❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Hijrat kab tak baki rahegi
A: jab tak log Namaz qayam rakhenge
B: Jab tak Jihad baki rahega
C: Jab tak Quran ki tilawat log karte rahenge
D: Jab tak Qayamat qayam nahi hogi
E: Yajuj Majuj ka nikalna
F: Suraj ka maghrib ki taraf se tulu hone tak
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - B✅
Jab tak Jihad baki rahega hijrat baki rahega
Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke kuch sahaba ne ek dusre se kaha Hijrat khatam hogayi hain, woh aapas mein ikhtelaaf karne lagey. Mein Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas gaya, aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! kuch log keh rahe hain ke hijrat khatam hogayi hain, Rasool-Allah Sllallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tak Jihaad hain hijrat khatam nahi hogi.
----
جنادہ بن ابی امیہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے کچھ صحابہ نے ایک دوسرے سے کہا: ہجرت ختم ہوگئی ہے، وہ آپس میں اختلاف کرنے لگے۔ میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس گیا، اور کہا: اے اللہ کے رسول! کچھ لوگ کہہ رہے ہیں کہ ہجرت ختم ہوگئی ہے، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تک جہاد ہے ہجرت ختم نہیں ہوگی۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2071-Sahih
No comments:
Post a Comment