Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 31 August 2021

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 789❗

Do Sawal Hai

Allah Subhanahu ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek surah ki aayat ko ek sahabi ko sunane ka hukm kiye

Sawal 1 : Wo Sahabi kaun thy

A : Saad Bin Muadh Radi Allahu Anhu
B : Khuzaima Radi Allahu Anhu
C : Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu
D : Talha Radi Allahu Anhu
E : Zaid Bin Harith Radi Allahu Anhu
F : Zubair Radi Allahu Anhu
G : In mein se koi nahi

Sawal 2 : Wo kaunse Surah ki Aayat thi

A : Surah Hashar
B : Surah Inshiqaaq
C : Surah Baqarah
D : Surah Mutafifeen
E : Surah  Bayyinah
F : Surah Thagabun
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab : C/E ✅

Hadith: Allah Subhanahu ke hukm par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Ubayy bin Kaab Radi Allahu Anhu ke samne Surah Bayyina ki tilawat farmayi

Reference : 📚
--------
 Rasool Allah Sallallahu Alaihi WaSallam ne Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allahu se farmaya : Allah Subhanahu ne mujhe hukm diya hai ke mein tumhare samney (Quraan Majeed ki ye Surah)
﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ 
(البینہ 1 :98 )   
Tilawat karu Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Allah Anhu ne kaha : Aur Allah Subhanahu ne mera naam liya hain? Aap ne farmaya : Haan. to wo (Hazrat Ubayy bin Kaab Radi Anhu) rone lage.
---------
 رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  ن حضرت ابی ابن کعب رضی اللہ تعالیٰ عنہ  سے فرمایا :    اللہ تعالیٰ نے مجھے حکم دیا ہے کہ میں تمھارے سامنے ( قرآن مجید کی یہ سورت )  :  ﴿لَمْ يَكُنِ الَّذِينَ كَفَرُوا﴾ ( البینہ 1 : 98 )  تلاوت کروں ۔  ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے )  کہا : اور اللہ تعالیٰ نے میرا نام لیا ہے؟آپ نے فرمایا :    ہاں ۔    تو وہ ( حضرت ابی رضی اللہ تعالیٰ عنہ   )  رونے لگے ۔ 
---------
Anas bin Malik reported that Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said to Ubayy bin Kaab RadiAllahu Anhu: I have been commanded to recite to you the Surah (Al- Bayyinah) which opens with these words (Lam Yakunil-ladhiyna Kafaruu) He said: Has Allah mentioned to you my name? He said: Yes; thereupon he shed tears of joy. 
----
Sahi Muslim# 6343

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...