Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 8 March 2023

Ek martaba Khaibar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apne sahaba ke saath padao dala tha uss waqt ek sirkirsh shaks ne unse kuch kaha jis per Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gussa hogaye aur apne sahaba se faramya ke logon mein jake ye elaan kar do ke

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 943❗

❗Do Sawal hain!

Sawal1️⃣:Ek martaba Khaibar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam apne sahaba ke saath padao dala tha uss waqt ek sirkirsh shaks ne unse kuch kaha jis per Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam gussa hogaye aur apne sahaba se faramya ke logon mein jake ye elaan kar do ke______? 

A: kafir ke saat koi narmi nahi ki jayegi
B: jahannum ka azaab kufr karne wale par haq hain
C: loota huwa maal halal nahi
D: Jahannum ki aag momeem par haram kar di gayi hain
E: Qabar ka azaab haq hain
F: Jannat momeem ke elawa kisi par halal nahi
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih jawab ka intezaar

Sawal2️⃣: Kaunse sahabi ne Elaan kiya tha?

A: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
B: Barrah RadiAllahu Anhu
C: Abu Siufiyan RadiAllahu Anhu
D: Ibn Awf RadiAllahu Anhu
E: Umar RadiAllahu Anhu
F: Huzaifa bin Yamama RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likho)
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - FD✅

Bismillahirrahmannirrahim

Mahfhum e Hadith: Jannat momeem ke elawa kisi par halal nahi

Reference📚:
----
Al-Irbad ibn Sariyah As-Sulami RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke hum ne (Khaibar) mein Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke sath padao dala Aap ke sath Aap ke Sahaba bhi thy (Khaibar) ka wali Ek sirkashi munkar shakhs tha wo Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki taraf rukh kar ke kehne laga : Eh Mohammad! kya tumharay liye munasib hai ke tum hamare ghade zibah karo, hamare phal kaho aur hamari aurton ko maro? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam gusse mein aagaye aur kehne lage : Ibn Awf RadiAllahu Anhu apne ghodhe par sawaar ho kar logon mein Elaan kar do ke Khabardaar! Jannat momeen ke ilawa kisi ke liye halal nahi, aur namaz ke liye jama hojao log jama hogaye, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne inhen Namaz padayee phir khade ho kar farmaya kya tum mein se koi shakhs jo apne takiye par take lagaye huyee hai gumaan karta hai ke Allah Subahnahu ne is cheez ke ilawa jo Quraan mein maujood hai koi cheez haraam nahi ki? Khabardaar Allah ki Qasam mein ne kuch baton ka Hukm diya hai, kuch ki naseehat ki hai aur kuch baton se mana kiya hain. Ye Quran ki terhan hai ya is se bhi badh kar, aur Allah Azzwajal ne tumahray liye is kaam ko halal nahi kiya hain jab Ahle Kitaab apne upper wajib alada raqam (jaziya) tumhen den to tum baghair ijazat un ke gharon mein ghus jao, un ki aurton ko maarna shuru kar do un ke phal khanay lag jao.
---
Narrated Al-Irbad ibn Sariyah as-Sulami: We alighted with the Prophet (ﷺ) at Khaibar, and he had his companions with him. The chief of Khaibar was a defiant and abominable man. He came to the Prophet (ﷺ) and said: Is it proper for you, Muhammad, that you slaughter our donkeys, eat our fruit, and beat our women? The Prophet (ﷺ) became angry and said: Ibn Awf, ride your horse, and call loudly: Beware, Paradise is lawful only for a believer, and that they (the people) should gather for prayer. They gathered and the Prophet (ﷺ) led them in prayer, stood up and said: Does any of you, while reclining on his couch, imagine that Allah has prohibited only that which is to be found in this Qur'an? By Allah, I have preached, commanded and prohibited various matters as numerous as that which is found in the Qur'an, or more numerous. Allah has not permitted you to enter the houses of the people of the Book without permission, or beat their women, or eat their fruits when they give you that which is imposed on them.
-----
عرباض بن ساریہ سلمی رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ ہم نے(خیبر)میں نبی صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ پڑاؤ ڈالا۔ آپ كے ساتھ آپ كے صحابہ بھی تھے (خیبر) كا والی ایك سر كش منكر شخص تھا۔ وہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم كی طرف رخ كر كے كہنے لگا: اے محمد! كیا تمہارے لئے مناسب ہے كہ تم ہمارے گدھے ذبح كرو، ہمارے پھل كھاؤ اور ہماری عورتوں كو مارو؟ نبی صلی اللہ علیہ وسلم غصےمیں آگئے اور كہنے لگے: ابن عوف   اپنے گھوڑے پر سوار ہو كر لوگوں میں اعلان كر دو كہ: خبردار  ! جنت مومن كے علاوہ كسی كے لئے حلال نہیں ، اور نماز كے لئے جمع ہو جاؤ ۔ لوگ جمع ہو گئے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں نماز پڑھائی پھر كھڑے ہو كر فرمایا: كیا تم میں سے كوئی شخص جو اپنے تكیہ پر ٹیك لگائے ہوئے ہے گمان كرتا ہے كہ اللہ تعالیٰ نےاس  چیزکے علاوہ جوقرآن میں موجود ہےکوئی چیز حرام نہیں كی ؟ خبردار  اللہ كی قسم میں نے كچھ باتوں كا حكم دیا ہے ، كچھ باتوں كی نصیحت كی ہے اور كچھ باتوں سے منع كیا ہے۔ یہ قرآن كی طرح ہے یا اس سے بھی بڑھ كر ، اور اللہ عزوجل نے تمہارے لئے اس کام کوحلال نہیں كیا كہ جب اہلِ کتاب اپنے اوپرواجب الادا           رقم(جزیہ)تمھیں دیں تو تم بغیر اجازت ان کے گھروں میں گھس جاؤ،ان کی عورتوں کو مارنا شروع کردواور ان کے پھل کھانے لگ جاؤ۔
----
Al-Silsila-Tus-Sahiha#1623

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...