khutba sunne Masjid mein sab se aakhi mein pahochte thy
F: wo bahut uchi awaz mein baat kiya karte thy
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?

*********************

Sahi Jawab - G✅
{Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke samnay Aap Sallallahu Alaihi wasallam se bhi onche aawaz mein bola karte thy}

Reference📚:
---------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko ek din Thabit bin Qais RadiAllahu Anhu  nahi miley to ek sahabi ne kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam mein aap ke liye un ki khabar lata hon chunancha woh un ke yahan aaye to dekha ke apne ghar mein sir jukaye baithy hain, unhon ny poocha ke kya haal hai? Unhon ne kaha ke bura haal hai un ki aadat thi ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke samnay Aap Sallallahu Alaihi wasallam se bhi onche aawaz mein bola karte they. unhon ny kaha isi liye mera amal ghaarat ho gaya aur mein dozakiyo mein ho gaya hon woh sahabi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein haazir huwe aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko ittila di ke Thabit Radi Allah Anhu yun keh rahe hain. Moose bin Anas RadiAllahu Anhu ne bayan kiya, lekin doosri martaba wohi sahabi Saabit radi Allahu Anhu ke paas ek barri khushkhabri le kar wapas huwe. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya tha ke Saabit ke paas jao aur is se kaho ke woh ahal Jahannum mein se nahi hain balkay woh Ahal Jannat mein se hain.
----------
Narrated Anas bin Malik: The Prophet (ﷺ) noticed the absence of Thabit bin Qais. A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I shall bring you his news." So he went to him and saw him sitting in his house drooping his head (sadly). He asked Thabit, "What's the matter?" Thabit replied, "An evil situation: A man used to raise his voice over the voice of the Prophet (ﷺ) and so all his good deeds have been annulled and he is from the people of Hell." The man went back and told the Prophet (ﷺ) that Thabit had said so-and-so. (The sub-narrator, Musa bin Anas said, "The man went to Thabit again with glad tidings)." The Prophet (ﷺ) said to him, "Go and say to Thabit: 'You are not from the people of Fire, but from the people of Paradise."
----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3613

Mafhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ne In mein se kis ke saath pakka wada kiya hai ke wo usay Jannat main dakhil karega ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq Allah Subhanahu ne In mein se kis ke saath pakka wada kiya hai ke wo usay Jannat main dakhil karega ?

A: Quran Ka ilm hasil karne wale 
B: Laa illaha illallaha ka iqrar karne wale 
C: Tahhajud padhne walo se
D: Jo panch waqt ki Namaz adaa karega
E: Jisne Allah Subhanahu ko ek pal bhi Yaad kiya ho
F: Jisne Reham ko joda
G: Inmein se koi Nahi

H:Sahi Jawab ka intezaar

*******************************

Sahi Jawab - D✅

Reference 📚: 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne Apne bando par panch (5) Namazein Farz ki hai Jo innhein ada karenga aur unmein se kisi ko Halka samjhte huye zaya nahi karega to Allah Subhanahu Ka usay pukhta ehad ( pakka Ehad) hai ke usay Jannat main dakhil karega aur Jisne innhein adaa Nahi Kiya toh Allah Subhanahu Ka usay koi wada Nahi hai agar chahe to usay azab de aur chahe to usay Jannat main dakhil karen
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  اللہ نے اپنے بندوں پر پانچ نمازیں فرض کی ہیں، جو انہیں ادا کرے گا، اور ان میں سے کس کو ہلکا سمجھتے ہوئے ضائع نہیں کرے گا، تو اللہ کا اس سے پختہ وعدہ ہے کہ وہ اسے جنت میں داخل کرے گا، اور جس نے انہیں ادا نہیں کیا تو اللہ کا اس سے کوئی وعدہ نہیں ہے، اگر چاہے تو اسے عذاب دے، اور چاہے تو اسے جنت میں داخل کرے ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Five prayers are those that Allah has decreed for (His) slaves, whoever does them, and does not neglect any of them out of disregard toward them, will have a promise from Allah that He will admit him to Paradise. And whoever does not to them will have no such promise from Allah; if He wills he will punish him and if He wills He will admit him to Paradise. 
Sunan Nisai Volume 1 , 462

Mahfum e hadith Inmein se kaun Arsh ke saath lataka huwa hai


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e hadith Inmein se kaun Arsh ke saath lataka huwa hai

A: Alhumdullilah kehne se
B: SubhanAllah kehne se
C: jab sache dil se Astagfaar padha jaye
D: jab koi Durud padhta hai
E: Dua
F: jab ko salam karta hain
G:: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar


************************

Sahi Jawab - G✅
Sila Rehmi Arsh ke saath latki huwi hain

Reference📚:
-------
Syedna Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu bhi bayan karte hain ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Sila Rehmi arsh ke sath lataki huwi hai aur woh shakhs sila rehmi karne wala nahi hai, jo badlay mein yeh amal kar raha ho (asal aur kaamil darjay mein ), Sila Rehmi karne wala to woh hai ke jab is ka rishta kat raha ho to woh is ko jode raha ho.
------------
 ۔ سیدنا عبد اللہ بن عمرو رضی اللہ عنہمایہ بھی بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: صلہ رحمی عرش کے ساتھ لٹکی ہوئی ہے اور وہ شخص صلہ رحمی کرنے والا نہیں ہے، جو بدلے میں یہ عمل کر رہا ہو (اصل اور کامل درجے میں)، صلہ رحمی کرنے والا تو وہ ہے کہ جب اس کا رشتہ کٹ رہا ہو تو وہ اس کو جوڑ رہا ہو۔ 
-------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9054

Wo kaunse Sahabi thy joh Aankh dhukne ki wajah se ek Ghazwah mein shareek nahi ho paye lekin fir wo apne ghar se nikale aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Lashkar se ja miley aur fir Allah Subhanahu ne un sahabi ke haath par he fatah dilwayi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kaunse Sahabi thy joh Aankh dhukne ki wajah se ek Ghazwah mein shareek nahi ho paye lekin fir wo apne ghar se nikale aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke Lashkar se ja miley aur fir Allah Subhanahu ne un sahabi ke haath par he fatah dilwayi?

