❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ke irshad ke mutabiq sab se badah pehalwaan kaun hai?
A: joh logo ko pachaar de
B: joh logo ko takleef na pahoochaye
C: joh apne gusse par kabu paa le
D: joh fajar ki namaz ke liye neend se bedar hota hain
E: joh Isha ki namaz awal waqt mein adda karta hain
F: logo ko sab se zaida nafa dena wala
G: Aib chupane wala
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar jawab H hai toh sahi jawab likhiye
********
Sahi Jawab - C✅
Reference📚:
-------
Ibn Husba Abu Husba Ek aise sahabi se bayan karte hain joh Rasool-Allah Sallalahu Alahi wa Sallam ke khitaab ke waqt mojood tha, Aap Sallalahu Alahi wa Sallam ne farmaya kya tum jantay ho ke badah pehalwaan kaun hai? Unhon ne kaha pacharhne wala, Aap Sallalahu Alahi wa Sallam ne farmaya saaray ke saaray pehalwaan, badhe se badhe pehawaan woh aadmi hai jisay gussa aata hai, phir is ka gussa sakht ho jata hai, chehra surkh honay lagta hai aur rongte kharray honay lagtay hain, lekin woh apne ghusse par qaboo pa laita hai, aur beshak Aag ko pani ke zariye hi bujhaaya jata hain.
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9174
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain ---- Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Alhu...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Kaunse se bande ko Allah Subahanhu Muazziz bana deta hai A: jo apne bhai ke liye bhi wahi pasand karta hai j...
-
Bismillahirahmanirrahim اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد Allahumma Salli Ala Muhammed ----- Eh Allah Rahmat nazil ...
-
❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ Jawab ek se ziyada hai Sawal: Iss Ummat mein wo kaunsi beemari ka zikr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 792❗ Do sawal hain Sawal1: Salsabil kya hain ? A: Jannat ka ek ghar (Home) B: jannat ki hoor ( hoor) C: Jannat ki e...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Kaunse se bande ko Allah Subahanhu Muazziz bana deta hai A: jo apne bhai ke liye bhi wahi pasand karta hai j...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Teen sawal hain jawan 1A, 2B,3C aisa dijiye! Sawal1: Yh misaal ki shaqs ke liye hai jo oont ki qurbani karta h...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alahi WaSallam ke irshad ke mutabiq sab se badah pehalwaan kaun hai? A: joh logo...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 943❗ ❗Do Sawal hain! Sawal1️⃣:Ek martaba Khaibar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apne sahaba ke saath ...
No comments:
Post a Comment