❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hai❗
Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Jab Jannat mein Ahle Jannat kayenge aur peeyenge toh kya kya hoga aur unka khana kaise hazam hoga aur kya kya khoobiya hongi...
A: unko kabhi paseena nahi aayega
B: unko thook nahi aayegi
C: unko cheek nahi ayegi
D: unko istinja nahi aayega
E: unko kazaye hajjat nahi aayegi
F: ek cheek ayegi aur khana hazam hojayega
G: ek dakkar ayegi aur khana hazam hojayega
H: unka paseena kasturi ki khusboo jaisa hoga
I: unka paseena musk ki khusboo jaisa hoga
J: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - BCDEGH✅
Ahle Jannat walo ki khoobiya jab wo kayenge aur peeyenge
Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wa sallam ne farmaya Ahal Jannat wahan kayenge aur peeyenge lekin na thookange na pishaab karenge, na kazaye haajat karenge, na he rent aayegi. sahaba ny kaha khana kis terhan hazum hoga? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : ek dakkar ayegi aur Kastoori ki khusbhoo jaissa paseena aayega jis terhan saans chalti hai is terhan tasbeeh o Tehmid jari hogi
----
جابررضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اہل جنت وہاں كھائیں گے اور پئیں گے لیکن نہ تھوكیں گے نہ پیشاب كریں گے، قضاء حاجت کریں گے، نہ ہی رینٹ آئے گی۔ صحابہ نے كہا: كھانا کس طرح ہضم ہو گا ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ایك ڈكار آئے گی اور كستوری كی خوشبو جیسا پسینہ آئے گا جس طرح سانس چلتی ہے اس طرح تسبیح و تحمید جاری ہوگی
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1451-Sahih
No comments:
Post a Comment