Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 9 November 2020

Ek baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke baare me irshad farmate huwe rone lage aur fir farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in baton ka sawal karne ko kaha tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hain


Sawal: Ek baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke baare me irshad farmate huwe rone lage aur fir farmaya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in baton ka sawal karne ko kaha tha


A: Akhirat ki bhalayee ka sawal

B: Duniya aur Akhirat mein Allah Subhanahu ki Maafi

C: Afiyat

D: Neik kaam karne ki hidayat 

E: Duniya aur Akhirat mein dozakh ki aag se panah

F: Kaamil Emaan ka sawal

G: Seeda raste per qayam rehne ka sawal


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab – BCF✅


Allah Subhanahu se kasrat se in baton ka sawal kiya karo..


Reference📚:

-----

Syedna Rifaa bin Rafi RadiAllahu se riwayat hai ke wo kehte hai ke mein ne Sayedna Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu ko mimbar Rasool Sallallahu Alaihi wa sallam par yh kehte huwe suna unhon ne kaha mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna, jab unhon ne RasooliAllah Sallallahu Alaihi wasallam ka zikar kiya to rona shuru kar diya, phir yeh kefiyat durr hone ke baad unhon ne kaha Mein ne pichlle saal garmiyon ke is shadeed mausam mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko yeh farmate huwe suna tha Duniya o akhirat mein Allah Subhanahu taala se Maafi ka, Aafiyat ka aur Emaan kaamil ka sawal kiya karo.

-----

It is narrated on the authority of Rifaa ibn Rafi '(may Allah be pleased with him) that he said: I heard Abu Bakr Siddiq (may Allah be pleased with him) saying this on the pulpit of the Prophet. He mentioned Rasool-Allah (peace and blessings of Allah be upon him) and started weeping. Then when this condition disappeared, he said: I heard you (peace and blessings of Allah be upon him) say this last summer. It was: Ask Allah Almighty for forgiveness, well-being and perfect faith in this world and in the hereafter.

------

 ۔ سیدنا رفاعہ بن رافع  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے سیدنا ابو بکر صدیق رضی اللہ عنہ  کو منبرِ رسول پر یہ کہتے ہوئے سنا، انھوں نے کہا: میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  سے سنا، جب انھوں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کا ذکر کیا تو رونا شروع کر دیا، پھر یہ کیفیت دور ہونے کے بعد انھوں نے کہا: میں نے پچھلے سال گرمیوں کے اس شدید موسم میں آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کو یہ فرماتے ہوئے سنا تھا:  دنیا و آخرت میں اللہ تعالیٰ سے معافی کا، عافیت کا اور ایمانِ کامل کا سوال کیا کرو۔  

------

Musnad Ahmed#5663-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...