Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 31 August 2021

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 789❗

Do Sawal Hai

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

Sawal 1 : Wo Sahabi kaun thy

A : Saad Bin Muadh Radi Allahu Anhu
B : Khuzaima Radi Allahu Anhu
C : Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu
D : Talha Radi Allahu Anhu
E : Zaid Bin Harith Radi Allahu Anhu
F : Zubair Radi Allahu Anhu
G : In mein se koi nahi

Sawal 2 : Wo kaunse Surah ki Aayat thi

A : Surah Hashar
B : Surah Inshiqaaq
C : Surah Baqarah
D : Surah Mutafifeen
E : Surah  Bayyinah
F : Surah Thagabun
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab : C/E ✅

Hadith: Allah Subhanahu ke hukm par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu ke samne Surah Bayyina ki tilawat farmayi

Reference : 📚
--------
 Rasool Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allahu se farmaya : Allah Subhanahu ne mujhe hukm diya hai ke mein tumhare samney (Quraan Majeed ki ye Surah)
﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ 
(البینہ 1 :98 )   
Tilawat karu Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allah Anhu ne kaha : Aur Allah Subhanahu ne mera naam liya hain? Aap ne farmaya : Haan. to wo (Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Anhu) rone lage.
---------
 رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  ن حضرت ابی ابن کعب رضی اللہ تعالیٰ عنہ  سے فرمایا :    اللہ تعالیٰ نے مجھے حکم دیا ہے کہ میں تمھارے سامنے ( قرآن مجید کی یہ سورت )  :  ﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ ( البینہ 1 : 98 )  تلاوت کروں ۔  ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے )  کہا : اور اللہ تعالیٰ نے میرا نام لیا ہے؟آپ نے فرمایا :    ہاں ۔    تو وہ ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ   )  رونے لگے ۔ 
---------
Anas bin Malik reported that Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said to Ubayy bin Kaab RadiAllahu Anhu: I have been commanded to recite to you the Surah (Al- Bayyinah) which opens with these words (Lam Yakunil-ladhiyna Kafaruu) He said: Has Allah mentioned to you my name? He said: Yes; thereupon he shed tears of joy. 
----
Sahi Muslim# 6343

Agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi shakhs ki koi ada pasandeeda lagti to kya farmate

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 788❗

Sawal: Agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi shakhs ki koi ada pasandeeda lagti to kya farmate

A: Logon mein uski tareef karte
B: Sadqa dene ka hukum dete
C: Nazar ki dua padhte
D: Namaz ka hukum dete
E: Rehmat ki dua karte
F: Sajda karne ka hukum dete
G: Wazu karne ka hukum dete
H: Inmein se koi nahi
i: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab D✅

Hadith: Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko kisi ki addat pasand aati to Namaz padne ka hukum dete

Reference : 📚
---------
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab kisi aadmi ki koi adaa pasand aati to isse Namaz ka hukm dete
-----------
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم كو جب كسی آدمی کی کوئی ادا پسند آتی تو اسے نماز كا حكم دیتے
---------
Anas RadiAllahu Nahu narrated that when Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam like something about someone he use to order him to pray
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#657

Jis shakhs ki niyyat qarz ki adayegi ki ho to Allah Subhanahu uske saat kaisa muamla karta hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 787❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Jis shakhs ki niyyat qarz ki adayegi ki ho to Allah Subhanahu uske saat kaisa muamla karta hain?

A: Allah khud uski madad karte hain
B: Uska qarz Allah waqt par adaa kara dete hain
C: Allah uski takleefo ko assan kar deta hain
D: Allah Qarz dene wale ka dil narm kar deta hain 
E: Jab tak uska qarza ada nahi hota uske liye roz ek neiki likhi jaati hain
F: Allah uske rizq ka sabab bana deta hai
G: Allah Fariston ke zariye se uski madad karte hain
H: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - AF✅

Hadith: Jis per qarza ho aur wo usse lautane ki niyaat rakhta hai to Allah Shubahanhu khud uski madad karte hain aur...

Reference📚:
----
Aisha RadiAllahu Anhuma kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jis shakhs par Qarz ho aur wo ada karne ki niyat rakhta ho to Allah Subhanahu ki taraf se is ke saath madad hoti hain, aur Allah Subhanahu is ke liye rizaq ka sabab bana deta hain.
----
Aisha RadiAllahu Anhuma said Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever has a debt and intends to repay it, If so, he will be helped by Allah, and Allah will make provision sustenance for him.
----
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص پر قرض ہو اور وہ ادا كرنے كی نیت ركھتا ہو تو اللہ كی طرف سےاس كے ساتھ مدد ہوتی ہے ، اور اللہ تعالیٰ اس كے لئے رزق كا سبب بنا دیتا ہے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1695-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...