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Jafar RadiAllahu Anhu
C: Hamza radi Allahu anhu
D: Ali RadiAllahu Anhu
E: Ammar RadiAllahu Anhu
F: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar.

**************************************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------------
Ali RadiAllahu Anhu Ghazwah Khaibar ke mauqe par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke saath bawaja aankh dukhne ke nahi aa sake they, phir unhon ny socha mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Ghazwah mein shareek nah ho sakun! chunancha ghar se niklay aur aap ke lashkar se ja miley, jab is raat ki shaam aayi jis ki subah ko Allah Subhanhu ta’ala ne fatah inayat farmai thi to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kal mein ek aise shakhs ko Alam(flag) doun ga ya Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne yun farmaya ke kal) ek aisa shakhs Alam (flag) ko lega jis se Allah aur is ke Rasool ko Mohabbat hai ya Aap ne yeh farmaya ke jo Allah aur is ke Rasool se mohabbat rakhta hai aur Allah ta’ala is ke haath par fatah inayat farmaiye ga, ittefaq se Ali RadiAllahu Anhu aa gaye, halaank unke anay ki hamein umeed nahi thi logon ny bataya ke yeh hain Ali RadiAllahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Alam (flag) inhen de diya, aur Allah Subhanahu ta’ala ne un ke haath par Khaibar ko fatah kara diya.
--------------
Narrated Salama: `Ali happened to stay behind the Prophet (ﷺ) and (did not join him) during the battle of Khaibar for he was having eye trouble. Then he said, "How could I remain behind Allah's Messenger (ﷺ)?" So `Ali set out following the Prophet (ﷺ) , When it was the eve of the day in the morning of which Allah helped (the Muslims) to conquer it, Allah's Messenger (ﷺ) said, "I will give the flag (to a man), or tomorrow a man whom Allah and His Apostle love will take the flag," or said, "A man who loves Allah and His Apostle; and Allah will grant victory under his leadership." Suddenly came `Ali whom we did not expect. The people said, "This is `Ali." Allah's Messenger (ﷺ) gave him the flag and Allah granted victory under his leadership.
-----------------
Sahih Bukhari Hadees # 3702

Inmein se wo kaunsa Amal hain jo yaqeenan Maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Inmein se wo kaunsa Amal hain jo yaqeenan Maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se hain?

A: Raat mai Aayat ul Kursi padh kar sone se
B: Surah Al-Baqarah ki akhri do aayat padhne se 
C: Ghar mein Salam kar ke dakhil hone se
D: Subah Shaam Astagfaar padne se
E: Salam phelane se 
F: Achi baat karne se
G: Khamoshi itkteyaar karne se

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************************

Sahi Jawab - EF✅

Reference📚:

Maghfirat wajib karne wale Amal
-------
Hani Bin Yazid se rivayat hai ke mein ney kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe kisi aise amal ki rehnumai kijiye jo mujhe Jannat mein dakhil kar de Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ney farmaya yaqeenan maghfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur Achi baat karna hai
-----
ہانی بن یزید سے مروی ہے کہ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے کسی ایسے عمل کی راہنمائی کیجئے جو مجھے جنت میں داخل کر دے۔آپ نے فر مایا: یقینا مغفرت کو واجب کرنے والی چیزوں میں سے سلام پھیلانا اور اچھی بات کرنا ہے
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 299

Qayamat ke din inmein se kaun ek rang aur jism ki tabdeeli ki soorat mein ayega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Qayamat ke din inmein se kaun ek rang aur jism ki tabdeeli ki soorat mein ayega

A: Sila Rehmi 
B: Quran
C: Zakat
D: Namaz
E: Durud 
F: Dua
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar



************************************


Sahi Jawab – B✅

Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Qayamat ke din Quran ek rang aur jism ki tabdeeli ki soorat mein aeyega aur sahib e Quran se kahega kya tum mujhe jantay ho? Mein woh hon jo tumhe raton ko beedaar aur dopahar ko piyasa rakhta tha har tajir apni tijarat ke peechay tha aur aaj mein har tajir ke ilawa Aap ke saath hon, tab Sahib Quran ko dayen haath mein badshahat aur baen haath mein Dwam ataa kar diya jayega, is ke sir par Waqar ka taaj rakha jayega, is ke walidain ko aise jube pahnaye jayen ge, duniya aur jo kuch is mein hai is ke barabar nahi hoga. woh kahenge Eh hamaray RABB! yeh hamaray liye kis wajah se? to kaha jayega tum dono ne apne bachay ko Quran ki taleem di thi aur Qayamat ke din Sahib Quran se kaha jayega, padho aur darjaat charhtay jao aur is terhan thehar thehar kar padho jis terhan duniya mein parhte they tumhari manzil tumhari aakhri aayat par hai
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: قیامت کے دن قرآن ایک رنگ اور جسم کی تبدیلی کی صورت میں آئے گا اور صاحب قرآن سے کہے گا: کیا تم مجھے جانتے ہو؟ میں وہ ہوں جو تمہیں راتوں کو بیدار اور دوپہروں کو پیاسا رکھتا تھا۔ ہر تاجر اپنی تجارت کے پیچھے تھااور آج میں ہر تاجرکےعلاوہ آپ کے ساتھ ہوں ،تب صاحب قرآن کو دائیں ہاتھ میں بادشاہت اور بائیں ہاتھ میں دوام عطا کر دیا جائے گا، اس کے سر پر وقار کا تاج رکھا جائے گا، اس کے والدین کوایسے دو جبے پہنائے جائیں گے ،دنیا اور جو کچھ اس میں ہے اس کے برابر نہیں ہوگا۔ وہ کہیں گے: اے ہمارے رب! یہ ہمارے لئے کس وجہ سے؟ تو کہا جائے گا: تم دونوں نے اپنے بچے کو قرآن کی تعلیم دی تھی۔ اور قیامت کے دن صاحب قرآن سے کہا جائے گا، پڑھو اور درجات چڑھتے جاؤ اور اس طرح ٹھہر ٹھہر کر پڑھو جس طرح دنیا میں پڑھتے تھے۔ تمہاری منزل تمہاری آخری آیت پر ہے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3002

