Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 5 July 2020

Mahfhum e hadith ke mutabiq Jab Jannat mein Ahle Jannat kayenge aur peeyenge toh kya kya hoga aur unka khana kaise hazam hoga aur kya kya khoobiya hongi...

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Jab Jannat mein Ahle Jannat kayenge aur peeyenge toh kya kya hoga aur unka khana kaise hazam hoga aur kya kya khoobiya hongi...

A: unko kabhi paseena nahi aayega
B: unko thook nahi aayegi
C: unko cheek nahi ayegi
D: unko istinja nahi aayega
E: unko kazaye hajjat nahi aayegi
F: ek cheek ayegi aur khana hazam hojayega
G: ek dakkar ayegi aur khana hazam hojayega
H: unka paseena kasturi ki khusboo jaisa hoga
I: unka paseena musk ki khusboo jaisa hoga

J: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - BCDEGH✅

Ahle Jannat walo ki khoobiya jab wo kayenge aur peeyenge

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya Ahal Jannat wahan kayenge aur peeyenge lekin na thookange na pishaab karenge, na kazaye haajat karenge, na he rent aayegi. sahaba ny kaha khana kis terhan hazum hoga? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ek dakkar ayegi aur Kastoori ki khusbhoo jaissa paseena aayega jis terhan saans chalti hai is terhan tasbeeh o Tehmid jari hogi
----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اہل جنت وہاں كھائیں گے اور پئیں گے لیکن نہ تھوكیں گے نہ پیشاب كریں گے، قضاء حاجت کریں گے، نہ ہی رینٹ آئے گی۔ صحابہ نے كہا: كھانا کس طرح ہضم ہو گا  ؟ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: ایك ڈكار آئے گی اور كستوری كی خوشبو جیسا پسینہ آئے گا جس طرح سانس چلتی ہے اس طرح تسبیح و تحمید جاری ہوگی
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1451-Sahih

Bechaini aur Sakhti ke waqt padhne ki dua

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Bechaini aur Sakhti ke waqt padhne ki dua

----
Sayedna Ali bin Abu Talib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo kehte hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bechaini aur sakhti ke waqt yh dua padhne ki taleem di thi  

‌لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ الْحَلِیمُ الْکَرِیمُ ،سُبْحَانَ اللّٰہِ وَتَبَارَکَ اللّٰہُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِینَ

(Nahi hai koi mabood barhaq, siwaye Allah ke, woh Burdbar aur kareem hai, Allah paak hai, Allah taala babarkat hai, jo Arsh Azeem ka RABB hai, aur saari tareef is Allah ke liye hai, jo Jahanumo ka RABB hai)
-------
 ۔ سیدنا علی بن ابو طالب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے بے چینی اور سختی کے وقت یہ دعا پڑھنے کی تعلیم دی:   لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ الْحَلِیمُ الْکَرِیمُ ،سُبْحَانَ اللّٰہِ وَتَبَارَکَ اللّٰہُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِیمِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ رَبِّ الْعَالَمِینَ (نہیں ہے کوئی معبودِ برحق، سوائے اللہ کے، وہ بردبار اور کریم ہے، اللہ پاک ہے، اللہ تعالیٰ بابرکت ہے، جو عرشِ عظیم کا ربّ ہے، اور ساری تعریف اس اللہ کے لیے ہے، جو جہانوں کا ربّ ہے)۔
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5575

Allah Subhanahu Zulm karne walon ko pasand nahi karta





Bismillahirrahmannirrahim

وَاللَّهُ لَا يُحِبُّ الظَّالِمِينَ
----
Allah Subhanahu Zulm karne walon ko pasand nahi karta
----
الله ظلم کرنے والوں کو پسند نہیں کرتا
----
Allah does not like the unjust.
-----
Surah Ale Imran: (03:57)

