Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 30 June 2020

Hasbi Allah










Bismillahirrahmanirrahim

حسبي الله
----
Hasbi Allah
----
Allah is enough for me
---
Allah mere liye kaafi hai
--- 

Astagfirullah









Bismillahirrahmanirrahim

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ 

✦Astagfirullah
------
✦Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu 
------
✦I seek the forgiveness of Allah the Almighty

RabbiAllah






Bismillahirahmanirrahim 

رَبِّيَ اللَّهُ
---
RabbiAllah 
---
Mera RABB sirf Allah hai
--
My lord is Allah only





Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Din ke dono hisse (Fajr aur Asar) aur raat(Tahajjud) ke kuch hisso mein namaz padne se banda apne gunaaho se pakk hojata hain
------
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se rivayet ki ke 1 shakhs ne ek aurat ko bosa diya, (phir) woh Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein haazir huwa aur is waqiye ka zikar kiya, tab (yeh aayat) nazil huwi din ke dono hisson (fajr aur asar) aur raat ke kuch hisson (tahajjud) mein Namaz qaim rakho beshak nekiya buraiyon ko durr kar deti hain, yeh yaad dehani hai yaad rakhnay walon ke liye. is shakhs ne kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya yeh (basharat) sirf mere liye hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat mein se jo bhi (gunaaho se pakk honay ke liye) is par Amal kare
-----
Abdullah b. Mas'ud reported that a person kissed a woman and he came to Allah's Apostle (ﷺ)  ‌ and made a mention of that to him. It was (on this occasion) that this verse was revealed: And observe prayer at the (two) ends of the day and in the first hours of the night. Surely, good deeds take away evil deeds. That is a reminder for the mindful (xi. 115). That person said: Allah's Messenger, does it concern me only? He (the Holy Prophet) said: It concerns every one of my Unimah, who acts according to it. 
-----
عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت کی کہ ایک شخص نے ایک عورت کو بوسہ دیا ،   ( پھر )  وہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر ہوا اور اس واقعے کا ذکر کیا ،  تب  ( یہ آیت )  نازل ہوئی :   دن کے دونوں حصوں اور رات کے کچھ حصوں میں نماز قائم رکھو ،  بےشک نیکیاں برائیوں کو دور کر دیتی ہیں ،  یہ یاد دہانی ہے یاد رکھنے والوں کے لیے ۔اس شخص نے کہا :  اللہ کے رسول! کیا یہ  ( بشارت )  صرف میرے لیے ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :   میری امت میں سے جو بھی  ( گناہوں سے پاک ہونے کے لیے )  اس پر عمل کرے ۔ 
------   
Sahih Muslim Hadees # 7001-Sahih

Allahummagfirli



Bismillahirrhamanirrahim

 اللھُمّ اغْفِرْ لِي

Allahummagfirli
Oh Allah forgive me
Eh Allah mujhe bakhsh de
-----------
 اللھُمّ ارْحَمْنِي

Allahummarhamni
Oh Allah have mercy on me
Eh Allah mujh par raham farma
-----------
 اللھُمّ ارْزُقْنِي

Allahummarzuqani
Oh Allah grant me sustenance
Eh Allah mujhe rizq ata farma

Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith



Bismillahirrahmannirrahim

Sakhti aur pareshani ke waqt padhne ki dua

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko jab koi kaam sakht takleef o pareshani mein daal deta to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ye dua padhte: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ 
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
Eh Zinda Hamesha Rehne wale teri rehmat ke waseele se teri madad chahta hu

Jam e Tirmazi#3524-Sahih 
---------- 
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو جب کوئی کام سخت تکلیف و پریشانی میں ڈال دیتا تو آپ یہ دعا پڑھتے: «يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث» ”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں“۔ 
---------------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua when in distress
---------------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu said  Whenever a matter would distress him, the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam would say: 

يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ
Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith
‘Oh Alive and everlasting one! In Your Mercy do I seek relief
Jam e Tirmazi#3524-Sahih 