Kaunse sahabi ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Subahnahu aur Momino ne un par iktelaaf karna Radd kar diya hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse sahabi ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Subahnahu aur Momino ne un par iktelaaf karna Radd kar diya hain?

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Saad bin Abi Waqas RadiAllahu Anhu
C: Abu Bakr RadiAllahu anhu
D: Ali RadiAllahu Anhu
E: Ammar RadiAllahu Anhu
F: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar.

*************************
Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
------------
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke, kehte hai ke jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Alele wasal ki beemari badh gayi aur aap nidhaal hogaye to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny Abdul Rahman bin Abu Bakr RadiAllahu Anhu se kaha mere pass kandhe ki haddi ya takhti lao taki mein Abu Bakr RadiAllahu Anhu ke liye waseeyat likh du ke is par (Abu Bakr RadiAllahu Anhu par) Ikhtelaaf na kiya jaye abhi Abdul Rahman RadiAllahu Anhu jane ke liye khade he huwe thy ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Bakar Allah Subhanahu ta’ala aur Momino ne app par ikhtlaaf raad kar diya hain.
-----------------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مروی ہے، كہتی ہیں كہ جب رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کی بیماری بڑھ گئی اور آپ نڈھال ہوگئے تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے عبدالرحمن بن ابی بكر رضی اللہ عنہ   سے كہا: میرے پاس كاندھے كی ہڈی یا تختی لاؤ، تاكہ میں ابو بكر كے لئے وصیت لكھ دوں كہ اس پر(ابو بکر رضی اللہ عنہ  پر) اختلاف نہ كیا جائے۔ ابھی عبدالرحمن رضی اللہ عنہ  جانے كے لئے كھڑے ہی ہوئے  تھے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اے ابو بكر! اللہ تعالیٰ اور مومنوں نے آپ پر اختلاف كو رد كر دیا ہے 
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3333

yh misal kis ke liye farmaye hain ke jab iss ki khushi dil mein sama jati hai toh phir is ko koi bura nahi samajh sakta


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kis ke liye farmaye hain ke jab iss ki khushi dil mein sama jati hai toh phir is ko koi bura nahi samajh sakta

A: Ilm
B: Amal
C: Jihad 
D: Quran
E: Eman
F: Namaz
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************************

Sahi Jawab – E✅

Reference📚:
----------
Heraclius  (Rome ke Badshah) ne Abu Sufyan RadiAllahu anhu se kaha mein ne tum se poocha tha ke is Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ke maanne wale barh rahe hain ya ghatt rahe hain tu ne jawab mein batlaya ke woh barh rahe hain. (theek hai) Imaan ka yahi haal rehta hai yahan taq ke woh poora hojaye aur mein ne tujh se poocha tha ke koi is ke deen mein aa kar phir is ko bura jaan kar phir jata hai? Tu ne kaha nahi, aur Imaan ka yahi haal hain jab is ki khushii dil mein sama jati hain toh phir is ko koi bura nahi samajh sakta.
-------------
Narrated 'Abdullah bin 'Abbas: I was informed by Abu Sufyan that Heraclius said to him, "I asked you whether they (followers of Muhammad) were increasing or decreasing. You replied that they were increasing. And in fact, this is the way of true Faith till it is complete in all respects. I further asked you whether there was anybody, who, after embracing his (the Prophets) religion (Islam) became displeased and discarded it. You replied in the negative, and in fact, this is (a sign of) true faith. When its delight enters the heart and mixes with them completely, nobody can be displeased with it."
------------------
Sahih Bukhari Hadees # 51

Sawal1: Jab koi Qaum Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki ahad tode thi hai toh? Sawal2: Jab kisi qaum ke hukmaran Allah Subahnahu ki kitab se faisle nahi karte aur Allah Subahnahu ki nazil karda shariyat ko ikhtiyar nahi karte



❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗

Do sawal hain!

Sawal1: Jab koi Qaum Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki ahad tode thi hai toh?