Jahannam ki aag se aazadi dilane wali dua




















Bismillahirrahmanirrahim

Jahannam ki aag se aazadi dilane wali dua
----------------
Harith bin Muslim Al - Tamimi Radi Allahu Anhu apne walid se se rivayat karte haiin ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab tum subah ki namaz se farig ho jao to 7 baar ye dua padho

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

Allahumma Ajirni Minan Naar

Eh Allah mujhe Jahanam ki aag se bacha

Agar tumne ye dua padh li aur us din tumhari wafat ho gayee to tumhare liye Jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi  aur jab magrib ki namaz se farig ho jao tab bhi 7 baar ye hi dua padh liya karo , agar tumne  ye dua padh li aur raat mein tumhari wafat ho gayee to tumhare liye jahannam ki aag se aazadi likh di jayegi

Al-Mu'jam Al-Kabeer, Tabrani, 16425, Hasan
Nata'ij Al-Afkar, 1/162, Hafiz Ibn hajar -Hasan
---------

Bismillahirrahmanirrahim

Dua to Protection from the hell fire
----------------
Al-Harith bin Muslim Al-Tamimi Narrated from his father that RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi wasallam said when you finish the Morning Prayer say seven times these words,

اللَّهُمَّ أَجِرْنِي مِنَ النَّارِ

Allahumma Ajirni Minan Naar

Oh Allah protect me from the hell fire.

if you say these words and die that day the protection from the hell fire will be written for you , and when you fnish the sunset prayer (means magrib prayer) say seven times same words, if you say these words and die that night the protection from the hell fire will be written for you

Al-Mu'jam Al-Kabeer, Tabrani, 16425, Hasan
Nata'ij Al-Afkar, 1/162, Hafiz Ibn hajar –Hasan

Do sazdo ke darmiyan padhne ki dua





*Bismillahirrahmanirrahim* *✦ Do sazdo ke darmiyan padhne ki dua* --------- ✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam do sajdo ke darmiyan ye dua parhtey they *Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni* *اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي* Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma *Sunan Abu Dawud, Jild 1 , 842 -Hasan* *Note: Jab koi namaz mein pahle sajda kar le to uske baad wapas sajde se sir uthakar ye dua padhe uske baad dusra sajda kare.* --------- رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم دو سجدوں کے درمیان یہ دعا پڑھتے تھے *اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي*  یعنی اے اللہ میری مغفرت فرما، مجھ پر رحم کر، مجھے عافیت دے، ہدایت دے اور رزق دے سنن ابو داوود جلد ١، ٨٤٢- حسن  --------- ✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम दो सजदों  के दरमियान  ये दुआ पढ़ते  थे अल्लहुम्मगफीरली, वा अरहमनि , वा आफिनी, वा अहदिनी, वा आरज़ुक़्नी *اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي* एह अल्लाह मुझे बख्श दे और मुझ पर रहम फरमा और मुझे आफियत दे और मुझे हिदायत दे और मुझे रिज़क़ आता फरमा  सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1 , 842 -हसन नोट: जब कोई नमाज़ में पहला सज़दा कर ले तो उसके बाद वापस सज़दे से सिर उठाकर ये दुआ पढ़े उसके बाद दूसरा सज़दा करे ---------- *Bismillahirrahmanirrahim* *✦ Dua to recite between two prostrations (Sujud)* --------- Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam used to say between the two prostrations  (Sujud) *اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي* Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni O Allah, forgive me and have mercy on me and heal me and guide me and provide (Rizq) for me. Sunan Abu dawud, Book 3, 849-Hasan Note: After first prostrations in salah raise your head and recite these dua and then go for second prostrations

Roze Qayamat logo mein se sabse ziyada sakht azaab kaunse shaqs ko hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal : Roze Qayamat logo mein se sabse ziyada sakht azaab kaunse shaqs ko hoga?