 

 

Abu Bakr RadiAllahu Anhu ka rutba

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Abu Bakr RadiAllahu Anhu ka rutba
-------
Nabi kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke  paas ek  khatoon ayen aur kisi maamle mein Aap se guftagu ki, phir Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne un se kaha ke woh dobarah Aap ke paas ayen. unhon ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallan agar mein aon aur aap ko na paon toh phir Aap kya farmate hain? jaisay un ka ishara wafaat ki taraf ho. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe nah pao to Abu Bakr RadiAllahu Anhu ke paas aaoo
------
Narrated Jubair bin Mut`im: A woman came to the Prophet and spoke to him about something and he told her to return to him. She said, O Allah's Apostle! If I come and do not find you? (As if she meant, ...if you die? ) The Prophet said, If you should not find me, then go to Abu Bakr.
-----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس ایک خاتون آئیں اور کسی معاملہ میں آپ سے گفتگو کی، پھر نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے ان سے کہا کہ وہ دوبارہ آپ کے پاس آئیں۔ انہوں نے عرض کیا: یا رسول اللہ! اگر میں آؤں اور آپ کو نہ پاؤں تو پھر آپ کیا فرماتے ہیں؟ جیسے ان کا اشارہ وفات کی طرف ہو۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اگر مجھے نہ پاؤ تو ابوبکر کے پاس آئیو۔ 
------
Sahih Bukhari Hadees # 7220-Sahih

Beemariyo se bachne ki dua (Coronavirus)







Bismillahirrahmannirrahim

Beemariyo se bachne ki dua (Coronavirus)
-----
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ

Allahumma Inni Auzubika minal-barasi, Wa Al-Jununi, Wal-judami, wa min sayyil, Asqam
------
Eh Allah Main tujhse panah chahta hu kodh ki beemari se pagalpan se, Juzam se (infection se) aur tamam buri beemariyo se
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1541- Sahih
-----
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ

یا الله میں تجھ سے پناہ مانگتا ہوں کوڑھ کی بیماری سے پاگلپن سے جزام کی بیماری(انفیکشن) سے اور تمام بری بیماریوں سے
------------
Bismillahirrahmanirrahim

Dua to be protected from evil diseases (Corona Virus)
------------

Narrated Anas Ibn Malik RadiAllahu Anhu (to get the protection from the diseases) The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to Say: 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ

Allahumma Inni Auzubika minal-barasi, Wa Al-Jununi, Wal-judami, wa min sayyil, Asqam
-------
O Allah I seek refuge in You from Leprosy, Madness, Elephantiasis (parasite infection), and Evil diseases.
---
Sunan Abu Dawud, Book 8, 1549- Sahih

Kaunse amal ke sabab ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse amal ke sabab ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

A: Miskeen ko khana khilana
B: Namaz padhna
C: Sadqa
D: Quran ki tilawat
E: Husn-e-Akhlaq
F: Bewa ki madad karna 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*******************

Sahi Jawab - E✅

Husn-e-Akhlaq ki wajah se ziyada tar log Jannat mein dhakil honge

Reference📚:
------
Syedna Abu Huraira ‌RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se yeh sawal kiya gaya ke kis cheez ki wajah se log sab se ziyada Aag mein ghusenge, Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya : اجْوفان, yani muh aur sharamgah phir Aap Sallallahu Alahi Wasallam se yeh sawal kiya ke kis amal ki wajah se sab se ziyada log Jannat mein daakhil honge, Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya Husn-e-Akhlaq
----
 ۔ سیدنا ابو ہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم سے یہ سوال کیا گیا کہ کس چیز کی وجہ سے لوگ سب سے زیادہ آگ میں گھسیں گے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: اَجْوَفَانِ، یعنی منہ اور شرمگاہ۔ پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم سے یہ سوال کیا کہ کس عمل کی وجہ سے سب سے زیادہ لوگ جنت میں داخل ہوں گے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: حسن اخلاق۔ 
------
Musnad Ahmed#9154-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...