Sawal2: Jab kisi qaum ke hukmaran Allah Subahnahu ki kitab se faisle nahi karte aur Allah Subahnahu ki nazil karda shariyat ko ikhtiyar nahi karte

A. Aasman se barish rok jati hai 
B. Kasrat se zalzale aur aasmani aafat ka samna karna padta hai
C. Allah Ta'ala unhe aapas mai ikhtilaf mai mubtila kar deta hai 
D. Ta'aon aur bhook ki aisi bimariya janam leti hai jo unke pahle logo mai nahi howi hoti 
E. Inhe qahait, sakht mashaqqat aur zalim badsha ka samna karna padta hai 
F. Jahannumiyo mai naam likh diya jata hai
G. Allah Ta'ala un par unke alawa koye dosra dushman musallat kar deta 
H. Allah subhanahu aur farishte lanat bhejte hai

I. Sahi jawab ka intezar hai

*********************

Sahi Jawab - (1-G)(2-C)✅

Reference📚:
------
Abdallah bin Umar Radiallahu anhuma kahte hai   ke Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam hamari taraf mutwajja howe aur farmane lage:aye muhajirin ki jamat!panch cheeze aise hai ke jab tum un mai mubtila ho jayenge aur mai Allah se panah talab karta ho ke tum un mai mubtila ho jao, kisi bhi qaum mai jab khule aam gunah hota hai to un mai ta'aon aur bhook ki aisi bimariya janam leti hai jounke pahle logo mai nahi howi hoti, aur jab koi qaum paimana aur tol kam kar deti hai to inhe qahait,sakht mashaqqat aur zalim badsha ka samna karna padta hai, aur jab koi qaum apne maal ki zakat rok leti hai to aasman se barish rok jati hai agar janwar na ho to unhe pani ka ek qatra na mile,aur jab koi qaum Allah Subahanhu aur uske Rasool ka ahad todti hai to Allah Ta'ala un par unke alawa koi dusra dushman musallat kar deta hai, to wo unke hatho mai jo kuch hota usme se kuch cheen letey hai aur jab kisi qaum ke hukmaran Allah ki kitab se faisle nahi karte aur Allah ki nazil karda shariyat ko ikhtiyar nahi karte,to Allah Ta'ala unhe aapas mai ikhtilaf mai mubtila kar deta hai.
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1876

Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta hai Sawal2: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo apne maal mein se sadqa nikalta hai chahe de diya cahahe nahi diya yh rok liya Sawal3: Yh misaal kis ke liye hai jaise hawain ulat pulat karti rehti hain


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Teen sawal hain jawan 1A, 2B,3C aisa dijiye!

Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta hai

Sawal2: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo apne maal mein se sadqa nikalta hai chahe de diya cahahe nahi diya yh rok liya

Sawal3: Yh misaal kis ke liye hai jaise hawain ulat pulat karti rehti hain
-----------

A: Nafil Namaz
B: Dil 
C: Quran
D: Sadqa karne wala
E: Nafil Roza
F: Awwal waqt mein namaz padne wala
G: Jihad karne wala

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***********************

Sahi Jawab: 1F, 2E, 3B✅

Reference📚:
-------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya :  Awwal waqt mein namaz ke liye jane walay ki misaal us shakhs ki si hai jo oont ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo gaaye ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo bheedh ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo murghi ki qurbani karta hai, phir jo us ke baad aaye woh us shakhs ki terhan hai jo anday ki qurbani karta hai .

Sunnan Nisai Hadith, 865 Sahih
---------
Rasool-Allah (ﷺ) ek din mere paas aaye, aur poocha : ”Kya tumahray paas kuch ( khanay ko ) hai? “ to mein ne kaha nahi, aap ne farmaya : ”To mein roza se hon“, us  din ke baad phir ek din aap mere paas se guzray, is din mere paas tohfa mein hice aaya huwa tha, mein ne us mein se aap ke liye nikaal kar chhupa rakha tha, aap ko hice bohat pasand tha, unhon ne arz kiya : Allah ke Rasool! mujhe hice tohfay mein diya gaya hai, mein ne is mein se aap ke liye chhupa kar rakha hai, aap nay farmaya : ”lao haazir karo, agarchay mein nay subah se hi roza ki niyat kar rakhi hai “ (magar khaoga) to Aap salle Allahu Alaihi wasalam ne khaya, phir farmaya : ”Nafli roza ki misaal us aadmi ki si hai jo apne maal mein se sadqa nikaalta hai, jee chaha day diya, jee chaha nahi diya, rok liya“ .

Sunnan Nisai Hadith, 2324 Sahih
------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : Dil ki misaal us par ki terhan hai jisay hawain maidan mein ulat palat karti rehti hain۔

Sunnan Ibne Maja Hadith, 88 Sahih

Rasool-Allah (ﷺ) ki ummat mein inmein se kaunsa gunah hai jisko phailane ki naseehat Shaitan ne apne saathiyo ko di?



❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ki ummat mein inmein se kaunsa gunah hai jisko phailane ki naseehat Shaitan ne apne saathiyo ko di?

A. Bidaah karna 
B. Hasad karna
C. Matam karna  
D. Zina karna
E. Deen mein Finta daalna
F. Sharab peena
G. Juao khelna 
H. Jhoot bolna

I. Sahi jawab ka intezar hai

**********************


Sahi Jawab - CE✅

Reference📚:
--------------
Abdullah bin Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam ne jab makka fateh kiya to iblis bahut zor zor se rone laga uske chele apne lashkaro ke saath uske charo aur jama ho gaye , Shaitan ne us waqt kaha ki ab tum is baat se na ummed ho jao ki hum is din ke baad ummat e Muhammed Sal-Allahu alaihi Wasallam ko shirk par dekhenge lekin unhe unke deen mein fitne mein daal do aur unmein Noha (matam) karna aam kar do
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha, 1078

wo kaun hai jis ke saath shaitan daudta hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaun hai jis ke saath shaitan daudta hai

A: Bidah karne wala
B: Matam karne wala
C: Deen mein finta dalne wala
D: Jamaat se alag hone wala
E: Jhoot bolne wala
F: logo se magne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar



*************************


Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
----------
Al-Ashjal RadiAllahu Anhu kehte hai unhone Nabi Akram Sallalahu Alaihi wasallam ko mimbar par logon ko khutba dete dekha, Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya mere baad fitnah o fasaad hoga, to tum jisay dekho ke woh jamaat se allag ho gaya hai ya ummat Mohammadiya Sallalahu Alaihi wasallam mein iftiraq o ikhtilaaf daalna chahta hai, to khuwa woh koi bhi ho usay qatal kar do, is liye ke Allah Subhanahu taala ka haath jamaat par hai aur jo jamaat se allag huwa is ke sath shaitan daudta hai.
----------
It was narrated that 'Arfajah bin Shuraih Al-Ashja'I said: I saw the Prophet [SAW] on the Minbar addressing the people. He said: 'After me there will be many calamities and much evil behavior. Whoever you see splitting away from the Jama'ah or trying to create division among the Ummah of Muhammad [SAW], then kill him, for the Hand of Allah is with the Jama'ah, and the Shaitan is with the one who splits away from the Ummah, running with him.'
----------
Sahih Hadees
Sunnan e Nisai Hadees # 4025

wo kaunsa amal hai joh insan sattar shaitano ki rukawat durr karne ke baad karta hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa amal hai joh insan sattar shaitano ki rukawat durr karne ke baad karta hain?

A: Fajar ki namaz ke liye utna 
B: Sadqa karne wala 
C: jo din bhar mein 12 rakate sunnat ada karta hai
D: jo kisi zaroorat mand ki madad karta hai
E: jo Masjid tamir karne mein madad karta hai
F: jo raat ko bistar per Ayat Al kursi padh kar sota hai
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


******************************


Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
---------
Ibn Bureda RadiAllahu Anhu apne waalid se bayan karte hain ke aadmi is waqt tak sadqa nahi karta jab tak sattar Shaitano ki rukawat durr na kardey.
----------
عَنِ ابْنِ بُرَيْدَةَ عَنْ أَبِيهِ مَرْفُوْعًا: مَا يُخْرِجُ رَجُلٌ صَدَقَتهُ حَتَّى يَفُكَّ بِهاَ لَحْيَيْ سَبْعِينَ شَيْطَانًا 
----------
ابن بریدہ اپنے والد سے مرفوعا بیان کرتے ہیں کہ آدمی اس وقت تک  صدقہ نہیں کرتاجب تک ستر شیطانوں  کی رکاوٹ دور نہ کردے۔
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1855

Kaunse shaqs ke liye Allah Subahanhu mohtaji ka darwaaza khol deta hai?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye Allah Subahanhu mohtaji ka darwaaza khol deta hai?

A: Jhooth bolne wala shaqs
B: Haram aur Halal mein farq nahi karne wala shaqs
C: logo se sawal karne wala shaqs 
D: Deen mein fitna dalne wala
E: Janbuch kar galti karne wala shaqs
F: Ilm hone par bhi amal nahi karne wala shaqs
G: Bukhl karne wala shaqs
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***************************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ne farmaya jo insaan khud par sawal ka darwaza kholta hai Allah Subahnahu taala is par mohataji ka darwaza khol deta hain iss se behtar hai ke aadmi rassi le kar pahadoh mein chala jaye aur apni kamar par lakdiya ghatara laad kar laaye (aur usse baich kar) khana khaye bajaye is ke ke woh logon se sawal karta phire, usse diya jaye ya nah diya jaye.
-------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو انسان خود پر سوال کا دروازہ کھولتا ہے اللہ تعالیٰ اس پر محتاجی کا دروازہ کھول دیتاہے۔ اس سے بہتر ہے کہ آدمی رسی لے کر پہاڑوں میں چلا جائے اور اپنی کمر پر لکڑیوں کا گٹھڑا لاد کر لائے (اور اسے بیچ کر) کھانا کھائے۔بجائے اس کے کہ وہ لوگوں سے سوال کرتا پھرے، اسے دیا جائے یا نہ دیا جائے
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1871

Ek martaba Banu Tamim ka ek shaqs Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ke pass aaya aur farmaya mein bahut maal daar ho mein apna maal kaise karch karu ya kya karu


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Ek martaba Banu Tamim ka ek shaqs Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ke pass aaya aur farmaya mein bahut maal daar ho mein apna maal kaise karch karu ya kya karu

Sawal: Nabi Sallahu Alahi wasallam ne uss sahqs ko kaun kaun si naseehate di?

A: Zakat adaa karne
B: Rishtedaro ke saath Sila rehmi karna
C: Padosi ka haq adda kare
D: Raste se takleef dai cheez hataoo 
E: Miskeen ka haq adda kare
F: Musafiron ka haq adda kare
G: Fuzool karch se bache
H: Logo ko maaf karo