A: Jo Khullam khulla gunah kare
B: Jo kisi yateem ka maal kha jaye
C: Jis se Allah ke naam par maanga jaye aur wo na de
D: Jo nahaq ladayi kare
E: Jo Tasweer banata ho
F: Jiski burayee se uska padosi mehfooz na ho
G: Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawba ka intezar hai

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - E✅

Roze Qayamat mein Tasweer bannae wale par sabse ziyada sakht azaab hoga

Reference📚:
------
Syedna Abdullah Bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya roze qayamat logon mein se sab se ziyada sakht azaab is aadmi ko hoga , jisay Nabi ne qatal kiya jis ne Nabi ko qatal kiya ho aur dallalat o gumraahi ka peshwa aur tasweere bannae wala
----
 ۔ سیدنا عبد اللہ بن مسعود  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے یہ بھی روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: روز قیامت لوگوں میں سے سب سے زیادہ سخت عذاب اس آدمی کو ہوگا، جسے نبی نے قتل کیایا جس نے نبی کو قتل کیا ہو اور ضلالت و گمراہی کا پیشوا اور تصویریں بنانے والا۔ 
-----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed#6452

Ummat ke aksar munafiq kise kaha gaya hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ummat ke aksar munafiq kise kaha gaya hai

A: Do rukha Insaan
B: Takabbur karne wala
C: wo jo do logo ke darmiyan ladayi lagata ho
D: Haq baat par iman nahi lane wala
E: Dayyus shaqs
F: Achche aur burey dono amal karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

Note: Agar jawab “G” ho toh apna jawab likhiye

********************

Sahi Jawab- G✅

Iss ummat ke aksar munafiq Qaari honge

Reference📚:
----
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat ke aksar munafiq Qira (Qaari) honge. yeh hadees Abdullah bin umro, Aaqib bin Aamir , Abdullah bin Abbas aur Usama bin Maalik Radi Allahu Anhu se riwayat hai
-‐---
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میری امت کے اکثر منافق قراء(قاری) ہوں گے۔ یہ حدیث عبداللہ  بن عمرو، عقبۃ بن عامر، عبداللہ  بن عباس اور عصمۃ بن مالک رضی اللہ عنہم سے مروی ہے۔ 
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha#2439

Insano aur Jinno ke Nazre e Bad se hifazat Ka Sunnat Wazeefah
















Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum e hadith: Insano aur Jinno ke Nazre e Bad se hifazat Ka Sunnat Wazeefah
-------------------
Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  jinno ki nazar e bad aur insano ki nazar e bad se Allah Subhanahu ki panaha mangte thay phir jab Mu’awwidhatain (Surah Falaq aur Surah Naas) nazil huyee to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne innko padhna shuru kiya aur baqi sab chorh diya
(Sunnan e Nisai hadees#5496)
----
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ، وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
---------------
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad wa min sharri Haseedin iza hasad
-------------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ،الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
---------
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)

Allahumma Salle Ala Muhammed






Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
----
✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par 
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر 
-------
✦ एह अल्लाह रहमत नाज़िल फरमा मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  पर
-----
✦ Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Surah Al-Kahaf ki fazilatein

Bismillahirrahmanirraheem

Hadith: Surah Al-Kahaf ki fazilatein 
--------------
✦ Rasool-Allah sallallahu Alaihi wassllam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega 
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 6470

✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya jisne Juma ki raat surah kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki 
roshni ho jati hai 
(Note : jumerat ko magrib ke baad se juma ki raat shuru ho jati hai)
Saheeh Al-Jaami, 6471, 

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega 
Sahih Muslim, Vol 1, 1883 

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shaks ne surah Al-Kahf us tarha padhi ( jis tarha nazil huye)  to ye aamal uske liye qayamat ke din uski qayam gah se le kar Makka tak noor ka sabab hoga
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2977

Iblis ka rizaq har uss cheez mein hai jismein Allah Subhanahu ka naam nahi liya gaya

