Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Monday, 9 November 2020
Insan jab tak Astagfaar karta rehta hai Allah Subhanahu ke azaab se Aman mein rehta hain
Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo
----
Chugalkhor kabhi Jannat mein dhakil nahi honge
Alhmudulillah kehne ki fazilat
Jab koi do (2) log mil kar kaam kare aur dono mein se koi ek saathi khayanat karta hain toh Allah Subhanahu ki madad hatt jati hain.
100 baar SubhanAllah kehne ki fazilat
Yateem aur Aurat ki haq talfi karne se khas bacho..
Ye Azkar arsh ke ird grid jakar uske padhne wale ka tazkira (Zikr) karte hain...
Qayamat ke din sabse afzal shakhs wo honge joh Allah Subhanahu ki bahut zyada tareef karte hain
Jo 10 martaba ye kalimat padhega to 100 gulam aazad, 100 nekiya aur 100 burayee mita di jayegi
Balon ko siyah rang karne wale Jannat ki Khusbu bhi nahi paa sakenge
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm Shaitan ki humz, nafs aur nifaq se panah talab kiya karte thy
Jab Momeen ko koi bhi takleef pahuchti hai toh isske zariye Allah Subahnahu uski burayion ka kaffara bana dete hai
3 martaba Astagfar padhne ki fazilat
As Salamu Alekum and Walekum As Salam
Kasrat se La hawla wa la Quwwata illa billah padhne ki fazilat
Jo Allah Subhanahu taa'la se dua nahi mangte Allah usse naraz hojate hain
Beshak, wo ghuroor karne walon ko pasand nahi karta
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne inmein se kis ke liye khas taur per bakshih ki dua farmayi thi
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne inmein se kis ke liye khas taur per bakshih ki dua farmayi thi
A: Yateem
B: Imaam
C: Quran e Hafiz
D: Mujahid
E: Muazzin
F: Mazlum
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - E✅
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khas dua Ummat ke Muazzin aur Imamon ke liye
Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Imaam (muqtadiyon ki Namaz ka) Zaameen aur kafil hain aur Muazzin Ameen hain, Eh Allah tu imaamon ko raah rasst (yani hidayat) par rakh aur Muazzin ko baksh de
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: امام ( مقتدیوں کی نماز کا ) ضامن اور کفیل ہے اور مؤذن امین ہے ، اے اللہ! تو اماموں کو راہ راست پر رکھ اور مؤذنوں کو بخش دے
------
Rasool-Allah Sallalahu Allaihi wasallam said The imam is responsible and the muadhdhin is trusted, O Allah, guide the imams and forgive the muadhdhins.
------
Sunan Abu Dawood,517-Sahih
Ek baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke baare me irshad farmate huwe rone lage aur fir farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in baton ka sawal karne ko kaha tha
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hain
Sawal: Ek baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke baare me irshad farmate huwe rone lage aur fir farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in baton ka sawal karne ko kaha tha
A: Akhirat ki bhalayee ka sawal
B: Duniya aur Akhirat mein Allah Subhanahu ki Maafi
C: Afiyat
D: Neik kaam karne ki hidayat
E: Duniya aur Akhirat mein dozakh ki aag se panah
F: Kaamil Emaan ka sawal
G: Seeda raste per qayam rehne ka sawal
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab – BCF✅
Allah Subhanahu se kasrat se in baton ka sawal kiya karo..
Reference📚:
-----
Syedna Rifaa bin Rafi RadiAllahu se riwayat hai ke wo kehte hai ke mein ne Sayedna Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu ko mimbar Rasool Sallallahu Alaihi wa sallam par yh kehte huwe suna unhon ne kaha mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna, jab unhon ne RasooliAllah Sallallahu Alaihi wasallam ka zikar kiya to rona shuru kar diya, phir yeh kefiyat durr hone ke baad unhon ne kaha Mein ne pichlle saal garmiyon ke is shadeed mausam mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko yeh farmate huwe suna tha Duniya o akhirat mein Allah Subhanahu taala se Maafi ka, Aafiyat ka aur Emaan kaamil ka sawal kiya karo.