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************************


Sahi Jawab - ABCEFG✅

Reference📚:
------------
Syedna Anas Bin Maalik RadiAllahu Anhu kehte hain Banu Tamim ka ek aadmi, Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ke paas aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi wasallam! mein kaafi maal daar hon aur mera khandan bhi bada hai, bache bhi hain aur mere haan Mehmaan bhi bakasrat aate hain, Ab Aap mujhe batayen ke mein maal kaise kharch karoon ya kya karoon? Aap Sallahu Alahi wasallam ne farmaya tum apne maal ki Zakat ada kiya karo, yeh pakeeza Amal tujhe paak kar dega, isi terhan apne rishte daaron ke saath Sila rehmi kiya kar aur tujhay sayel, padosi aur miskeen ke haq ki bhi Maarfat honi chahiye. is ney kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi wasallam! un baton ko mere liye zara ikhtisaar ke sath wazeh karo. Aap Sallahu Alahi wasallam ne farmaya tum apne rishte daaron, miskeeno aur musafiron ko un ke haqooq ada kar aur Fuzool kharchi se bach yeh sun kar is ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi wasallam! yeh mere liye kaafi hai ke jab mein Aap ke qasid ko zakat ada kardoon to kya mein Allah aur Rasool ke haan apni zimmedaari se ohda bada ho jaooga? Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ne farmaya Jee haan, jab tu mere qasid ko zakat ada karde ga toh to is se barri hojaye ga aur tujhe is ka ajar mil jayega, haan jo is ko (najayaz andaaz mein) tabdeel kar dega to is ka gunah isi par hi hoga 
--------
سیدنا انس بن مالک رضی اللہ عنہ  کہتے ہیں: بنو تمیم کا ایک آدمی، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے پاس آیا اور کہا: اے اللہ کے رسول! میں کافی مال دار ہوں اور میرا خاندان بھی بڑا ہے، بچے بھی ہیں اور میرے ہاں مہمان بھی بکثرت آتے ہیں، اب آپ مجھے بتائیں کہ میں مال کیسے خرچ کروں یا کیا کروں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  تم اپنے مال کی زکوۃ ادا کیا کر، یہ پاکیزہ عمل تجھے پاک کر دے گا، اسی طرح اپنے رشتہ داروں کے ساتھ صلہ رحمی کیا کر اور تجھے سائل، پڑوسی اور مسکین کے حق کی بھی معرفت ہونی چاہیے۔  اس نے کہا: اے اللہ کے رسول! ان باتوں کو میرے لیے ذرا اختصار کے ساتھ واضح کرو۔ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  تم اپنے رشتہ داروں، مسکینوں اور مسافروں کو ان کے حقوق ادا کر اور فضول خرچی سے بچ۔  یہ سن کر اس نے کہا: اے اللہ کے رسول! یہ میرے لیے کافی ہے کہ جب میں آپ کے قاصد کو زکوۃ ادا کردوں تو کیا میں اللہ اور رسول کے ہاں اپنی ذمہ داری سے عہدہ برآ ہو جاؤں گا؟رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  جی ہاں، جب تو میرے قاصد کو زکوۃ ادا کردے گا تو تو اس سے بری ہو جائے گا اور تجھے اس کا اجر مل جا ئے گا، ہاں جو اس کو (ناجائز انداز میں) تبدیل کر دے گا تو اس کا گناہ اسی پر ہی ہو گا۔   
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3363.

yh misal kis shaqs ke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmayi ke wo apna jhubba ko khula karne ki poori koshish karta hai magar wo wasee nahi hota.



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kis shaqs ke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmayi ke wo apna jhubba ko khula karne ki poori koshish karta hai magar wo wasee nahi hota.

A: Maal daar shaqs jab sadqa karne ka iradah karta hain
B: Tangasti ke bawajood jo shaqs sadqa karne ka iradah karta hain
C: Sehatmand shaqs jab sadqa karne ka iradah karta hain
D: Zaniya shaqs jab sadqa karne ka iradah karta hain
E: Bukhal karne wala shaqs jab sadqa karne ka iradah karta hain
F: Beemar shaqs jab sadqa karne ka iradah karta hain
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar


*********************************


Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
-----
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Bukhal karne walay aur sadqa karne walay ki misaal un do aadmiyo ki se hai jin par lohay ke do jhoote hon aur un ke haath fansali ki haddion taq bandh diye gaye hon, jab sadqa karne wala sadqa karne ka iradah karta hai to is ka jhubba is hadd taq khil kar wasee ho jata hai ke is ke pav ke nishaan mitanay lag jata hai, lekin jab Bukheel aadmi sadqa karne ka iradah karta hai to is ke jubba ka ek ek halqa sakth kar is ke oopar buri terhan tang ho jata hai phir mein ne Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko yeh farmatay huwe suna phir wo apne jhubba ko khula karne ki poori koshish karta hai magar woh wasee nahi hota
-----
 سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  بخل کرنے والے اور صدقہ کرنے والے کی مثال ان دو آدمیوں کی سی ہے جن پر لوہے کے دو جُبّے ہوں اور ان کے ہاتھ ہنسلی کی ہڈیوں تک باندھ دیئے گئے ہوں،  جب صدقہ کرنے والا صدقہ کرنے کا ارادہ کرتا ہے تو اس کا جبہ اس حد تک کھل کر وسیع ہو جاتا ہے کہ اس کے پاؤں کے نشان مٹانے لگ جاتا ہے، لیکن جب بخیل آدمی صدقہ کرنے کا ارادہ کرتا ہے تو اس کے جبہ کا ایک ایک حلقہ سکڑ کر اس کے اوپر بری طرح تنگ ہو جاتا ہے۔  پھر میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا:  پھر وہ اپنے جبہ کو کھلا کرنے کی پوری کوشش کرتا ہے مگر وہ وسیع نہیں ہوتا۔  
------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3359

Ummat ka fitna inmein se kisse kaha gaya hain


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ummat ka fitna inmein se kisse kaha gaya hain

A: Maal
B: Aulad
C: Namaz mein susti 
D: Fursat
E: Aurat ka Fitnah
F: Lalach
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

*************************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
---------------
Kaab Bin Ayaas RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehte hai n ke mein ne Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam se suna farma rahe thy yaqeenan har ummat ka ek fitnah hai aur meri Ummat ka fitnah MAAL hain
------------
 کعب بن عیاض رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سےسنا فرما رہے تھے:یقیناً ہر امت کا ایک فتنہ ہے اور میری امت کا فتنہ مال ہے
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2553

Yh misal kis ke liye di gayi hai ke jaise tum mein se koi ghodi, ootni yh gaaye ke bache ki parwarish karta hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Yh misal kis ke liye di gayi hai ke jaise tum mein se koi ghodi, ootni yh gaaye ke bache ki parwarish karta hain?

