Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 5 July 2020

Insano aur Jinno ke Nazre e Bad se hifazat Ka Sunnat Wazeefah
















Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum e hadith: Insano aur Jinno ke Nazre e Bad se hifazat Ka Sunnat Wazeefah
-------------------
Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  jinno ki nazar e bad aur insano ki nazar e bad se Allah Subhanahu ki panaha mangte thay phir jab Mu’awwidhatain (Surah Falaq aur Surah Naas) nazil huyee to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne innko padhna shuru kiya aur baqi sab chorh diya
(Sunnan e Nisai hadees#5496)
----
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ، مِن شَرِّ‌ مَا خَلَقَ، وَمِن شَرِّ‌ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ، وَمِن شَرِّ‌ النَّفَّاثَاتِ فِي الْعُقَدِ، وَمِن شَرِّ‌ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
---------------
Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbil falaq, Min sharri ma khalaq wa min sharri Ghasiqin iza waqab, wa min sharrin naffathati (naffasati) fil uqad wa min sharri Haseedin iza hasad
-------------
Kah do main Subha Ke RABB ki panah mangta hu
Uski Makhluq ki burayee se aur andheri raat ki burayee se jab wo cha Jaye aur giroh (Knots) mein phunkne waliyoh ki burayee se aur hasad Karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran Surah Al-Falaq (113)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ

قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ النَّاسِ، مَلِكِ النَّاسِ، إِلَـٰهِ النَّاسِ، مِن شَرِّ‌ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ،الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ‌ النَّاسِ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Qul Aaoothu(aaoozu) BiRabbinNas
MalikinNas, ilaahinNas, Min Sharril Waswasil Khannas
Al Ladhi (lazi) Yuwaswaso fi sudurinNas
MinalJinnati wanNas
---------
Kah do main logo ke RAB ki panah mein aaya,
Logo ke baadshah ki, logon ke mabud ki
Us shaitan ki burayee se jo waswase daal kar chup jata hai
jo logon ke seeno mein waswase dalta hai, jinnon aur insano mein se.
Al Quran, Surah An-Nas (114)

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...