-----
It is narrated on the authority of Rifaa ibn Rafi '(may Allah be pleased with him) that he said: I heard Abu Bakr Siddiq (may Allah be pleased with him) saying this on the pulpit of the Prophet. He mentioned Rasool-Allah (peace and blessings of Allah be upon him) and started weeping. Then when this condition disappeared, he said: I heard you (peace and blessings of Allah be upon him) say this last summer. It was: Ask Allah Almighty for forgiveness, well-being and perfect faith in this world and in the hereafter.
------
۔ سیدنا رفاعہ بن رافع رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے سیدنا ابو بکر صدیق رضی اللہ عنہ کو منبرِ رسول پر یہ کہتے ہوئے سنا، انھوں نے کہا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے سنا، جب انھوں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کا ذکر کیا تو رونا شروع کر دیا، پھر یہ کیفیت دور ہونے کے بعد انھوں نے کہا: میں نے پچھلے سال گرمیوں کے اس شدید موسم میں آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا تھا: دنیا و آخرت میں اللہ تعالیٰ سے معافی کا، عافیت کا اور ایمانِ کامل کا سوال کیا کرو۔
------
Musnad Ahmed#5663-Sahih
Al Mu awwidhat kaun kaunsi suraton ko kaha gaya hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zayda hain❗
Sawal: Al Mu awwidhat kaun kaunsi suraton ko kaha gaya hain
A: Surah Sajda
B: Surah Mulk
C: Surah Aala
D: Surah Ikhlas
E: Surah Kafiroon
F: Surah Falaq
G: Surah Baqrah
H: Surah An Nas
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahi Jawab – DFH✅
Har Farz namaz ke baad Al Muawwidhat (Aakhiri teen suraten padhne ka hukum)
Reference📚:
-----
Uqbah bin 'Amr RadiAllahu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya har namaz ke baad Al Mu’awwidhat (aakhri teen suraten) padha karo.
-----
It was narrated that 'Uqbah bin 'Amr said: "The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam commanded me to recite Al-Mu'awwidhat (the last three surahs of the Qur'an) following every prayer."
---------
عقبہ بن عامررضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ہر نماز کے بعد معوذات (آخری تین سورتیں) پڑھا کرو۔
Al-Silsila-tus-Sahiha#2776-Sahih
Hijrat kab tak baki rahegi
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Hijrat kab tak baki rahegi
A: jab tak log Namaz qayam rakhenge
B: Jab tak Jihad baki rahega
C: Jab tak Quran ki tilawat log karte rahenge
D: Jab tak Qayamat qayam nahi hogi
E: Yajuj Majuj ka nikalna
F: Suraj ka maghrib ki taraf se tulu hone tak
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - B✅
Jab tak Jihad baki rahega hijrat baki rahega
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke kuch sahaba ne ek dusre se kaha Hijrat khatam hogayi hain, woh aapas mein ikhtelaaf karne lagey. Mein Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas gaya, aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! kuch log keh rahe hain ke hijrat khatam hogayi hain, Rasool-Allah Sllallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tak Jihaad hain hijrat khatam nahi hogi.
----
جنادہ بن ابی امیہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے کچھ صحابہ نے ایک دوسرے سے کہا: ہجرت ختم ہوگئی ہے، وہ آپس میں اختلاف کرنے لگے۔ میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گیا، اور کہا: اے اللہ کے رسول! کچھ لوگ کہہ رہے ہیں کہ ہجرت ختم ہوگئی ہے، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تک جہاد ہے ہجرت ختم نہیں ہوگی۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2071-Sahih
Wo kaun log honge jinka talluq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se nahi hoga
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo kaun log honge jinka talluq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se nahi hoga
A: Takkabur karne wale
B: Riyakari karne wale
C: Jis ne apne walid ka inkaar kiya
D: Firqa banane wale
E: Mazloom ko tang karne wale
F: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka naam sun kar unper darood nahi padha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - D✅
Deen mein firqe bannane wale ka talluq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se nahi
Reference📚:
--‐---
Beshak jin logon ne (juda juda rahein nikaal kar) apne deen ko Parah Parah kar diya aur woh (mukhtalif) firqoun mein Butt gaye, Aap kisi cheez mein un ke (talluq daar aur zimmedaar) nahi hain, bas un ka maamla Allah Subhanahu he ke hawale hain phir woh inhen un kamon se aagah farma dega jo woh kiya karte thy
----
Indeed, those who have divided their religion and become sects - you, [O Muhammad], are not [associated] with them in anything. Their affair is only [left] to Allah; then He will inform them about what they used to do.