A: bewa aur miskeen ki parwarish karne wala
B: kisi bhuke ko khana khilane wala
C: Mazlum ki madat karne wala
D: kisi pyase ko pani pilane wala
E: kisi musafir ko rasta dikhane wala
F: namazo ki hifazat karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************
Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
-------
Rasool- Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala sadqat ko qubool karta hai aur un ko dayen haath mein wusool karta hai, phir woh un ko yun badahta hai, jaisay tum mein se koi ghodi, oontni ya gaaye ke bache ki parwarish karta hai, yahan taq ke ek luqmah uhad pahad ke barabar ho jata hai. Waqiya ne apni riwayet mein kaha Aap  Sal-Allahu alaihi wasallam ke is farmaan ki tasdeeq quran Majeed ki un ayaat se hoti hai : Allah Subahanhu apne bandon ki tauba qubool karta hai aur un ke sadqat ko pakar laita hai. (Surah Tauba 104) aur Allah Subhanahu sood ko khatam karna aur sadqat ko badhata hain (Surah Baqra 276)
---------
(Jamia Tirmaizi Hadith # 662 and Musnad Ahmed Hadees # 3356)

Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam dajjal ke fitne ke ilawa bhi ek fitnah apni umaat par andesha rakhte thy wo finta kaunsa hai



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam dajjal ke fitne ke ilawa bhi ek fitnah apni umaat par andesha rakhte thy wo finta kaunsa hai 

A: Nashukri
B: hidayat ke badle gumrahee par chale wale
C: Sood khor
D: Behayai 
E: logo par Zulm karne wale hukmaraan
F: Gumrah karne wale Aleem
G: Gumrah karne wale hukmaraan
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar


******************************


Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
------------
Syedna Abuzer RadiAllahu Anhu se riwayat hai wh kehte hain mein ek din Nabi Kareem Sallahu Alahi wasallam ke pehlu bah pehlu Aap Sallahu Alahi wasallam ke ghar ki taraf ja raha tha ke mein ne Aap ko yeh farmatay huwe suna :Dajjal ke ilawa bhi ek fitnah hai, jis ka mujhe apni ummat par andesha hai jab mein is baat se dara ke Aap Sallahu Alahi wasallam toh apne ghar mein daakhil honay lagey hain to mein ne kaha : Allah ke Rasool Sallahu Alahi wasallam! Aap apni ummat par Dajjal se bhi ziyada kis baat ka andesha rakhtay hain? Aap Sallahu Alahi wasallam ne farmaya: gumraah karne walay hukmaraanon ka.
-------------
سیدنا ابوذر رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں:میں ایک دن نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کے پہلو بہ پہلو آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے گھر کی طرف جارہا تھا کہ میں نے آپ کو یہ فرماتے ہوئے سنا:   دجال کے علاوہ بھی ایک فتنہ ہے، جس کا مجھے اپنی امت پر اندیشہ ہے۔  جب میں اس بات سے ڈرا کہ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  تو اپنے گھر میں  داخل ہونے لگے ہیں تو میں نے کہا: اللہ کے رسول! آپ اپنی امت پر دجال سے بھی زیادہ کس بات کا اندیشہ رکھتے ہیں؟ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  گمراہ کرنے والے حکمرانوں کا۔
--------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 12073

Qayamat se pehlay inmein se kaun kaunsi cheeze hongi yh kaunsi cheeze aam hojayegi?



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Sawal: Qayamat se pehlay inmein se kaun kaunsi cheeze hongi yh kaunsi cheeze aam hojayegi?

A: Cheharon ka maskh
B: Zameen mein dhasnaa 
C: Patharon ki barish
D: Beemariya
E: Maal ki Tangi
F: Sood
G: Zina
H: Sharaab

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************

Sahi Jawab - ABCFGH✅

Reference📚:
---------
Abdullah bin Masood RadiAllahu anhu se riwaya hai ke Nabi Kareem Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat se pehlay cheharon ka maskh hona (Tabdili karna), zameen mein dhansnaa aur patharon ki barish hogi.
---------
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:قیامت سے پہلے چہروں کا مسخ ہونا،زمین میں دھنسنا اور پتھروں کی بارش ہوگی۔
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2588
-----------
Ibn Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat se pehlay Sood, Zina aur Sharaab aam hojayegi
---------
ابن مسعود رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت سے پہلے سود،زنااور شراب عام ہو جائے گی
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2589

Allah ke tamam mukammal kalimaat ke saath is ke ghusse, is ki saza, is ke bundon ke shar aur shyateen ke waswason aur un ki aamad se (Allah ki) panah mein aata hon


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Allah ke tamam mukammal kalimaat ke saath is ke ghusse, is ki saza, is ke bundon ke shar aur shyateen ke waswason aur un ki aamad se (Allah ki) panah mein aata hon

Sawal: Yh dua Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ne kab padne ko kaha

A: Museebat ya pareshani ke waqt 
B: Dushman se panah ke waqt 
C: Namaz ke baad 
D: Zehreele janwar se panah mein ane ke waqt
E: Khauf ke Waqt 
F: Bistar per sote waqt
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***************************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
-----------
Ek aadmi Nabi Kareem Sallahu Alahi WaSallam ke paas aaya aur neend mein buray (daraone) khawab dekhnay ki shikayat ki. Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya jab tum apne bistar par jao to kaho

أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّةِ مِنْ غَضَبِه وَعِقَابِه، وَمِنْ شَرِّ عِبَادِهِ، وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِين وَأَنْ يَحْضُرُون