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Iblis ka rizaq har uss cheez mein hai jismein Allah Subhanahu ka naam nahi liya gaya
------
Abdulah bin Abbas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Iblis ne kaha (Eh Allah) tu ne apni saari makhlooq ka rizaq bayan kar diya, mera rizaq ks cheez mein hai? Allah Subahnahu  taala ne farmaya is mein jis mein mera naam nahi liya gaya
-----
عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ: ابلیس نے كہا: (اے اللہ) تو نے اپنی ساری مخلوق كا رزق بیان كر دیا، میرا رزق كس چیز میں ہے؟ اللہ تعالیٰ نے فرمایا: اس میں جس میں میرا نام نہیں لیا گیا
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1254

Wazu kar ke sone ki fazilat

Bismillahirrahmanirraheem

Mafhum e Hadith: Wazu kar ke sone ki fazilat
-----
★ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaks ne paakisgi ki halat mein ( wazu ke sath)  raat guzari uske bister mein ek farishta raat guzarta hai raat ki jis ghadi wo bedar hota hai to wo farishta kehta hai Ya Allah apne falah bande ko baksh do kyu ke usne ba wazu ho kar raat guzari 
Al-Silsila tus Sahiha - 2417

★ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo musalman bhi raat ko wuzu karke Allah ka zikr karte huye sota hai aur jab kisi bhi waqt uski aankh khul jati hai aur phir wo Allah se duniya aur aakhirat ki kisi bhi cheez ka sawal karta hai to Allah subhanahu usey wo cheez jarur ata farmata hai 
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1605-Sahih
---
نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے پاكیزگی كی حالت میں (باوضو ہو كر) رات گزاری اس کے بستر میں ایك فرشتہ رات گزارتا ہے۔ رات كی جس گھڑی وہ بیدار ہوتا ہے تو وہ فرشتہ كہتا ہے: اے اللہ اپنے فلاں بندے كو بخش دو، كیوں كہ اس نے باوضوہو كر رات گزاری

نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو بھی مسلمان اللہ تعالیٰ کو یاد کرتا ہوا باوضو سوتا ہے پھر رات میں ( کسی بھی وقت ) چونک کر اٹھتا ہے اور اللہ سے دنیا اور آخرت کی بھلائی کا سوال کرتا ہے تو اللہ تعالیٰ اسے ضرور دیتا ہے
---
★ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said“Whoever retired for the night in a state of purity, an angel will reside with him in his bed. He will not awaken for an hour in the night but that the angel says: O Allah, forgive this servant of yours, for he retired in a state of purity.”
Al-Silsila tus Sahiha - 2717

★ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: If a Muslim sleeps while remembering Allah, in the state of purification, is alarmed while asleep at night, and asks Allah for good in this world and in the Hereafter. He surely gives it to him. 
Sunan Abu Dawud, Book 42, #5024 –Sahih

Sabse ziyada fazeelat wali neki La ilaha Illalaha kehna hain





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Sabse ziyada fazeelat wali neki La ilaha Illalaha kehna hain
--------
Sayedna Abu Zar RadiAllahu Anhu se rivayat hain wo kehte hai ke mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu  Alaihi Wasallam apo mujhe wasiyat kariye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab buraiee hojaye to iss ke baad neki karo taakay wo buraiee ke asar ko mitta de. Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya La illaha illalaha ( لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ ) bhi neki hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya yh toh sabse ziyada fazeelat wali neki hai
------
 ۔ سیدنا ابو ذر  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھے وصیت کریں، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جب برائی ہو جائے تو اس کے بعد نیکی کر، تاکہ وہ برائی کے اثر کو مٹا دے۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ بھی نیکی ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  یہ تو سب سے زیادہ فضیلت والی نیکی ہے۔  
-----
Musnad Ahmed Hadees # 5423-Sahih

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah




Bismillahirrahmannirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi Ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain
-----
الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم الله کے رسول ہیں
-----
There is No God but Allah and Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam is the 
Messenger of Allah

Jab bhi koi Musalman shakhs inn duao ko pardh kar dua karega to Allah Subhanahu ta'ala iss ki duao ko qubool farmaiye ga