-----
بیشک جن لوگوں نے (جدا جدا راہیں نکال کر) اپنے دین کو پارہ پارہ کر دیا اور وہ (مختلف) فرقوں میں بٹ گئے، آپ کسی چیز میں ان کے (تعلق دار اور ذمہ دار) نہیں ہیں، بس ان کا معاملہ اﷲ ہی کے حوالے ہے پھر وہ انہیں ان کاموں سے آگاہ فرما دے گا جو وہ کیا کرتے تھے
-----
Surah Al Anam: (06:159)
Qayamat ke din Allah Subhanahu kin per Reham karega
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Qayamat ke din Allah Subhanahu kin per Reham karega
A: jo khamoshi ikhtiyar karte hain
B: jisne ilm hasil kiya
C: jisne reham kiya
D: panch waqt ki namaz padha
E: jisne Gussa nahi kiya
F: jo Jihad mein shamil huwa
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - C✅
Jis shaks ne Reham kiya Allah Subhanahu Qayamat ke din usper reham karega
Reference📚:
--‐-
Abu Imama RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke jis shakhs ne Reham kiya agarche ek chidya ko zibah karne mein he kyun na kiya ho, Allah Subhanahu Qayamat ke din is per Reham karega
---
It is narrated on the authority of Abu Imama (May Allah be pleased with him) that whoever has mercy, even if he did it in slaughtering a bird, Allah will have Mercy on him on the Day of Resurrection.
---
ابو امامہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ جس شخص نے رحم کیا اگرچہ ایک چڑیا کو ذبح کرنے میں ہی کیوں نہ کیا ہو،اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس پر رحم کرے گا
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#412-Sahih
Kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo magfirat ko wajib karne walon mein se ek amal hain
❗Only- Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo magfirat ko wajib karne walon mein se ek amal hain
A: Achchi baat karna
B: Maaf karna
C: Musafa karna
D: kisi se Muskura kar milna
E: Dua karna
F: Sulah karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - A✅
Magfirat ko wajib karne wale Aamal mein se Salam phelana aur Achchi baat karna hain
Reference📚:
-----
Hani bin Yazeed Radi Allahu Anhu se riwayat hai meine kaha YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mujhe kisi aise aamal ki rehnumaye kijiye jo mujhe Jannat mein dakhil kar de Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Yaqeenan Magfirat ko wajib karne wali cheezon mein se Salam phelana aur Achchi baat karna hain
---
ہانی بن یزید سے مروی ہے کہ میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے کسی ایسے عمل کی راہنمائی کیجئے جو مجھے جنت میں داخل کر دے۔آپ نے فر مایا: یقینا مغفرت کو واجب کرنے والی چیزوں میں سے سلام پھیلانا اور اچھی بات کرنا ہے
----
It is narrated on the authority of Hani bin Yazeed that I said: O Messenger of Allah! Guide me to an action that will lead me to Paradise. He said: Ofcourse, one of the things that makes forgiveness obligatory is to greet (Salam) and speak kindly.
