Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 9 November 2020

Jab Momeen ko koi bhi takleef pahuchti hai toh isske zariye Allah Subahnahu uski burayion ka kaffara bana dete hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab Momeen ko koi bhi takleef pahuchti hai toh isske zariye Allah Subahnahu uski burayion ka kaffara bana dete hai
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Momeen  jis dard o takleef, taab o thakaan, ranj o gham aur malaal o nuqsaan mein mubtila hota hai, yahan tak ke woh kaanta, jo is ko chubhta hai, Allah Subahnahu taala is ki wajah se is ki khataien maaf karta hai
-----
سیدنا ابو ہریرہ اور سیدنا ابو سعید خدری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہما بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: مؤمن جس درد و تکلیف، تعب و تکان، رنج و غم اور ملال و نقصان میں مبتلا ہوتا ہے، یہاں تک کہ وہ کانٹا ، جو اس کو چبھتا ہے، اللہ تعالیٰ اس کی وجہ اس کی خطائیں معاف کرتا ہے۔ 
-----
Musnad Ahmed#9358-Sahih
********
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi waSallam ne farmaya Momeen ko takan, thakawat, gham, beemari, takleef ya pareshan kar dene wala koi gham la-haq hota hai to Allah Subhanahu taala un aazmaishon ko is ki buraiyon ka kaffara banata hai
----
سیدنا ابو سعید خدری ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: مؤمن کو تکان، تھکاوٹ، غم، بیماری، تکلیف یا پریشان کر دینے والا کوئی غم لاحق ہوتا ہے تو اللہ تعالیٰ ان آزمائشوں کو اس کی برائیوں کا کفارہ بناتا ہے۔ 
---
Musnad Ahmed#9360-Sahih


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...