Bismillahirrhmanirrahim

Hadith: Jab bhi koi Musalman shakhs inn duao ko pardh kar dua karega to Allah Subhanahu ta'ala iss ki duao ko qubool farmaiye ga
------------
Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya : ” Dhun-Nun ( Yunus Alehi Salaam) ki dua jo unhon ne machhli ke pait mein rehne ke douran ki thi woh yeh thi :

 « لَّا إِلَـٰهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ »
 
” Tere siwa koi mabood barhaq nahi, to paak hai, mein hi zalim ( khatakaar ) hon“, kyunkey yeh aisi dua hai ke jab bhi koi musalman shakhs usay parh kar dua kerega to Allah taala is ki dua qubool farmaiye ga“
----------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 3505

--------------
Rasool-Allah (ﷺ) ne ek shakhs ko ye dua karte huye suna 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ،‏‏‏‏ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ وَحْدَكَ لَا شَرِيكَ لَكَ،‏‏‏‏ الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ،‏‏‏‏ ذُو الْجَلَالِ وَالْإِكْرَامِ،‏‏‏‏

Allahumma! Inni Asaluka Bi-Anna Lakal-Hamd. La ilaha illa Anta, Wahdaka La sharika Lak, Al-Mannan. Badi-us-samawati Wal-ard, Dhul-jalali wal-ikram 

Eh Allah main tujhse sawal karta hu kyunki tere hi liye hamd hai tere siwa koi mabud e barhaq nahi , tu akela hai , tera koi sharik nahi, tu bahut ehsan karne wala hai, aasmano aur zameeno ko baghair misal ke paida karne wala hai Jalal aur azmat wala hai

ye sunne ke baad Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya is shakhs ne Allah se uske ism-e-Aazam ke zariye sawal kiya hai jab bhi uske jariye sawal kiya jata hai to wo ata karta hai aur jab uske zariye dua maangi jati hai to wo qubul karta hai

Sunan Ibn Maja, Jild 3, 738-Hasan

Shaadi ki Mubarak baad dene ki dua







Bismillahirrahmanirrahim

✦:Shaadi ki Mubarak baad dene ki dua
----
✦:Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam jab kisi ko shaadi ki Mubarak baad dete to yu dua dete

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ

BarakAllahu laka wa barak alaik 
jama’aa baynakuma fi khairin 
Allah tumko barkat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayee ki taufiq de
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 363-Sahih
-------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم جب کسی 
 شادی کی مبارکباد دیتے تو فرماتے

 بارك الله لك وبارك عليك وجمع بينكما في خير
اللہ تعالیٰ تم کو برکت دے اور اس برکت کو قائم و دائم رکھے، اور تم دونوں کو خیر پر جمع کر دے ۔
سنن ابی داؤد جلد ۲ ۳٦٣   صحیح
----
✦:रसूल-अल्लाह  सल्लल्लाहु  अलैहि  वसल्लम  जब  किसी  को  शादी   की  मुबारक  बाद  देते  तो  इस तरह  दुआ  देते 

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
बारकल्लाहु  लका  वा बारका अलयका  व  जमआ  बयनाकुमा फि खैर    
अल्लाह  तुमको  बरकत  दे  और  तुम  पर  बरकत नाज़िल करे और तुम दोनों को भलाई की तौफ़ीक़ दे 
सुनन अबू  दावूद , जिल्द  2, 363-सही
---------

Bismillahirrahmanirrahim

✦: Dua to Congratulate on the Marriage

✦:Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam congratulated a man on his marriage, he Sallallahu Alaihi Wasallam said:

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
BarakAllahu laka wa barak alaik wa jama’aa baynakuma fi khairin
May Allah bless for you, and may He bless on you, and combine both of you in good (works)
Sunan Abu Dawud, Book 11, 2125 – Sahih

Allah Sabr karne walon ke saath hain.








Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّ اللَّهَ مَعَ الصَّابِرِينَ
-----
Allah Sabr karne walon ke saath hain.
-----
اللہ صبر کرنے والوں کے ساتھ ہے
-----
Indeed, Allah is with the patient.
-----
Surah Al Baqrah: (02:153)

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...