----
Al-Silsila-As-Sahiha # 299-Sahih
Kaunse shaks ke Salam ka jawab Fariste dete hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunse shaks ke Salam ka jawab Fariste dete hain
A: Neiki ka hukum dene wale
B: Ilm hasil karne wale
C: Musafir ko rasta batane wale
D: Salam mein pehal karne wale
E: jab koi badha chote ko salam karta hain
F: jab kisi majlis mein salam karte hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab – G✅
(Qata Taluqi ke baad jo shaqs Salam mein pehal kare aur dusra shaqs usse jawab na de toh aise shaqs ke Salam ka jawab Farishte dete hain)
Reference:
------
Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna: kisi Musalman ke liye jayaz nahi ke woh kisi Musalman se teen din se zyada Qata taluqi kare kyun ke ye dono jab tak apne haraam kaam par rahenge haq se bhatke rahenge un mein jo shakhs rujoo karne mein Sabqat karta hai is ka Sabqat karna is ke liye kaffara hain agar wo Salam kahe aur dusra shakhs is ko jawab na de toh farishte usse jawab dete hain jabke dusre shakhs ko shaitan jawab deta hain agar wo isi Qata taluqi par Faut ho jaien toh kabhi bhi Jannat mein jama nahi honge
-------
It is narrated on the authority of Hisham ibn Amir RadiAllahu Anhu that he said: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, say: It is not permissible for a Muslim to be separated (cut relationship) from a Muslim for more than three days. They will continue to do haraam deeds and will deviate from the truth. The one who precedes them in repentance is the expiation for him. If one of them greets and the person doesn’t reply then Angel’s reply for them and for the person who didn’t reply Shaitan reply to them and that if they die in this relationship, they will never be gathered in heaven (Jannah)
-----
ہشام بن عامر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: کسی مسلمان کے لئے جائز نہیں کہ وہ کسی مسلمان سے تین دن سے زیادہ قطع تعلقی کرے کیونکہ یہ دونوں جب تک اپنے حرام کام پر رہیں گےحق سے بھٹکے رہیں گے ان میں جو شخص رجوع کرنے میں سبقت کرتا ہے اس کا سبقت کرنا اس کے لئے کفارہ ہے اگر وہ سلام کہے اور دوسرا شخص اس کو جواب نہ دے تو فرشتے اسے جواب دیتے ہیں جبکہ دوسرے شخص کو شیطان جواب دیتا ہےاگر وہ اسی قطع تعلقی پر فوت ہوجائیں تو کبھی بھی جنت میں جمع نہ ہوں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#453-Sahih
Qayamat ke din Allah Subhanahu ke Afzal bande kaun honge
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Qayamat ke din Allah Subhanahu ke Afzal bande kaun honge
A: Musalman ki madad karne wale
B: Madine se mohabbat karne wale
C: Museebat mein mubtila shakhs ki madad karne wale
D: Allah ki bahut ziyada tareef karne wale
E: Allah ki raha mein maal karch karne wale
F: Allah ke khatir mohabbat karne wale aur Allah ke khatir bughz rakhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
************
Sahi Jawab - D✅
Qayamat ke din sabse afzal shakhs wo honge joh Allah Subhanahu ki bahut zyada tareef karte hain
Reference📚:
-----
Imran bin Hussain RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Qayamat ke din Allah Subhanahu ke Afzal bande (Allah ki) bohat zyada tareef karne wale honge
----
Imran bin Hussain RadiAllahu Anhu said:On the Day of Resurrection, the best servants of Allah will be the one who will be very much praising (Allah)
----
عمران بن حصینرضی اللہ عنہ سےمرفوعامروی ہےکہ:قیامت کےدن اللہ کےافضل بندے(اللہ کی)بہت زیادہ تعریف کرنےوالےہوں گے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2760-Sahih
Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain
A: Namaz qayam karne wale
B: jo rizaq Allah ne diya usmein se karch karne wale
C: jab Allah Subhanahu ka naam liya jata hai toh unke dil darr jate hain
D: jab Allah Subhanahu ki ayaton ka zikr hota hain toh unka imaan aur badh jata hain
E: jo tanhai mein Allah Subhanahu ko yaad karte hain aur unke aankh se aansoo jari hojate hain
F: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehne par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
**********
Sahi Jawab - G✅
Ye Azkar arsh ke ird grid jakar uske padhne wale ka tazkira (Zikr) karte hain.....SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah Allahu Akbar
Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab log Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed Alhumdulilah ), Takbir (Allahu Akbar) aur Tehleel (La illaha IllAllah) ki surat mein Allah Subhanahu ke jalal ka zikr karte hain, to ye (azkar) Arsh ke ird gird aajizi karte hain, Shehad ki makhi ki bhinbhinahat ki terhan unki aawaz hoti hai aur ye apne (zikr karne wale) sahib ka tazkara karte hain. to ab kya tum log nahi chahte ke tumhara koi aisa amal ho jo (Arsh ke paas) tumhari yaad dilaata rahe.
