Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 1 September 2021

Salsabil kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 792❗

Do sawal hain

Sawal1: Salsabil kya hain ?

A: Jannat ka ek ghar (Home)
B: jannat ki hoor ( hoor)
C: Jannat ki ek machli (fish)
D: Jannat mein ek nahar
E: Jannat ka ek chasma
F: Jannat ka baagh
G: inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hai

Sawal2: Kaunse sahabi ko ye dua di gayi thi ke unhe salsabil se pilaya jaye

A: Abu Bakr Radi Allahu Anhu 
B: Usman Radi Allahu Anhu 
C: Abu Salma Radi Allahu Anhu 
D: Ali Radi Allahu Anhu 
E: Abu Jaffar Radi Allahu Anhu 
F: Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu 
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahi jawab - EG✅
Salsabil Jannat ke ek chasme ka naam hain
Reference📚:
-----
Al Quran : Aur waha ( jannat mein) unko aisee sharab pilayee jayegi jismein sonth (adrak) ki aamazish hogi, wo waha ek chashma (fawwara) hai jiska naam Salsabil hain
Surah Al-insan (76) , Verse 17-18
----
Aisha Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apni azwaj e mutaharat (Biwiyon) se farmaya karte they main apne baad tumhare bare mein bahut fikr mand hu Sabr karne wale aur siddiqeen he un mushkil mamlat mein tumara saath denge Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya yani Sadqa karne wale phir Aisha Radi Allahu Anha ne Abu Salma bin Abur Rahman Radi Allahu Anhu se farmaya Allah subhanahu tumare Walid ko (Abdur Rahman bin Awf Radi Allahu Anhu ) ko Jannat ke chashme salsabil se peelaye aur ibn Awf Radi Allahu Anhu ne Ummul Momeenin ke liye ek baag waqf kiya tha jo Chalis (40)  hazar (dinar) mein becha gaya tha
----
حضرت عائشہ   ؓ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم اپنی ازواج مطہرات سے فرمایا کرتے تھے :’’ میں اپنے بعد تمہارے بارے میں بہت فکر مند ہوں ، صبر کرنے والے اور صدیقین ہی ان مشکل معاملات میں تمہارا ساتھ دیں گے ۔‘‘ عائشہ   ؓ  نے فرمایا : یعنی صدقہ کرنے والے ، پھر عائشہ   ؓ  نے ابوسلمہ بن عبد الرحمن   ؓ  سے فرمایا : اللہ تمہارے والد کو جنت کے چشمے سلسبیل سے پلائے ، اور ابن عوف   ؓ  نے امہات المومنین کے لیے ایک باغ وقف کیا تھا جو چالیس ہزار میں فروخت کیا گیا تھا 
----
Mishkat ul Masabeeh - 6130-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...