Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 9 November 2020

Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain


A: Namaz qayam karne wale

B: jo rizaq Allah ne diya usmein se karch karne wale

C: jab Allah Subhanahu ka naam liya jata hai toh unke dil darr jate hain

D: jab Allah Subhanahu ki ayaton ka zikr hota hain toh unka imaan aur badh jata hain

E: jo tanhai mein Allah Subhanahu ko yaad karte hain aur unke aankh se aansoo jari hojate hain

F: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehne par

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - G✅


Ye Azkar arsh ke ird grid jakar uske padhne wale ka tazkira (Zikr) karte hain.....SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah Allahu Akbar


Reference📚:

------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab log Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed Alhumdulilah ), Takbir (Allahu Akbar) aur Tehleel (La illaha IllAllah) ki surat mein Allah Subhanahu ke jalal ka zikr karte hain, to ye (azkar) Arsh ke ird gird aajizi karte hain, Shehad ki makhi ki bhinbhinahat ki terhan unki aawaz hoti hai aur ye apne (zikr karne wale) sahib ka tazkara karte hain. to ab kya tum log nahi chahte ke tumhara koi aisa amal ho jo (Arsh ke paas) tumhari yaad dilaata rahe.

-----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جب لوگ تسبیح (سُبْحَانَ اللّٰہ)، تحمید (اَلْحَمْدُ لِلّٰہ)، تکبیر (اَللّٰہُ اَکْبَر) اور تہلیل (لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ) کی صورت میں اللہ تعالیٰ کے جلال کا ذکر کرتے ہیں، تو یہ (اذکار) عرش کے اردا گرد عاجزی کرتے ہیں، شہد کی مکھی کی بھنبھناہٹ کی طرح ان کی آواز ہوتی ہے اور یہ اپنے (ذکر کرنے والے) صاحب کا تذکرہ کرتے ہیں۔ تو اب کیا تم لوگ نہیں چاہتے کہ تمہارا کوئی ایسا عمل ہو جو (عرش کے پاس) تمھاری یاد دلاتا رہے۔ 

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said when you recite Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed (Alhumdulilah), Takbir (Allahu Akbar) and Tehleel (La illaha IllAllah) it revolves around the throne buzing like bees, reminding for the one who recited it. So anyone of you like to have or continue to have something which reminds of him revolving around the throne in the presence of Allah Subhanahu

----

Musnad Ahmed#5464-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...