Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Saturday, 1 February 2020
Kaunse shaqs ke liye Allah Subahanhu mohtaji ka darwaaza khol deta hai?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shaqs ke liye Allah Subahanhu mohtaji ka darwaaza khol deta hai?
A: Jhooth bolne wala shaqs
B: Haram aur Halal mein farq nahi karne wala shaqs
C: logo se sawal karne wala shaqs
D: Deen mein fitna dalne wala
E: Janbuch kar galti karne wala shaqs
F: Ilm hone par bhi amal nahi karne wala shaqs
G: Bukhl karne wala shaqs
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
***************************
Sahi Jawab - C✅
Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ne farmaya jo insaan khud par sawal ka darwaza kholta hai Allah Subahnahu taala is par mohataji ka darwaza khol deta hain iss se behtar hai ke aadmi rassi le kar pahadoh mein chala jaye aur apni kamar par lakdiya ghatara laad kar laaye (aur usse baich kar) khana khaye bajaye is ke ke woh logon se sawal karta phire, usse diya jaye ya nah diya jaye.
-------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو انسان خود پر سوال کا دروازہ کھولتا ہے اللہ تعالیٰ اس پر محتاجی کا دروازہ کھول دیتاہے۔ اس سے بہتر ہے کہ آدمی رسی لے کر پہاڑوں میں چلا جائے اور اپنی کمر پر لکڑیوں کا گٹھڑا لاد کر لائے (اور اسے بیچ کر) کھانا کھائے۔بجائے اس کے کہ وہ لوگوں سے سوال کرتا پھرے، اسے دیا جائے یا نہ دیا جائے
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1871
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Wo kaun hain jinhe aakhirat mein Allah Subhanahu awaz denge to wo kahenge Labbaik wa Sa'daik A: Hajj k...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Tauheed ka elaan karne wali surah kaunsi hai A: Surah Ikhlas B: Surah An Nas C: Surah Fatiha D: Surah Kafiro...
-
Bismillahirrahmanirrahim اَللّٰهُمَّ أَن تَجعَلَ القُرآنَ جِلَاءَ حُزنِي ------------ ✦Allahumma-An-TajAl-al- Qur'an jilaa-a Huzni ---...
-
Bismillahirrahmannirrahim Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht tak...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai❗ Sawal: Wo kaun log hai jinse Allah bughz rakhta hai A: Padosi ki biwi ke saath zina karne w...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Iss ummat ke aksar Munafiq Qaari honge ---- Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ke aksar ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Namaz se salam phertey to ye dua padhte ---- Rasool-Allah Sallall...
-
Bismillahirrahmannirrahim Jo is dua ko subah sham padhega toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge ----- Rasool-Allah...
-
❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai Sawal: Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Do sawal hai! Badar ki ladayi mein ek sahaba teer lagne se Shaheed hogaye thy toh unki walida bahut pareshan th...
No comments:
Post a Comment