Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 9 November 2020

Wo kaunsa amal hai jiske karne per shaitaan se rukawat ban jati hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaunsa amal hai jiske karne per shaitaan se rukawat ban jati hain


A: Surah Fatiha

B: Hasbiyallahu la ilaha illa Huwa 'alayhi tawkkaltu 

wa Huwa Rabbul- 'Arshil-'Azim

C: La ilaha , illAllahu wahdahu La sharikalahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa Ala kulli shayeen Qadeer

D: Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wala yagfiruz-zunuba illa anta, Fagfirli magfiratan min indika wa-arhamni, innaka Antal Gafur-ArRahim.

E: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta

F: Subhanaka al humma rabbana wa bihamdika, Allahumma ghfir li 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - C✅


Subah aur Sham ke waqt Srif 10 martaba ye kalimaat kehne ki fazilat


لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير


Reference📚:

-----

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne subah ki Namaz ke baad dus (10) martaba ye kalma kaha 


لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير


Allah ke ilawa koi sacha mabood nahi woh akela hai, is ka koi shareek nahi, isi ke liye badshahat hai aur isi ke liye tareef aur woh har cheez par Qadir hai. 


Allah taala is ke liye dus (10) nekiya likhega, is ki dus (10) buraiyan mitayega aur is ke dus (10) darjaat buland karega aur is ko Aulaad Ismael mein se do (2) gardanein aazad karne ka sawab mileyga. agar is ne shaam ke waqt isi terhan kaha to iske liye isi terhan hai aur subah hone tak ye kalimaat shaitan se rukawat honge.

----

ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: جس شخص نے صبح کی نماز کے بعد دس مرتبہ یہ کلمہ کہا: اللہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں وہ اکیلا ہے ، اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لئے بادشاہت ہے اور اسی کے لئے تعریف اور وہ ہر چیز پر قادر ہے ۔ اللہ تعالیٰ اس کے لئے دس نیکیاں لکھے گا، اس کی دس برائیاں مٹائے گا اور اس کے دس درجات بلند کرے گا اور اس کو اولاد اسماعیل میں سے دو گردنیں آزاد کرنے کا ثواب ملے گا۔ اگر اس نے شام کے وقت اسی طرح کہا تو اس کے لئے اسی طرح ہے اور صبح ہونے تک یہ کلمات شیطان سے رکاوٹ ہوں گے۔ 

----

Abu Hurraira RadiAllahu Anhu said that: Whoever says the following word ten times after the morning prayer: 


لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir


None has the right to be worshipped but Allah. He is the Only One and has no partners . For Him is the Kingdom and all the praises are due for Him.


Allah Almighty will write ten good deeds for him, erase his ten evil deeds and raise him ten degrees and he will be rewarded for freeing two necks from the descendants of Ismaiel Alaihi Sallam. If he says the same thing in the evening, it is the same for him, and these words will be a hindrance to Satan until morning.

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2975-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...