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جب لوگ تسبیح (سُبْحَانَ اللّٰہ)، تحمید (اَلْحَمْدُ لِلّٰہ)، تکبیر (اَللّٰہُ اَکْبَر) اور تہلیل (لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ) کی صورت میں اللہ تعالیٰ کے جلال کا ذکر کرتے ہیں، تو یہ (اذکار) عرش کے اردا گرد عاجزی کرتے ہیں، شہد کی مکھی کی بھنبھناہٹ کی طرح ان کی آواز ہوتی ہے اور یہ اپنے (ذکر کرنے والے) صاحب کا تذکرہ کرتے ہیں۔ تو اب کیا تم لوگ نہیں چاہتے کہ تمہارا کوئی ایسا عمل ہو جو (عرش کے پاس) تمھاری یاد دلاتا رہے۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said when you recite Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed (Alhumdulilah), Takbir (Allahu Akbar) and Tehleel (La illaha IllAllah) it revolves around the throne buzing like bees, reminding for the one who recited it. So anyone of you like to have or continue to have something which reminds of him revolving around the throne in the presence of Allah Subhanahu
----
Musnad Ahmed#5464-Sahih
Inmein se wo kaun hain jinki haq talfi karne se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khas taur per mana farmaya hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se zyada hain
Sawal: Inmein se wo kaun hain jinki haq talfi karne se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khas taur per mana farmaya hain
A: Yateem
B: Gulam
C: Aurat
D: Walidain
E: Budhe
F: Mazloom
G: Biwi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahi Jawab - AC✅
Yateem aur Aurat ki haq talfi karne se khas bacho..
Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Mein do kamzoron ki haq talfi se mana karta hu. Yateem, aur Aurat
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu said that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: I forbid the loss of the rights of two weak people. Orphans and women
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں دو کمزوروں کی حق تلفی سے منع کرتا ہوں۔ یتیم، اور عورت
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1938-Sahih
Allah Subhanahu insan ki madad karna kab utha leta hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Allah Subhanahu insan ki madad karna kab utha leta hain
A: jis ke pass ek waqt ka saman ho phir bhi logo se mangta ho
B: Waledain ki nafarmani karne per
C: Namaz ko zaya karne wala
D: Fuzul kharchi karne wala
E: Logo ke liye bura sochne wala
F: Khayanat karne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - F✅
Jab koi do (2) log mil kar kaam kare aur dono mein se koi ek saathi khayanat karta hain toh Allah Subhanahu ki madad hatt jati hain.
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam farmate hain ke: Allah Subhanahu farmata hain: "Main do shariko ka teesra hu jab tak ke un dono mein se koi ek dusre ke saath khayanat na kare, aur jab koi apne saathi ke saath khayanat karta hain to mein un ke darmiyan se hatt jata hu
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: میں دو شریکوں کا تیسرا ہوں جب تک کہ ان دونوں میں سے کوئی ایک دوسرے کے ساتھ خیانت نہ کرے، اور جب کوئی اپنے ساتھی کے ساتھ خیانت کرتا ہے تو میں ان کے درمیان سے ہٹ جاتا ہوں
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah, Most High, says: "I make a third with two partners as long as one of them does not cheat the other, but when he cheats him, I depart from them".
----
Sunan Abi Dawud 3383-Sahih
Jab bande per koi neimat nazil hoti hai toh usse kaunsa amal karna ya kehna cahhaiye
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Jab bande per koi neimat nazil hoti hai toh usse kaunsa amal karna ya kehna cahhaiye
A: Alhumdullilahi Kathira
B: SubhanAllah
C: Hada min Fadli Rabbi
D: Sajda e shukar karna
E: Alhumdullilahi Rabbil Aalameen
F: Alhumdullilah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab - F✅
Alhmudulillah kehne ki fazilat
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu apne bande per koi Neimat nazil farmata hain aur wo
"Allhumdullilah"
(Tamam tarifein Allah ke liye hain)
kehta hain toh usne jo diya wo us cheez se afzal hain jo usne liya
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے پر کوئی نعمت نازل فرماتا ہے، اور وہ «الحمدللہ» کہتا ہے تو اس نے جو دیا وہ اس چیز سے افضل ہے جو اس نے لیا
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: 'Allah does not bestow a blessing upon any slave and he says:
Alhumdullillah
(praise is to Allah),
except that what he gives (the praise) is better than what he received (the blessing).
Sunan e Ibn e Maja#3805-Sahih
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...