Mein Allah ke tamam mukammal kalmaat ke saath is ke ghusse, is ki saza, is ke bundon ke shar aur shyateen ke waswason aur un ki aamad se (Allah ki) panah mein aata hon.
------------
عن محمد بن المنكدر قَالَ: جَاءَ رَجُلٌ إِلَى النَّبِي صلی اللہ علیہ وسلم فَشَكا إِلَيْهِ أَهَاويل يرَاهَا فِي المَنَام، فَقَال: إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشكَ فَقُلْ:أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللهِ التَّامَّةِ مِنْ غَضَبِه وَعِقَابِه، وَمِنْ شَرِّ عِبَادِهِ، وَمِنْ هَمَزَاتِ الشَّيَاطِين وَأَنْ يَحْضُرُون. 
-----------
محمد بن منکدر سے مروی ہے کہتے ہیں کہ ایک آدمی نبی  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور نیند میں برے( ڈراؤنے) خواب دیکھنے کی شکایت کی۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم اپنے بستر پر جاؤ تو کہو: میں اللہ کے تمام مکمل کلمات کے ساتھ اس کے غصے، اس کی سزا، اس کے بندوں کے شر اور شیاطین کےوسوسوں اور ان کی آمد سے(اللہ کی) پناہ میں آتا ہوں
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2742

wo kaunsa farz amal hai jo ek baar adda hone ke baad dubara kiya jaye toh nawafil mein shumar hojata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa farz amal hai jo ek baar adda hone ke baad dubara kiya jaye toh nawafil mein shumar hojata hain?

A: Roza 
B: Nikah 
C: Hajj
D: Zakat
F: Namaz
G: Gusul karna 
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
---------
Sayed Ikra bin Habis RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam se daryaft kiya kya Hajj har saal farz hai? Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya nahi, balke yeh Ek baar farz hai, Albata jo shakhs is ke baad mazeed Hajj karega to woh Nafil hoga aur agar mein tairay sawal ke jawab mein haan keh deta to Hajj har saal farz ho jata aur agar yeh har saal farz kar diya gaya to tum nah yeh hukum qubool karoge aur nah is par amal karoge
----------
 ۔ (دوسری سند) سیدنا اقرع بن حابس رضی اللہ عنہ  نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  سے دریافت کیا: آیا حج ہر سال فرض ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  نہیں، بلکہ یہ ایک بار فرض ہے، البتہ جو شخص اس کے بعد مزید حج کرے گا تو وہ نفل ہو گا اور اگر میں تیرے سوال کے جواب میں ہاں کہہ دیتا تو حج ہر سال فرض ہو جاتا اور اگر یہ ہر سال فرض کر دیا گیا تو تم نہ یہ حکم قبول کرو گے اور نہ اس پر عمل کرو گے۔ 
----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 4066

Inmein se wo kaunsa Zulm hai joh Allah Subhanahu bakhsh dega

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se wo kaunsa Zulm hai joh Allah Subhanahu bakhsh dega

A: Jhoot
B: Qatl
C: Geebat
D: Zina
E: Fasaad 
F: Nikah
G: Gussa
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - H✅

Jo Zulm hai jo bande aur uske RABB ke darmiyan hain

📚Reference: 
------
Anas Radi Allahu Anhu se marfua marwi hai ke zulm teen qisam ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu taala nahi chhorey ga, aur Ek zulm ko bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega woh zulm jo bakhsha nahi jaye ga woh Shirk hai, jisay Allah Subahanhu taala maaf nahi karega. aur woh zulm jisay Allah Subahanhu taala bakhash dega to woh yeh zulm hai jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hai, aur woh zulm jisay chorra nahi jayega woh bandon ke zulm hain, Allah Subahanhu taala Ek dosray ko badla lekar dega.
-----
انس  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ ظلم تین قسم كے ہیں: ایك ظلم كو اللہ تعالیٰ نہیں چھوڑے گا، اور ایك ظلم كو بخش دے گا اور تیسرا ظلم بخشا نہیں جائے گا۔ وہ ظلم جو بخشا نہیں جائے گا وہ شرك ہے، جسے اللہ تعالیٰ معاف نہیں كرے گا اور وہ ظلم جسے اللہ تعالیٰ بخش دے گا تو وہ یہ ظلم ہے جو بندے اور اس كے رب كے درمیان ہے اور وہ ظلم جسے چھوڑا نہیں جائے گا وہ بندوں كے ظلم ہیں ، اللہ تعالیٰ ایك دوسرے كو بدلہ لے كر دے گا
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1056

Mujhe to sirf Allah Subhanahu hi ki taraf se taufiq milti hain.




Bismillahirahmanirrahim

وَمَا تَوْفِيقِي إِلَّا بِاللَّهِ
-----
Mujhe to sirf Allah Subhanahu hi ki taraf se taufiq milti hain.
-----
My success is only by Allah
----
Surah Hood:  (11:88)

Aur Mashriq o Magrib (Sab) ALLAH he ki hain.




Bismillahirrahmannirrahim

وَلِلَّهِ الْمَشْرِقُ وَالْمَغْرِبُ
-----
Aur Mashriq o Magrib (Sab) ALLAH he ki hain.
-----
اور مشرق و مغرب (سب) اللہ ہی کا ہے
-----
और मशरीक औ मगरीब सब अललह ही की है। 
-----
And to ALLAH belongs The East And The West
------
Surah Al Baqarah: (02:15)

wo kaun si khoobiyan hain jo Munafiq mein jama nahi ho sakti

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaun si khoobiyan hain jo Munafiq mein jama nahi ho sakti

A: Insaf karna
B: Umdah seerat
C: Allah ke liye maaf karna
D: Gussa na karna
E: Bidat se tauba karna
F: Deen ki samajh
G: Quran aur sunnat ka ilm hasil karna 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - BF✅

Reference📚:

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya do khoobiyan Munafiq mein jama nahi ho sakteen Umdah seerat aur deen ki samajh boojh.
---------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: دو خوبیاں منافق میں جمع  نہیں ہو سکتیں : عمدہ سیرت اور دین کی سمجھ بوجھ
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 111

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...